Aik ghazal sahra ki

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Aik ghazal sahra ki

Post by Mahtab Qadr »

aik ghazal sahra ki radeef ke saath pesh e khidmat hai apni aara se nawaziye
shukria
Mahtab Qadr


khizaN ka hai na baharaoN ka kaam sahra ka
bas aik rut ki baqaaa hai , qiyaam sahraa ka

saraab ban ke barhaat hai tashnagi unkee
musafiroN ko sataata hai daam sahraa ka

suna hai usko mohabbat hai aashiqoN se bahut
ke daastaan e junooN mai hai naam sahraa ka

nashe mai donoN barabar haiN,chekh ke dekh zara
hazaar e mausam e gul , aik jaam sahraa ka

sunaiN jo naghma bagoole idhar udhar nacheiN
hava ki sur mai dhalaa hai kalaam sahraa ka

vo poochte haiN hameiN sabz inqelaab ke baad
suna hai aapne mahtaab naam sahraa ka
Attachments
sahraghazal.gif
sahraghazal.gif (18.68 KiB) Viewed 321 times
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

shukria Amjad sahib

Post by Ibn-e-siddique »

Amjad Sahib
walaikum salaam
Is himmat afzai ka shukria. behad mamnoon hoN.
Mahtab Qadr
Mahtab sahib

salaam arz hai

vaah janaab, mashallah bahot umda ghazal kahii aap ne

daad Haazir hai, qubool farmaaiye

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Jazak Allah khair

Post by Mahtab Qadr »

shukria Amjad sahib

Amjad Sahib
walaikum salaam
Is himmat afzai ka shukria. behad mamnoon hoN.
Mahtab Qadr
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami Sarfaraaz bhai aadaab,

ta`Kheer keleye ma;zirat k net maiN problem hai aur maiN bhi kuchh busy hoN ! Ghazal munfarid aur kaamiyaab kaavish hai zameen bohut dilkash hai ! daad qabool kejeye shukriya

moKhliS :

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

zia sahib

Post by Mahtab Qadr »

Bradar e Azeez Zia sahib
Behad mamnoon hoN ke aapne daad se nawaaza , aajkal mujhe khud hi fursat nahi hoti ke dosroN ke kalaam par bhi kuch likh sakoN islye lagta hai ahbaab bura mante haiN. magar majboorioN ko kya kia jaaye. aapka mamnoon hoN ke inhi majboorioN ke wajood aapne waqt nikaala.
shukria
Mahtab Qadr
Post Reply