Page 1 of 2
Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Thu Sep 08, 2005 5:51 am
by jawaid badauni
Dosto! Aadaab
Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaafee meN
hazir hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge. Aapki aara ka muntazir hooN.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Ghazal
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
Mumkin hai masarrat se nikal aaye hoN aaNsoo
“Jawaid” kabhie ranj meN roya hi nahiN tha
Jawaid Badauni
Muscat – Oman
Posted: Thu Sep 08, 2005 6:59 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!
"Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaa,if meN
hazir hai."---jahaaN tak mujh` ko i'lm hai (aur meree luGhat is kee taSdeeq bh`ee kartee hai) :qaafiyeh: kee jama' :qawaafee: hai. aap ne :qawaa,if: likh`aa hai. mumkin hai keh kisee luGhat meN aisaa hee ho. waZ^aaHat kar deN to logoN kee Ghalat^fehmee kaa imkaan naheeN rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Thu Sep 08, 2005 9:13 am
by jawaid badauni
Sarwar Raz wrote:mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!
"Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaa,if meN
hazir hai."---jahaaN tak mujh` ko i'lm hai (aur meree luGhat is kee taSdeeq bh`ee kartee hai) :qaafiyeh: kee jama' :qawaafee: hai. aap ne :qawaa,if: likh`aa hai. mumkin hai keh kisee luGhat meN aisaa hee ho. waZ^aaHat kar deN to logoN kee Ghalat^fehmee kaa imkaan naheeN rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Janab Sarwar Sahab, Tasleemat
Bahut Bahut shukriya.
MaiN abhi EDIT se durust kar leta hooN.
Kuch alfaz Ghalatul-awam ho jate haiN aur Ghalat saheeh lagne lagta hai.
LuGh'At bhi har waqt kahaN dekh milti hai is macroof zindagee meN..
Ek baar phir shukriya.
Jawaid
Re: Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Thu Sep 08, 2005 10:28 am
by Shummu
jawaid badauni wrote:
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
wahhhhhhhhh Jawaid bhai..bahut khoob.......aap bahut achcha likha hain...aap ki ye ghazal bhi bahut khoob hai aur bahut pasand aayi khaaskar quoted ash'aar...! Daad qubool karein.
Shumaila
Re: Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Thu Sep 08, 2005 11:31 am
by jawaid badauni
Shummu wrote:jawaid badauni wrote:
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
wahhhhhhhhh Jawaid bhai..bahut khoob.......aap bahut achcha likha hain...aap ki ye ghazal bhi bahut khoob hai aur bahut pasand aayi khaaskar quoted ash'aar...! Daad qubool karein.
Shumaila
Shumaila Sahibah
Dad .o. Tahseen ke liye bahut bahut shukriya.
Jawaid
Re: Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Fri Sep 09, 2005 8:16 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadaab
Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaafee meN
hazir hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge. Aapki aara ka muntazir hooN.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Ghazal
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
wah wah! bohat khoob!
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
wah! lajawaab!
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
nice!
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
wah waah!
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
bohat khoob!
Mumkin hai masarrat se nikal aaye hoN aaNsoo
“Jawaid” kabhie ranj meN roya hi nahiN tha
bohat khoob!
Jawaid Badauni
Muscat – Oman
Jawaid bhai aapki ye ghazal bohat pasand aayi,
sabhi shair aek se barh ker aek hain,
mujhe is ghazal mien jo pehle aur doosre misre mein
lafzi tazaad hai bohat pasand aaya.
mubarakbaad qubool keejiye.
mukhlis
sara
Azeezah Sara Sahibah,
Ghazal ki purKhuloos daad ke liye aapka behud mamnoon hooN.
Bahut din se aapka taza kalam nahiN dekha hai. Inayat kijiye.
