Page 1 of 1

Khafaa kioN ho gayaa itnaa jehN se?

Posted: Sat Jan 08, 2005 3:13 pm
by tahira Masood
:cry:

meraaHil beRh gaey Hadd-eziyaan se
huee naazil woh aafat aasamaN se

yeh kayaa qehri tajalli thi khudaayai
keh qomeiN hil ga'ee haiN jismo jaaN se

nah kuch Haasil hai ab aa-o-fughaaN se
keh paani cheRh gayaa hadd-e-nishaN se

woh es riftaar se aaya aachaanak
behaa ker lay gayaa lakhoN jehaN se

khalaaiq peh jo yeh andoh guzraa
main qaasir hoN abhi tak es bayaaN se

hai ab yeh bas qayaamt ki nishaani
kahtar haiN baRh gaey wehm-o-gumaaN se

jehaN thay shehr bastae woh nazarae
hain jaise mit ga'ey yaksar wehaN se

Khudaaya kyaa huee inasaaN se ghaflat?
khafaa kioN ho Gaya itna jehaN se?

Ilaahi seedhe ker de dil sabhi ke
bacha sabko bala--e-nagehaN se

dikhaana nah kabHi aisaa nazaarah
nikalti hai duaa dil k nehaaN se

khataaeiN bakhsh de Tu sabki Yaa Rabb
ba juz terae amaaN paaeiN kehaN se?

aameen

:cry: :cry: :cry:


Re: Khafaa Tu ho gayaa itnaa jehN se?

Posted: Sat Jan 08, 2005 5:59 pm
by khurram_shaikh
tahira Masood wrote::cry: I laahi kayaa tajalli thi yeh teri
keh qomeiN hil ga'ee haiN jismo jaaN se

meraaHil beRh gaey Hadd-eziyaan se
huee naazil woh aafat aasamaN se

nah kuch Haasil hai ab aa-o-fughaaN se
keh paani cheRh gayaa hadd-e-nishaN se

woh es riftaar se aaya aachaanak
behaa ker lay gayaa lakhoN jehaN se

khalaaiq peh jo yeh andoh guzraa
main qaasir hoN abhi tak es bayaaN se

hai ab yeh bas qayaamt ki nishaani
kahtar haiN baRh gaey wehm-o-gumaaN se

jehaN thay shehr bastae woh nazarae
hain jaise mit ga'ey yaksar wehaN se

Khudaaya kyaa huee inasaaN se ghaflat?
khafaa Tu ho Gaya itna jehaN se?

Ilaahi seedhe ker de dil sabhi ke
bacha sabko bala--e-nagehaN se

dikhaana nah kabHi aisaa nazaarah
nikalti hai duaa dil k nehaaN se

khataaeiN bakhas de Tu sabki Yaa Rabb
ba juz terae amaaN paaeiN kehaN se?

aameen

:cry: :cry: :cry:


Image


WAAAAAH WAAAAAAAH Bahoooooooot khooooooooob tahira baji ek baar phir aaap kaa ek aur khoobsoorat aur behtreeen kalaam perhnien kaa sharf huaa , humaarey saaaaaath share kernien kaa shukriyaa dili daad qabool karien

Posted: Mon Jan 10, 2005 7:42 pm
by Shummu
Wah Tahira jee waqaii bahut hi khoob...asal likhna to ise hi kehte hain jo roz marra ki zindagi mein hone waale waaqiye/haadsaath pe likha jaaye...bahut hasb-e-haal ghazal kahi hai aapne...aap ke jazbe ki qadr karte hue meri jaanib se daad qubool farmaayein! Allah hum sab ko apni hifazat mein rakhe..Ameen!

Shumaila

Posted: Tue Jan 11, 2005 3:48 am
by tahira Masood
Shummu wrote:Wah Tahira jee waqaii bahut hi khoob...asal likhna to ise hi kehte hain jo roz marra ki zindagi mein hone waale waaqiye/haadsaath pe likha jaaye...bahut hasb-e-haal ghazal kahi hai aapne...aap ke jazbe ki qadr karte hue meri jaanib se daad qubool farmaayein! Allah hum sab ko apni hifazat mein rakhe..Ameen!

Shumaila
Dearest shummu

salaam

aap ki beHadd mamnoono-omutashkkir hoN maiN. her derd maNd dil rekhne waala eski derd ko samjah saktaa hai. Allah Ta'Aalah aapko ajr-e-Azeem Ata fermaaey.Ameen

wassalam

Re: Khafaa Tu ho gayaa itnaa jehN se?

Posted: Tue Jan 11, 2005 4:49 am
by Hashmat Usmani
salaam Taahira saaHiba,

ummeed hai ki mizaaj-e-giramii ba_Khair hoNge.

aapkii taaza ba taaza almiya musalsal Ghazal paRhii. aapke jazbaat ne waqa'ii hilaa ke rakh diyaa mujhe. waqa'ii yeh aisaa Khauf_naak manzar thaa ki bas har bashar Allah kii panaah maangtaa hai dil o jaaN se. aapke karb-e-bayaan, kasha kashii-e-Haalaat aur kash ma kash e aafaat ne ek naa_Khatm hone waalaa asar qaa'reyiin par chhoRaa hai.

bahot Khoob. Allah kare marHoomeen o marHoomaat ko jannat ul firdaus aur pas-maand_gaan ko sabr e jameel ataa farmaaye...aameen.

Hashmat

Posted: Wed Jan 12, 2005 3:58 am
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Tahira aapa ,

aap ki ghazal ne bahut mutaa'ccir kiyaa, aap ne jis khoobi se khayaalaat aur jazbaat aur waaqe'aat ko yak-jaa kiyaa hai , yaqeena" yeh aap ka kamaal-e-fan hai :!: . mujhe aap ki poori ghazal ne mutaa'ccir kiyaa aur maiN taa der aap ki ghazal k seHr maiN jakRa raha. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah ! aameen. DheeroN daad qabool kejeye. shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Re: Khafaa Tu ho gayaa itnaa jehN se?

Posted: Thu Jan 13, 2005 1:48 pm
by tahira Masood
Hashmat Usmani wrote:salaam Taahira saaHiba,

ummeed hai ki mizaaj-e-giramii ba_Khair hoNge.

aapkii taaza ba taaza almiya musalsal Ghazal paRhii. aapke jazbaat ne waqa'ii hilaa ke rakh diyaa mujhe. waqa'ii yeh aisaa Khauf_naak manzar thaa ki bas har bashar Allah kii panaah maangtaa hai dil o jaaN se. aapke karb-e-bayaan, kasha kashii-e-Haalaat aur kash ma kash e aafaat ne ek naa_Khatm hone waalaa asar qaa'reyiin par chhoRaa hai.

bahot Khoob. Allah kare marHoomeen o marHoomaat ko jannat ul firdaus aur pas-maand_gaan ko sabr e jameel ataa farmaaye...aameen.

Hashmat
MoHteram Hashmat bHaii

salaam-e-khuloos

aap k aHssasaat jaan ker bohat achaa lagaa. insaaniyyat kaa dukh meHsusu kernaa bhi aik bohaT beRee naiki, balkeh main kehoNgi keh s'Aadat hai. Allah Ta'Alah hameiN haqeeqi m'AnoN maiN apni ahimyyat auroN ki qader aur Uski n'Amaton ko pehchaan'ne ki taufeeq Ataa fermaaey.Ameen

aik achi baat kenaa bhi sadaquaa hai. Allah Aapko khush rekhe.aameen

Allah aapko khush rekeh.summa aameen.

wassalam