aah yeh marge dawaam

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

aah yeh marge dawaam

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto


hamaara aik audio album titled"shaheen" apni parwaaz per jismei.n allama iqbal ki aath chuninda nazmo.n ko humne mousiqee ke saath compose karke apni aawaaz mei.n record kiya hai jiski marketing hum khud kar rahe hai.n.aur ye allama iqbal per istarah ka hindustan ka pehla audio album hai. is album se aik nazm aapke saath hum share karna chahte hai.n

aah ye marge dawaam aah ye razme hyaat

khatm bhi hogee kabhie kashmakashe kaayenaat
aql ko miltee nahi.n apne buto.n se najaat
aah ye marge dawaam..............

aarifo aamee tamaam bandaye laato manaat
khaar hua kisqadar aadame yezdaa.n sifaat
aah ye marge dawaam............

qalbo nazar per giraa.n aise jahaa.n ka cibaat
kyu.n nahi.n hoti sehar hazrate insaa.n ki raat
aah ye marge dawaam...........



aap ki ittela^a ke liye:

hamare compose kiye hue 32(islamic educational audio albums) hai.n (both for children and adults)jinmei.n se aksar yahaa.n ke mukhtalif muslim idaare market karte hai.n.hum musalmano.n ka koyee organised marketing network yaha.n hindustaan mei.n na hone ki wajah se hum bade paimaane per in albums ko market nahi.n kar paa rahe hai.n.

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: aah yeh marge dawaam

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto


hamaara aik audio album titled"shaheen" apni parwaaz per jismei.n allama iqbal ki aath chuninda nazmo.n ko humne mousiqee ke saath compose karke apni aawaaz mei.n record kiya hai jiski marketing hum khud kar rahe hai.n.aur ye allama iqbal per istarah ka hindustan ka pehla audio album hai. is album se aik nazm aapke saath hum share karna chahte hai.n

aah ye marge dawaam aah ye razme hyaat

khatm bhi hogee kabhie kashmakashe kaayenaat
aql ko miltee nahi.n apne buto.n se najaat
aah ye marge dawaam..............

aarifo aamee tamaam bandaye laato manaat
khaar hua kisqadar aadame yezdaa.n sifaat
aah ye marge dawaam............

qalbo nazar per giraa.n aise jahaa.n ka cibaat
kyu.n nahi.n hoti sehar hazrate insaa.n ki raat
aah ye marge dawaam...........



aap ki ittela^a ke liye:

hamare compose kiye hue 32(islamic educational audio albums) hai.n (both for children and adults)jinmei.n se aksar yahaa.n ke mukhtalif muslim idaare market karte hai.n.hum musalmano.n ka koyee organised marketing network yaha.n hindustaan mei.n na hone ki wajah se hum bade paimaane per in albums ko market nahi.n kar paa rahe hai.n.

aapka mukhlis
haamidbaaqri
sorry hamid sahib aapka ye message aaj hi meri nazar se guzra.

jis naek raah mein aap kaam karte hain us se dil khush hua.

mujhe aapke audio albums mein dilchaspi hai, aapse is baare mein kaise rabta qaim karun?

waise agar aap ye baat kahsif bhai>>>webustad urdustan.com se is baare mein baat karein to bohat acha hoga.
salaamun alaikum
mohtarama sara saahebah

shukr hai kisee ne to is post ko padha.hame.n khushee hai keh woh aap hai.n.

bairoonee mumaalik ke liye sirf aik hee raasta hai aur woh through courier.

humne pehle isee tarah apne albums bheje hai.n.

ya aap koyee aisa edaara ya koyee marketing company jaanti ho.n jo in albums kee marketing kar sake.n.

hum filhaal do albums ke baare mei.n jaanna chaahte hai.n.

1.shaheen apni parwaaz per(allama iqbaal ka kalaam in urdu)
2.islamic rhymes in english for children titled"milky way"

the above audio albums have been concieved,music composed,and sung by me.al hamdulillah.

aap hame.n bataaye.n ki kistarah hum aaptak in albums ko pahunchaaye.n

aapke jawaab ka hum intezaar karenge.insha allah

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply