aaKhir kaar aap aa hi gayeeN ! bohut Khushee hoi aap ko itne a'rSe baaa'd dekh kar ! , ham intezaar kareNge , kyoNke aap ki taHreeroN maiN ham apne zaqu ka a'ks dekhte haiN
ji janab!...aaKhir kaar maiN aahi gai buray waqt ki tarah...:).....aap ke aala zauq ko taskeen ponhchaaye ...ye hamaari tukbandi ki haisiyat kahaN.... is qadarafzaai ke liye saraapa tashakkur hooN....
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
waah bohut Khoob ! aap ka ye andaaz bohut hi pasand aayaa ! aek jaariHaana andaaz ! bohut Khoob !
is bharpoor daad ke liye bay hud nawaazish.....
jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
bohut Khoob ! zindagee ka jawaab aap ne paaliyaa ! aur woh bhi aagahii se ! nehaayat u'mdah ! kyaa baat hai ! mubaarak ho
ye shair maiN shaamil karna hi nahiN chaahti thi...kuch Khush fehmi ki boo aati hai is shair say....goya maiN Khud ko aagahi ka tamGha khud hi inaayat kar rahi hooN :).....phir bhi aap nay hosla baRha diya ...acha laga...
wafa jesi Khata, maana, baRi hai
Khata hoti hai saahib aadmi say
girah to aap hamesha hi Khoob lagaati aarahee haiN ! daad Haazir hai
ye baRay aizaaz ki baat hai ke itnay forums per bohut say shoraa-o-shaairaat ko paRhtay rehnay ke baawujood, aur meri taveel-ul-mee'aad Ghair haaziri ke bawujood aap ko yaad hai ke maiN girhaiN kesi lagaati rahi hooN :).... nawaazish aapki...
badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
kyaa kehney ! naa jaane kyoN mujhe apna aek matla' yaad aayaa
"muasam-e-dil badal na jaaye kaheeN
tuu hi dil se nikal na jaaye kaheeN " !
bazaahir masoom sa Khadsha hai....albatta yaqinun bohut naraaz hoga sun kar....:).....aur Khoob ittefaq hai ke mujhay aap ka matla paRh kar Nasir Kazmi sahab ka ek matla yaad aaya ....
niyyat-e-shouq bhar na jaaye kahiN
too bhi dil say uter na jaaye kahiN..
jo hanstay haiN bohut, chehroN pe unkay
maiN dukh paRhti hooN saaray Khamushi say
bohut Khoob ! chehroN ko paRhna har kisee k bas ki baat nahiN !
baja farmaaya aap nay.....lekin jo bohut haNstay haiN ...kabhi un ke chehroN ko Ghour say dekhiye...baRay aasan hotay haiN aisay loag...:)...wo ek mash'hoor-e-zamaana Ghazal hai...
tum itna jo muskura rahay ho
kia Gham hai jisko chupa rahay ho
gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
kyaa tewar haiN is shea'r k waah ! ab to aap ki book ka shiddat se intezaar hai
aray aray....janab!!....aaj aap nay kia mujhay sharminda karnay ki thaan li hai.....pehle hi aap ki itni hosla afzaai mujhay paani paani kar rahi hai...
hamaiN aadat si hoti jaa rahi hai
hazaaroN baar hum guzray haiN jee say
Nigaah
guzree haiN jee se ....
waah , mujhe Faiz ki yaad aagayee ! aaKhree shea'r bhi nehaayat Khoob hai ! balke laa-jawaab hai !
aur aap ka daad dene ka andaaz lajawaab hai!.... KhuamaKhuaah banda Khud ko baRa shaair samajhnay lagay....:)
agar aap maqta' bhi add karteN to kyaa jaataa aap ka
maHroom reh gaye ham
nigaah SaaHiba ,
aap ki mushaai'ra maiN Ghazal aur ab ye Ghazal ......ham to qaai'l hogaye aap k , balke ab aap hameN apne maddaHoN k Saf maiN shaamil kejeyega ! Ghazal har lihaaz bohut Khoob hai ! nehaayat pasand aayee !
tamaam ash;aar apnee apnee jagal Khoob haiN !
daad jitnee aap chaaheN qabool kejeyga ! shukriya
AH
Zia Baloch
sachi baat hai ke maqtaa koi acha soojha hi nahiN...aur maiN shaairi maiN zabardasti ki qaail nahiN...phir meri azli kaahili....har tarahi mushaairay maiN aakhiri Ghazal meri hi hoti hai...aakhiri din beth kar likhti hooN ...ab aamad hi ain waqt per ho tou kia karay koi...
aur ye jo aap nay "qaail honay" aur " maddahoN ki saf maiN shaamil honay" ki baat ki....to yehi kahooNgi.... Khaaksaar ko us ki jaga per hi rehnay dijye ....bila waja kursi tang ho jayegi jis per maiN baraajmaan hooN....:)...
aap ke is Khuloos ka bay hud shukriya.....sach much bohut acha lagta hai jab aap jese Khus apna ek dilkash andaaz-e-bayaN rakhnay walay shaair saraahtay haiN ....:)
Nigaah