:i'shq kee paayee intihaa nah kabh`oo!:

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

:i'shq kee paayee intihaa nah kabh`oo!:

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: tasleemaat!

Khudaa-e-suKhan Mir Taqi "Mir" kee zameen meN ek Ghazal pesh-e-Khidmat hai. miSra'-e-t^araH hai:

:i'shq kee paayee intihaa nah kabhoo!:

yooN to sab se hee tabSireh aur raaYe kee darKhwaast hai lekin chooN.k puKhtah-mashq sho,a'raa ek doosre ke kalaam par tanqeed karne se u'mooma" gurez karte haiN (kyoN? is kaa Sirf Allah ko hee i'lm hai!) is liYe meree KhuSooSee guzaarish apne nau-jawaan aur nisbata" kam tajribeh-kaar dostoN se hai keh woh bilaa-takalluf apnee raaYe kaa iz^haar kareN.

woh tabSirah karte waqt is baat kee mut^laq fikr nah kareN keh un kee baat meN kitnaa wazn hai yaa un kaa koyee sawaal kitnaa aham hai. un ke tabSireh se do baRe faa,ide hoN ge.

(1) mujh` ko un kee soch kaa andaazah ho gaa aur maiN us kee raushanee meN behtar kehne kee koshish kar sakooN gaa.

(2) Khud un ko tabSirah karne kaa hunar aur saleeqah aaYe gaa. woh gehree soch ke a'adee hoN ge aur waqt ke saath` apnee naaqidaanah naz^ar meN taraqqee kareN ge.

maiN aap sab kee raaYe kaa muntaz^ir rahooN gaa. shukriyah!
---------------------------------------

GHAZAL

koyee tum saa ho kaj-adaa nah kabh`oo!
ek wa'dah kiyaa wafaa nah kabh`oo!

zaKhm-e-dil, zaKhm-e-jaan, zaKhm-e-jigar
lohoo aisaa kaheeN bahaa nah kabh`oo!

ek daryaa-e-dard-e-be-paayaaN
"i'shq kee paayee intihaa na kabh`oo"!

koochah koochah, galee galee dekh`aa
aah! apnaa patah milaa nah kabh`oo!

sochtaa kaun intihaa kee jab
raas hee aayee ibtidaa nah kabh`oo?

tujh` ko dekh`aa to yooN huwaa meHsoos
tujh` saa koyee kaheeN milaa nah kabh`oo!

aise Khud-aashnaa huwe haiN ham
yaad aayaa hameN Khudaa nah kabh`oo!

ho nah ho us galee se aayee hai
aisee gul-paash th`ee Sabaa nah kabh`oo!

zindagee kee hazaar raahoN meN
kyoN milaa koyee raastaa nah kabh`oo?

jaisaa a'ajiz hai aap kaa "Sarwar"
aisaa koyee ho be-nawaa nah kabh`oo!
=======================
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
ibtidaa_cr.gif
ibtidaa_cr.gif (19.92 KiB) Viewed 96 times
gg-nahkabhoo_cr.gif
gg-nahkabhoo_cr.gif (16.25 KiB) Viewed 96 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

mohtaram sarwar saheb

aap ki ghazal se mehzooz hua is khoobsoorat kalaam ke liye dili daad hazir hai quboolfarmayeN

Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply