Page 1 of 1
Meri tarahee ghazal (Guz # 10)
Posted: Wed Oct 05, 2005 9:38 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab, Aadaab
Iss mushaaireh meN shayad pahlee baar aap ne behud dushwaar misAra tajweez farmaya hai. Qawafee nihayat tung aur dushwaar haiN aur mere liye iss zameen meN mere mizaj ki ghazal kahna dushwaar tha. Socha tha pahlee baar aap se mAzrat karna paRege magar phir kuch TooTe phoTe ashAAr ho hi gaye jo aapki Khidmat meN israal kar raha hooN.
Ummid hai aaindah aasan misArey tajweez farmayeNge. Yaad rakhiye sub aapki tarah kohna mashq nahiN hote, yeh zameen hamare liye itni aasan nah thee.
Khairtalab,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
----------------------------------------------------------------------------------
Maidaan-e a'shiqee meN sub kuch jo haarte haiN
Iss ishq meN wohee to maidaan maarte haiN
Dil tujhpe waarte haiN jaaN tujhpe waarte haiN
YooN husn-e yaar tera sadqa utaarte haiN
KitnoN ko ek pal meN bemaut maarte haiN
“Tan tan ke jab woh apna seena ubhaarte haiN”
Gesoo-e waqt yaro hote haiN jab pareeshaN
Hum shana-e amal se unko saNwaarte haiN
Aao ya tum nah aao lekin Sadaa to sun lo
Deevar.o.dar kisee ke tum ko pukarte haiN
Tareekh-e zulm paRh lo har jung men hameshah
Mazloom jeet ta hai zalim hi haarte haiN
AshAAr kub haiN yaro kuch naqsh haiN yeh dil ke
Jin ko qalam se :Jawaid: akSer ubhaarte haiN
-------------------------------------------------------------
Posted: Thu Oct 06, 2005 1:12 am
by hassan_bashir
wahh wahh jawaid saaHib kyaa khub ash'aar nikaale haiN saare ke saare ash'aar khub hai matlaa behad pasaNd aaya
is khubsurat kalaam ke liiYe meri jaanib se daad qubul farmaayeN.
Dua'a-go
Hassan
Posted: Thu Oct 06, 2005 5:50 am
by jawaid badauni
hassan_bashir wrote:wahh wahh jawaid saaHib kyaa khub ash'aar nikaale haiN saare ke saare ash'aar khub hai matlaa behad pasaNd aaya
is khubsurat kalaam ke liiYe meri jaanib se daad qubul farmaayeN.
Dua'a-go
Hassan
Hasan Bashir Sb
Ghazal ki pazeeraai ke liye aap ka behud mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Apka Mukhlis
Jawaid
Bahut khoob
Posted: Thu Oct 06, 2005 9:20 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye:
Maidaan-e ashiqee meN sub kuch jo haarte haiN
Iss ishq meN wohee to maidaan maarte haiN
Dil tujhpe waarte haiN jaaN tujhpe waarte haiN
YooN husn-e yaar tera sadqa utaarte haiN
KitnoN ko elk pal meN bemaut maarte haiN
“Tan tan ke jab woh apna seena ubhaarte haiN”
Gesoo-e waqt yaro hote haiN jab pareeshaN
Hum shana-e amal se unko saNwaarte haiN
Aao ya tum nah aao lekin Sadaa to sun lo
Deevar.o.dar kisee ke tum ko pukarte haiN
Tareekh-e zulm paRh lo har jung men hameshah
Mazloom jeet ta hai zalim hi haarte haiN
AshAAr kub haiN yaro kuch naqsh haiN yeh dil ke
Jin ko qalam se :Jawaid: akSer ubhaarte haiN
Nazir.[/i]
Re: Meri tarahee ghazal (Guz # 10)
Posted: Fri Oct 07, 2005 1:38 pm
by Shummu
jawaid badauni wrote:
Dil tujhpe waarte haiN jaaN tujhpe waarte haiN
YooN husn-e yaar tera sadqa utaarte haiN
KitnoN ko ek pal meN bemaut maarte haiN
“Tan tan ke jab woh apna seena ubhaarte haiN”
Gesoo-e waqt yaro hote haiN jab pareeshaN
Hum shana-e amal se unko saNwaarte haiN
Aao ya tum nah aao lekin Sadaa to sun lo
Deevar.o.dar kisee ke tum ko pukarte haiN
wah bahut khoob!!!
