aek taazah ghazal Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek taazah ghazal Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarameen Arbaab-e-MeHfil
Aur aHbaab-e-sukhan,

Eid Mubaarak aur Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Apni taazah ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni qeemati aaraa se navaazkar mamnoon farmaayenge.

GHAZAL roman meiN:

zameen tung houi aasmaan tung houaa
hamaare waasTe apnaa makaan tung houaa

Ajab nahiN jou houe mujh se doosre badzun
Sitam tou yeh hei mira mehrbaaN tung houaa

maiN tujhko chouRke chaahoongaa ghair ko kaise
fuZool baataoN se ai meri jaan tung houaa

kisi ke ghar nahiN jaayenge ham bulaane per
ke maihmaan se her mezbaan tung houaa

khuli jou aankh tou dekhaa ke khaak hei dunyaa
shitaab marHala-e-aan-baan tung houaa

bahaar meiN bhi bhalaa faSl kii kami kiyuN hei
zameendaar se shayad kisaan tung houaa

samjh lo koii balaa aagaie hei munSif per
jou her Haleef kaa mere bayaan tang houaa

junooN ne jab se sanbhaali hei masnad-e-Nazir
khirad se rishta-e-vehm o gumaan tang houaa.
=======

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Attachments
a_na_trial_b_1_f.JPG
a_na_trial_b_1_f.JPG (86.71 KiB) Viewed 296 times
Image
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

wow great uncle jee zaberdast likha hay


Khsuh Rahain
Handsome
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Eid Mubarak hamari janib se bhi

Post by Mahtab Qadr »

Mohatramee Abhudllah bhai
Aap ki Taaza ghazal bahut pasand aaike naye naye mazameen le aaiN haiN aap jo sirf aaphi ka haq hai.

Matlaa la jwaab hai
zameen tung houi aasmaan tung houaa
hamaare waasTe apnaa makaan tung houaa

waah waah
Ajab nahiN jou houe mujh se doosre badzun
Sitam tou yeh hei mira mehrbaaN tung houaa

mashallah
maiN tujhko chouRke chaahoongaa ghair ko kaise
fuZool baataoN se ai meri jaan tung houaa

aaj kal ke halaat ki sahi akkasi bhi hai :)
kisi ke ghar nahiN jaayenge ham bulaane per
ke maihmaan se her mezbaan tung houaa

waah waah bahut khoob
khuli jou aankh tou dekhaa ke khaak hei dunyaa
shitaab marHala-e-aan-baan tung houaa

bilkul naya mazmoon hai Abdullah bhai bahut khoob
bahaar meiN bhi bhalaa faSl kii kami kiyuN hei
zameendaar se shayad kisaan tung houaa

waah waah
samjh lo koii balaa aagaie hei munSif per
jou her Haleef kaa mere bayaan tang houaa

maqtaa bhi bahut pasand aaya .waah
junooN ne jab se sanbhaali hei masnad-e-Nazir
khirad se rishta-e-vehm o gumaan tang houaa.

Aapka mukhlis
Mahtab Qadr
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

b]
Azeezi
Handsome

Purkhuloos Tasleemaat,

Apni ghazal kii pazeerayi ke liye aapka tah-e-dil se shukriyah adaa kartaa hooN. Ummeed ke aayindah bhi isi Tarah se Hauslah afzaayhi farmaate rahenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/b]
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami A.Nazir SaaHib, aadaab

sab se pehle to aap ko Eid mubaarak !

ab aap ki tabe'at kaisee hai ? ( sonaa thaa aap a'leel the ?)

intehaayee ma'zirat chaahtaa hoN k is qadar ta'Kheer se Haazir howaa ! dar aSl net ka baRa mas'ala hai yahaaN pe , aaj kal maheenoN Kharaab rehtaa hai !, jab bhi connect hotaa hai Haazir hojaataa hoN ! ummed hai k dar guzar farmaayeNge !


aap kee kis Ghazal ne lutf nahiN diyaa bhalaa ? ham to aap kee jo bhi Ghazal paRhte haiN dil pe haath rakh dete haiN ! maashaa Allah aek aek shea'r goohar-e-yagaana hotaa hai aur nishtar sa chubtaa hai ! ye Ghazal bhi wesee hi aek Ghazal hai ! meeree jaanib se daad qabool kejetye ! shukriuya

moKhliS :

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: aek taazah ghazal Abdullah Nazir

Post by Shummu »

Ajab nahiN jou houe mujh se doosre badzun
Sitam tou yeh hei mira mehrbaaN tung houaa

kisi ke ghar nahiN jaayenge ham bulaane per
ke maihmaan se her mezbaan tung houaa

khuli jou aankh tou dekhaa ke khaak hei dunyaa
shitaab marHala-e-aan-baan tung houaa

samjh lo koii balaa aagaie hei munSif per
jou her Haleef kaa mere bayaan tang houaa

junooN ne jab se sanbhaali hei masnad-e-Nazir
khirad se rishta-e-vehm o gumaan tang houaa.
wah wah bahut khoob..aap ki taaza ghazal bahut achchi aur alag lagi khaaskar quoted ashaar ..daad pesh hai :-)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply