"tere hoto.n pe"ghazal peshe khidmat hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"tere hoto.n pe"ghazal peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto
apni ghazal pehli baar is forum mei.n post kar raha hoo.n
gar qubool uftad zahe...........


tere hoto.n pe jo hasee.n hogi
tujh se logo.n ki dosti hogi

narm dil aankh mei.n namee hogi
sangdil aankh aatishee hogi

sabr gar too karega mushkil mei.n
teri aasaan zindagi hogi

andha eemaa.n na kaam aayega
fikr se dil ko aagahi hogi

kaam tadbeer se jo leyleyga
usko taqdeer dhoondhtee hogi

sharm zever hai aik aurat ka
behayayee to khudkushee hogi

tere ash^aar dilko choole.nge
un mei.n gar haq ki roshni hogi

dil jigar khoon aik kar haamid
tab kahi.n jaake shaayeri hogi

haamidbaaqri
bangalore
india
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salaam khushaamadeed haamid jee...aap ko yahan dekh kar khushi hui.


aapki is khoobsurat choTi behr ki ghazl pe waise to ek dosori bazm mein daad pesh kar chuki hoon...magar yahan bhi daad haazir hai qubool farmaayein :-)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

Shummu wrote:Salaam khushaamadeed haamid jee...aap ko yahan dekh kar khushi hui.


aapki is khoobsurat choTi behr ki ghazl pe waise to ek dosori bazm mein daad pesh kar chuki hoon...magar yahan bhi daad haazir hai qubool farmaayein :-)

Shumaila
wa alaikumussalaam
mohtarama shumeila saahiba

bahut bahut shukria shumeila saahiba.dobara daad dene keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.
aapne hame.n bataya nahi.n ki hamari site par hamari aawaaz suni ya nahi.n.aik baat aur hum batana aapko bhool gaye ki jab aap play click kare.n to thodi der ke liye ruk jaaye.n to zaroor hamari aawaaz sunpaye.ngi.waise sabr ka phal hamesha meetha hi hota hai...hai na?


aapka mukhlis
haamidbaaqri
bangalore
india
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

maine bhut try kiya tha magar nahi sun saki thi..chaliye aap ke kehne pe dubaara se try karungi..kaamyaabi mili to bata dungi aapko :-)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply