salaam dosto,
Iqbaal ka kalaam "hazrat-e-insaan" pesh kar riya huN. mulaahezah farmaaiye:
jahaaN meN daanish~o~beenash ki hai kis darja arzaani
koi shai chup nahiN sakti ki yeh aalam hai nooraani
koi dekhe to hai baareek fitrat ka hijaab itna
numaayaaN hai farishtoN ke tabassum~haa-e-pinhaani
yeh dunya daavat-e-deedaar hai farzand-e-aadam ko
ki har mastoor ko baKhsha gaya hai zauq-e-uryaani
yehi farzand-e-aadam hai ki jiske ashk-e-khooni se
kiya hai hazrat-e-yazdaaN ne daryaaoN ko toofaani
falak ko kia khabar yeh khaak~daaN kiska nasheman hai
Gharaz anjum se hai kiske shabistaaN ki nigeh~baani
agar maqsood-e-kul huN maiN to mujh se maa_varaa kia hai?
mire hangaama~haa-e-nau~banoo ki intehaa kia hai?
Hazrat-e-insaan----->'allaamah Iqbaal kii nazm
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Assalam-o-a'laikum,
Hashmat bhai,
aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN , k aap ne Allama Iqbaal ka itna u'mdah kalaam paish kiyaa hai :D . taakheer keleye bahut maa'zirat chaahta hoN .
umeed hai k aap aayenda bhi hameN Kalaam-e-iqbaal se mustafeed farmaayeNge. bahut bahut shukriya :D
mokhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch