Page 1 of 1

Ghalib kii zameen meiN meri ghazal

Posted: Sun Jan 09, 2005 5:57 pm
by abdulqayyum sahil

Muhtaramaat o muhtarameen
Ahbab-e-meHfil,


Aadaab o tasleemaat,

Mirza Ghalib ke aik misreA per maiN ne TaraHi ghazal kahi hei jo yahaN paish karne kii saAadat haasil karraha hooN.

Aapki giraNqadr aaraa kaa intizaar rahega.

G H A Z A L
Azhaan ke liye yeh tasavvur muHaal hei
"Aalam tamam Halqa-e-daam-e-khayaal hei"
Yeh sinf-e-dousti bhi jahaaN meiN Halaal hei
Ik dil meiN khooN sufaid hei ik dil meiN laal hei
LauH-e-jabeeN pah uski raqam yeh sawaal hei
YooN bazm-e-kaayinaat meiN koiee micaal hei
Mumkin nahiN hei lauTnaa kashti sawaar ka
Gehri samundaraoN se bhii chashm-e-ghazaal hei
KiyooN aaftaab-e-waqt hei naazaaN urooj per
Kehdo ke Anqareeb hii shaam-e-zavaal hei
Kooche se unke guzreN hawaayeN bhi baa-adab
Wo qadr-o-manzilat hei wo jaah o jalaal hei
Pesh-e-nazar hei jab se mirii ghairat-e-anaa
Jo dil meiN hei zabaan pah aanaa muHaal hei
Aiy saahil aaj gham hei ke be-baal o per hooN maiN
YooN tou leHaaz-e-naama-e-shaam-e-visaal hei.
======
Khair Andesh,
Saahil.


Posted: Tue Jan 11, 2005 1:43 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab-e-"SaaHil" saaHib,

Ghaalib kii zameen meN aapkii Ghazal paRhi aur yaqeen jaaniye mujhe be_Had pasand aayii. aapne gireh Khoob lagaaii hai...aapkii Ghazal meN ustaadaanah rang nazar aataa hai...Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

sabhii ash'aar ek se baRh kar ek haiN...masha Allah.

Hashmat

Re: Ghalib kii zameen meiN meri ghazal

Posted: Thu Jan 27, 2005 7:50 am
by Raji
Ghalib kee iss mushkiL zameen per aap ka kalam daikh kar acha laga

Azhaan ke liye yeh tasavvur muHaal hei
"Aalam tamam Halqa-e-daam-e-khayaal hei"

"Azhaan" ka matlab agar aap bataa dein tu inaayat ho gi ke mujhe iss ka mafhoom nahien pata :(


Yeh sinf-e-dousti bhi jahaaN meiN Halaal hei
Ik dil meiN khooN sufaid hei ik dil meiN laal hei

Zabardast. bauth hee khoob

LauH-e-jabeeN peh uski raqam yeh sawaal hei
YooN bazm-e-kaayinaat meiN koiee micaal hei

Nice

Mumkin nahiN hei lauTnaa kashti sawaar ka
Gehri samundaraoN se bhii chashm-e-ghazaal hei

Wah bauth khoob

KiyooN aaftaab-e-waqt hei naazaaN urooj per
Kehdo ke Anqareeb hii shaam-e-zavaal hei

Wah wah wah bauth hee zabardast


Kooche se unke guzreN hawaayeN bhi baa-adab
Wo qadr-o-manzilat hei wo jaah o jalaal hei

Teak :)

Pesh-e-nazar hei jab se mirii ghairat-e-anaa
Jo dil meiN hei zabaan pah aanaa muHaal hei

Superb :)

Aiy saahil aaj gham hei ke be-baal o per hooN maiN
YooN tou leHaaz-e-naama-e-shaam-e-visaal hei.

MashaAllah kyaa baat hai. Majmoohi taur per aap kee yeh tarHee ghazal bauth pasand aahi so daad hazir-e-khidmat hai :)


Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Thu Jan 27, 2005 11:46 am
by Ibn-e-siddique
Sahil saHib

janaab aap ki ye ghazal to pehle hi paRh li thi ,magar waqt per javaab na de sakaa, dar.asl main ye samajhta rahaa ke main aap ko muraqqa-e-daad-o-sitaaish pesh kar chuka hooN :)

lijiye, ab daad qubool kareN itni umda kawish per

amjad

Re: Ghalib kii zameen meiN meri ghazal

Posted: Thu Jan 27, 2005 1:16 pm
by khozema husaini
abdulqayyum sahil wrote:
Muhtaramaat o muhtarameen
Ahbab-e-meHfil,


Aadaab o tasleemaat,

Mirza Ghalib ke aik misreA per maiN ne TaraHi ghazal kahi hei jo yahaN paish karne kii saAadat haasil karraha hooN.

Aapki giraNqadr aaraa kaa intizaar rahega.

G H A Z A L
Azhaan ke liye yeh tasavvur muHaal hei
"Aalam tamam Halqa-e-daam-e-khayaal hei"
Yeh sinf-e-dousti bhi jahaaN meiN Halaal hei
Ik dil meiN khooN sufaid hei ik dil meiN laal hei
LauH-e-jabeeN pah uski raqam yeh sawaal hei
YooN bazm-e-kaayinaat meiN koiee micaal hei
Mumkin nahiN hei lauTnaa kashti sawaar ka
Gehri samundaraoN se bhii chashm-e-ghazaal hei
KiyooN aaftaab-e-waqt hei naazaaN urooj per
Kehdo ke Anqareeb hii shaam-e-zavaal hei
Kooche se unke guzreN hawaayeN bhi baa-adab
Wo qadr-o-manzilat hei wo jaah o jalaal hei
Pesh-e-nazar hei jab se mirii ghairat-e-anaa
Jo dil meiN hei zabaan pah aanaa muHaal hei
Aiy saahil aaj gham hei ke be-baal o per hooN maiN
YooN tou leHaaz-e-naama-e-shaam-e-visaal hei.
======
Khair Andesh,
Saahil.

janaab sahilsaheb

aadaab
is khoobsoorat kawish ke liye dili daad hazir he
husaini