Hazrat-e-insaan----->'allaamah Iqbaal kii nazm
Posted: Fri Jan 07, 2005 2:02 am
salaam dosto,
Iqbaal ka kalaam "hazrat-e-insaan" pesh kar riya huN. mulaahezah farmaaiye:
jahaaN meN daanish~o~beenash ki hai kis darja arzaani
koi shai chup nahiN sakti ki yeh aalam hai nooraani
koi dekhe to hai baareek fitrat ka hijaab itna
numaayaaN hai farishtoN ke tabassum~haa-e-pinhaani
yeh dunya daavat-e-deedaar hai farzand-e-aadam ko
ki har mastoor ko baKhsha gaya hai zauq-e-uryaani
yehi farzand-e-aadam hai ki jiske ashk-e-khooni se
kiya hai hazrat-e-yazdaaN ne daryaaoN ko toofaani
falak ko kia khabar yeh khaak~daaN kiska nasheman hai
Gharaz anjum se hai kiske shabistaaN ki nigeh~baani
agar maqsood-e-kul huN maiN to mujh se maa_varaa kia hai?
mire hangaama~haa-e-nau~banoo ki intehaa kia hai?