Aik Taazatareen ghazal
Posted: Wed Oct 26, 2005 3:31 am
Aik Taaza ghazal ke saath hazir huva hoN ,dua kijye ke hazir hota rahoN.
halaat badalnay lagte hi, sab yaar hamaaray toot gaye
phir zabt ka daman choot gaya, phir dil pe raha kab apna bas
maujoN mai jo shiddat aai thi, daryaa ke kinaaray toot gaye
kuch sheesh mahal se manzar jou, palkoN pe sajaye rakhe thay
pathraao ka mousam kia aaya, vo saaray nazaaray toot gaye
jo andhay saNp ko chiryaa se pairhoN mai ghiza pahoNchata hai
vo aik sahaara kaam aaya , jab saray sahaaray toot gaye
mahtab adaaiN chahat ki mausam ke mutabiq hoti haiN
dushman ki adawat joN ki tuN, aur pyaar se pyaaray toot gaye
Ghazal
ek aik kiran madoom huvi, sab aaNk ke taaray toot gayehalaat badalnay lagte hi, sab yaar hamaaray toot gaye