Aik ghazal sahra ki
Posted: Tue Sep 13, 2005 9:39 am
aik ghazal sahra ki radeef ke saath pesh e khidmat hai apni aara se nawaziye
shukria
Mahtab Qadr
khizaN ka hai na baharaoN ka kaam sahra ka
bas aik rut ki baqaaa hai , qiyaam sahraa ka
saraab ban ke barhaat hai tashnagi unkee
musafiroN ko sataata hai daam sahraa ka
suna hai usko mohabbat hai aashiqoN se bahut
ke daastaan e junooN mai hai naam sahraa ka
nashe mai donoN barabar haiN,chekh ke dekh zara
hazaar e mausam e gul , aik jaam sahraa ka
sunaiN jo naghma bagoole idhar udhar nacheiN
hava ki sur mai dhalaa hai kalaam sahraa ka
vo poochte haiN hameiN sabz inqelaab ke baad
suna hai aapne mahtaab naam sahraa ka