Page 1 of 2

Harf-e-'Daal' (Daali waala)se ash'aar bhejiye..shukriya!

Posted: Sat Oct 01, 2005 12:57 pm
by Shummu
Duub jaa_uu.N to ko_ii mauj nishaa.N tak na bataaye
aisii nadii me.n utar jaane ko jii chaahataa hai

Iftikhar Arif

Posted: Sat Oct 01, 2005 5:43 pm
by Raji

Dhaaye heiN uske taghaful ne sitam kitne hii

maiN ne phir bhii nah kahaa usko buraa meHfil meiN.

Posted: Sun Oct 02, 2005 10:48 am
by Shummu
Raji wrote:
Dhaaye heiN uske taghaful ne sitam kitne hii

maiN ne phir bhii nah kahaa usko buraa meHfil meiN.

welcome raji sis..wah bhut khoobsurat sher ataa kiya hai aapne :-)

Posted: Sun Oct 02, 2005 10:50 am
by Shummu
Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa
kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N

Ameer Minai

"Daal"

Posted: Sun Oct 02, 2005 11:07 am
by Abdullah Nazir

Dagmagaajaate heiN jab raah-e-muHabbat meiN qadam

yaad aajaati hei mujhko tiri rukhSat kii qasam.

Nazir.

"Daal"

Posted: Sun Oct 02, 2005 4:36 pm
by Abdullah Nazir

Duboodiyaa mujhe meri hii apni ghaflat ne

wagarnah mauj-e-balaa kyaa bigaaRti meraa.

Nazir.

Posted: Mon Oct 03, 2005 6:19 am
by Raji
Darta raha voh shaks zamaane se u'mr bhar
jisko bas ik khuda ka kabhi D'ar naheeN raha

(Zahida Raees :Raji:)

Posted: Mon Oct 03, 2005 8:42 am
by Shummu
Dhoond rahi ho jinse muhabaat duniya ke baazaaron meiN
Aye meri muflis ummeedon !! tum bhee kyaa deewaani ho!

Qaiser Jaafri

"Daal"

Posted: Mon Oct 03, 2005 12:56 pm
by Abdullah Nazir

DhoonD rahe hou jinko meri bhooli bisri baataoN mein

wo jugnoo maAdoom houe heiN bekaifi kii raataoN meiN.

Nazir.

Posted: Tue Oct 04, 2005 4:42 pm
by hassan_bashir
duniyaa maiN eik shakhs bhi aisaa milaa nahiN
jis se jahaaN koee huee ho khataa nahin

Note:
Pahlaa Harf "daal" nahiN balkeh "Daal" hounaa chaahiye jaise "Dhaal" meiN.

Posted: Tue Oct 04, 2005 5:40 pm
by Shummu
hassan_bashir wrote:duniyaa maiN eik shakhs bhi aisaa milaa nahiN
jis se jahaaN koee huee ho khataa nahin

'Daal' se ashaar bhejne hain.... 'daal' se nahi...

Posted: Fri Oct 07, 2005 4:35 pm
by hassan_bashir
Shummu wrote:
hassan_bashir wrote:duniyaa maiN eik shakhs bhi aisaa milaa nahiN
jis se jahaaN koee huee ho khataa nahin

'Daal' se ashaar bhejne hain.... 'daal' se nahi...
maazrat Shumaila jee .. maine shaayad ghaur se nahiN paRha .. :grin:

duaaN ban ke fazaa maiN uRaa diyaa mujh ko
maiN jal rahaa tha kisi ne bujhaa diyaa mujh ko

ab Theek hai ?? :lol:

Posted: Fri Oct 07, 2005 7:54 pm
by Shummu
hassan_bashir wrote:

ab bhi nahi :cry:

D se ...Dibba wala D ...got it??

Posted: Fri Oct 07, 2005 8:00 pm
by Shummu
Duubte Duubte kashtii ko ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

Posted: Sat Oct 08, 2005 2:08 am
by hassan_bashir
Shummu wrote:
hassan_bashir wrote:
Shummu wrote:
'Daal' se ashaar bhejne hain.... 'daal' se nahi...
maazrat Shumaila jee .. maine shaayad ghaur se nahiN paRha .. :grin:

duaaN ban ke fazaa maiN uRaa diyaa mujh ko
maiN jal rahaa tha kisi ne bujhaa diyaa mujh ko

ab Theek hai ?? :lol:
ab bhi nahi :cry:

D se ...Dibba wala D ...got it??
:shock: :shock: :shock:

leejiye ab samjhaa...... :grin:

Daalaa hai be-khudee ne ajab raah par mujhe
aaNkheN haiN aur kuch nahiN aataa nazar mujhe

yaqeenan ab Theek hai :-)