TaraHi Ghazal Guz.8 ke miSreA per: Abdulqayyum Sahil, jeddah

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
abdulqayyum sahil
-
-
Posts: 20
Joined: Mon Jan 03, 2005 1:30 am
Location: jeddah
Contact:

TaraHi Ghazal Guz.8 ke miSreA per: Abdulqayyum Sahil, jeddah

Post by abdulqayyum sahil »


Dousto,
Tasleemaat,

Guz.8 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap sab apni aaraa se navaazenge.

Khair Andesh,
Sahil.

GHAZAL roman meiN

maiN dholooN hath apni zindagi say
tumheiN fursat nahi jalwahgari say

na janey kiya khalish hai roshni say
bujhaye hai diyay ko oRhni say

bakheri bhi nahi haiN shab ne zulfeiN
charag-e-dil jalay haiN sham hi say

ameeri ka labadah oRhta hooN
bachata hooN maiN daman muflisi say

miray hamrah jab se gaamzan ho
munawwar rahguzar hai roshni say

na lijay dil pa guzray hadsay ko
" khaTa hoti hai saheb aadmi say "

muzah-o-Tanz ka aadi nahi hooN
kiya kar guftgu sanjeedgi say

buray din ki khabar laya hai mausam
chalo aaNsoo baha leiNge abhi say

qadam rakhyu na ku-e-jaN sitaN ameiN
karay hai qatl tegh-e-dilbari say

qaymat tak maiN jina chahta hooN
muhaabat ho gayi hai zindagi say

dil -e- nadaN samajhta hi nahi kuchh
parehsaN hooN maiN ahd-e-bebasi say

hai shuhrat char su aiy sahil uski
hum apnay shahr meiN haiN ajnabi say

Attachments
a_sahil_8_ub_f.JPG
a_sahil_8_ub_f.JPG (117.89 KiB) Viewed 525 times
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtaramee Sahil Sahab, Aadaab.O.Niyaz

Aapki tarahee Ghazal bahut pasaNd aaii. Har she'r lajawab hai.
Mujhe to aaj pahlee baar aapka kalam paRhne ka ittefaq hoa
hai. Ummid hai aaindaaH bhi apke kalam-e balaghat nizam se
faizyaab hota rahooNga.

Daad.o.tahseen qubool kijiye.

Khulooskaar,

Jawaid Badauni
gazal_uzma
-
-
Posts: 14
Joined: Fri May 06, 2005 12:21 pm
Location: Karachi
Contact:

Post by gazal_uzma »

abdul sahib
bohot khobsorat ghazal hay aap ki
regards
uzma khan
To the World U can B 1
BUT
To the 1 U may B a World
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

Saahil Sahab

aap ki ghazal ke mazaameen pasand aaye .....

maiN dholooN hath apni zindagi say
tumheiN fursat nahi jalwahgari say

wah ....shadeed khafgi ka izhaar hai....:)....


bakheri bhi nahi haiN shab ne zulfeiN
charag-e-dil jalay haiN sham hi say

bohut Khoob.... albatta ek shuba hai...."jalay hai" ya "jalay hain" ??

ameeri ka labadah oRhta hooN
bachata hooN maiN daman muflisi say

aray wah....ye tou bazm ke ek aur bohut achay shaair Irfan Sahab ke shair ka "mirror image" hai...:)...2 mutazaad Khayaalaat...

buray din ki khabar laya hai mausam
chalo aaNsoo baha leiNge abhi say

wah...e andaaz bhi acha hai..

qaymat tak maiN jina chahta hooN
muhaabat ho gayi hai zindagi say

wah ....ye ek aur "mirror image" hai Irfan Sahab hi ke ek shair ka .... aur ye dilchasp baat hai... ke ek hi misra-e-tarah per 2 bilkul ulat Khayaalat baandhay gaye haiN ...

hai shuhrat char su aiy sahil uski
hum apnay shahr meiN haiN ajnabi say

maqtaa bhi pasand aaya....

majmoori tor per aap ki poori Ghazal ek liye daad haazir hai...

Nigaah
User avatar
abdulqayyum sahil
-
-
Posts: 20
Joined: Mon Jan 03, 2005 1:30 am
Location: jeddah
Contact:

shukriya

Post by abdulqayyum sahil »


MuHtaramah
Nigaah Saahibah,

Aadaab,

Aapki zarrah navaazi hei ke aap ne meri ghazal kii pazeeraayi kii aur dilkash tabsireh se navaazaa.

JahaB tak Irfan Barabankwi aur meri andaaz-e-fikr meiN kuch tavaarud yaa taZaad is vajah se laaHiq houjaataa hei ke ham aek doosre ko apne apne ashAar telephone se sunaate heiN.

Mazeed aap ne likhkhaa hei:

((charag-e-dil jalay haiN sham hi say ))

Roman meiN "jale" likhnaa chaahiye thaa lekin maiN ne "jalay" likhdiya. Agar aapko yehi baat kuch Ajeeb sii lagi hei, tou bilkul Theek hei. Albattah agar aap ko yeh shubh hei ke "charagh-e-dil bujhe heiN" kii bajaye "charagh-e-dil bujhaa hei" hounaa chaahiye tou Arz karungaa ke is TaraH mufrad lafz ko haalat-e-jamA meiN isteAmaal kiyaa jaasaktaa hei. Micaal ke Taur per Mumin kaa miSraA hei "Khwaab kyaa kyaa nazar aate heiN mujhe". Is Tarah Kii laa-taAdaad micaaleN maujood heiN.

Dobaarah aapki karam farmaayi ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Khair Andesh,
SaHil,
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: TaraHi Ghazal Guz.8 ke miSreA per: Abdulqayyum Sahil, je

Post by Shummu »

abdulqayyum sahil wrote:
maiN dholooN hath apni zindagi say
tumheiN fursat nahi jalwahgari say

na janey kiya khalish hai roshni say
bujhaye hai diyay ko oRhni say

miray hamrah jab se gaamzan ho
munawwar rahguzar hai roshni say

muzah-o-Tanz ka aadi nahi hooN
kiya kar guftgu sanjeedgi say

buray din ki khabar laya hai mausam
chalo aaNsoo baha leiNge abhi say

qadam rakhyu na ku-e-jaN sitaN ameiN
karay hai qatl tegh-e-dilbari say

hai shuhrat char su aiy sahil uski
hum apnay shahr meiN haiN ajnabi say
wah bahut khoob ashaar pesh kiye hai aapne...yun to poori ghazal hi pasand aayi magar quoted ashaar zyaada bhaaye.....dili daad aur mubarakbaad pesh hai is umda kalaam pe sahil jee :grin:

Adaab,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami A.SaaHil SaaHib, aadaab

janaab aap ki muraSSa' Ghazal bohut pasand aayee ! tamaam asha'aar hi Khoob haiN ! aap ka andaaz bohut pasand aayaa ! DheroN daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS :

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

sahil saHib

salaam arz hai

bahot khoob janaab

aap ki ghazal paRh ker lutf aaya, kuch ash'aar khaas taur per pasand aaye. girah bhi khoob lagaai

aik kaamiyaab ghazal per meri jaanib se daad qubool farmaaiN

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Post Reply