Re: Bahut khoob
Posted: Fri Oct 07, 2005 8:17 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye:
Maidaan-e ashiqee meN sub kuch jo haarte haiN
Iss ishq meN wohee to maidaan maarte haiN
Dil tujhpe waarte haiN jaaN tujhpe waarte haiN
YooN husn-e yaar tera sadqa utaarte haiN
KitnoN ko elk pal meN bemaut maarte haiN
“Tan tan ke jab woh apna seena ubhaarte haiN”
Gesoo-e waqt yaro hote haiN jab pareeshaN
Hum shana-e amal se unko saNwaarte haiN
Aao ya tum nah aao lekin Sadaa to sun lo
Deevar.o.dar kisee ke tum ko pukarte haiN
Tareekh-e zulm paRh lo har jung men hameshah
Mazloom jeet ta hai zalim hi haarte haiN
AshAAr kub haiN yaro kuch naqsh haiN yeh dil ke
Jin ko qalam se :Jawaid: akSer ubhaarte haiN
Nazir.[/i]
Mohtarmee Nazir Sahab,
Aadaab
Ghazal aapko pasaNd aaii yeh mere liye baRa e'zaz hai aur merii bahut himmat afzaaii hoii. Ab mazeed ghazaloN ka Khususan aapki ghazal ka intezar hai.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Posted: Fri Oct 14, 2005 7:26 am
by jawaid badauni
Azeezah Sara Bahin, doa
Aapki dad.o.tahseen aur sher-ba-sher tabsare ke liye aapka behud mamnoon hooN.
Ummid hai aindah bhi himmat afzaaii farmati raheNgee.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Sat Oct 15, 2005 7:39 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
azeebhai jawaid saahib
aapki yeh ghazal bahut acchi lagi.lafzo.n se khelte hai.n aap.hame.n khaaskar aapka yeh sher bahut pasand aaya
"taareekhe zulm parhlo har jung mei.n hamesha
mazloom jeet ta hai zaalim hi haarte hai.n"
waah bahut khoob
hamari dili daad qubool farmaaye.n
aapka apna
haamidbaaqri
Posted: Sat Oct 15, 2005 8:28 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
azeebhai jawaid saahib
aapki yeh ghazal bahut acchi lagi.lafzo.n se khelte hai.n aap.hame.n khaaskar aapka yeh sher bahut pasand aaya
"taareekhe zulm parhlo har jung mei.n hamesha
mazloom jeet ta hai zaalim hi haarte hai.n"
waah bahut khoob
hamari dili daad qubool farmaaye.n
aapka apna
haamidbaaqri
Aapko yahaN dekhkar bahut Khooshi hoii Haamid Baaqri Sb. Aapki daad.o.tahseen ke liye aap ka mamnoon hooN.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Sun Oct 16, 2005 2:20 am
by Raji
moHtaram janab-e-Jawaid SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
yeh zameen tu mujhe weise hee bohat psand thee aur aap kee ghazal ne tu kamaal hee kar diya paRh kar bohat lutf aaya. :) meree janib se DhairooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Posted: Sun Oct 16, 2005 2:23 am
by Raji
moHtaram janab-e-Jawaid SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
yeh zameen tu mujhe weise hee bohat psand thee aur aap kee ghazal ne tu kamaal hee kar diya paRh kar bohat lutf aaya. :) meree janib se DhairooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Posted: Sun Oct 16, 2005 4:02 am
by jawaid badauni
Raji wrote:moHtaram janab-e-Jawaid SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
yeh zameen tu mujhe weise hee bohat psand thee aur aap kee ghazal ne tu kamaal hee kar diya paRh kar bohat lutf aaya. :) meree janib se DhairooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Mohtarmah Raji Sahibah
Ghazalki pazeereaaii ke liye mamnoon hooN.Bahut bahut shukriya.
Khoosh RaheN!
Jawaid