Apka Bhai
Jawaid
Bahut khoob waah waah
Posted: Fri Sep 09, 2005 5:37 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut hii luTf aayaa. Bahut hii dilkash mazaameen heiN aur andaaz-e-bayaan bhii waaqaAi munfarid hei.
Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
shukria
Posted: Sat Sep 10, 2005 11:30 am
by Mahtab Qadr
Jawaid Badauni sahib
Aadaab
aapki ye ghazal majmoi taur par bahut achi lagi aur baaaz sher to bahut khooobsurat haiN, jo hazb e zail haiN.
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
shukria
Mahtab Qadr
Posted: Sat Sep 10, 2005 3:46 pm
by nazneen_72
wah..buhat khoob..such hai
Re: Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Sat Sep 10, 2005 5:43 pm
by tahira Masood
jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadaab
Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaafee meN
hazir hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge. Aapki aara ka muntazir hooN.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Ghazal
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
Mumkin hai masarrat se nikal aaye hoN aaNsoo
“Jawaid” kabhie ranj meN roya hi nahiN tha
Jawaid Badauni
Muscat – Oman
Mashallah bohat khoob
SubHaan Allah
Daad Haazir hai
saaray k saaray ash'Aar pasand aaey
khush raheiN
Re: Bahut khoob waah waah
Posted: Sat Sep 10, 2005 8:09 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut hii luTf aayaa. Bahut hii dilkash mazaameen heiN aur andaaz-e-bayaan bhii waaqaAi munfarid hei.
Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtarmee Nazir Sahab,
Aadaab.
Aaap pasaNd farmayeN to sanad mil jati hai. Ab maiN apni ghazal se nut.ma,in hooN.
Doa,oN meN shamil rakhiyega.
Naacheez,
Jawaid Badauni
Re: shukria
Posted: Sat Sep 10, 2005 8:11 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Jawaid Badauni sahib
Aadaab
aapki ye ghazal majmoi taur par bahut achi lagi aur baaaz sher to bahut khooobsurat haiN, jo hazb e zail haiN.
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
shukria
Mahtab Qadr
Aapki daad.o.tahseen ke liye aapka behud mamnoon hooN Mahtab Qadr Sahab.
Shukriya.
Jawaid Badauni
Posted: Sat Sep 10, 2005 8:12 pm
by jawaid badauni
nazneen_72 wrote:wah..buhat khoob..such hai
SHUKRIYA,
JAWAID
Re: Meri munfarid Ghazal...................
Posted: Sat Sep 10, 2005 8:14 pm
by jawaid badauni
tahira Masood wrote:jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadaab
Ek muKhtacar see ghazal bahut hi munfarid aur tung qawaafee meN
hazir hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge. Aapki aara ka muntazir hooN.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Ghazal
AaNkhoN ko kabhie oos ne bhigoya hi nahiN tha
Lekin yeh Ghalat hai keh woh roya hi nahin tha
Such poocho to Khuwab oos ne hi dekhe thay ziyadah
Aaram se ik lamha jo soya hi nahiN tha
Qismet ke dhanee hain jo milee fasl-e mohabbat
Yeh beej kabhie aap ne boya hi nahiN tha
Kuch aur hi kashtee ki tabahi ka sabab hai
ToofaaN ne kabhi hum ko duboya hi nahin tha
DhooNdha hai oose hum ne shub.o.roz yeh such hai
Aur yeh bhi bajaa hai keh woh khoya hi nahiN tha
Mumkin hai masarrat se nikal aaye hoN aaNsoo
“Jawaid” kabhie ranj meN roya hi nahiN tha
Jawaid Badauni
Muscat – Oman
Mashallah bohat khoob
SubHaan Allah
Daad Haazir hai
saaray k saaray ash'Aar pasand aaey
khush raheiN
Aapki purKhuloos daad ke liye behud mamnoon hooN Tahira Masoud Sahibah. Ummid hai aaindah bhi himmat afzaaii farmyeNge.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Sat Sep 10, 2005 8:16 pm