Janab Jawaid sahib
Aadaab o tasleem
Bahut khoob bahut pyari ghazal se nawaza hai aapne tamam sher pasand aaye .
Har gaam peh ik Taajmahal dekh raha hooN
MaiN aaj ke aaiine meN kal dekh raha hooN
hmm huzoor gustaakhi ki muazirat ke saath , meri naqis aql mai ye baat nahi aai ke aap kia dekh rahe hai , aaya aap har jaga aik mohabbat ki alamat tameer hoti dekh rahe haiN ya phir mahbaaboN ki rukhsati (final) ka manzar dekh rahe haiN , kioN ke TAJ MAHAL baharhal aik mohabbat ki alamat bhi hai aur aik mahbooba ka mazaar bhi.
MaiN apni wafaoN ka badal dekh raha hooN
Chhup chhup ke tira radde amal dekh raha hooN
wah khooob chup chup ke dekhna bahut lutf de raha hai
Darta hooN keh khuwaaboN ka mahal TooT nah jaaye
Peshaani-e taqdeer peh bal dekh raha hooN
bahut khoob
Pyasa to azal se hooN magar haath baNdhe haiN
Aur samne bahta huwaa jal dekh raha hooN
qafia hindi ka sahi magar zaroorat e sheri ke taur par qabil e qubool bhi hai balke urdu ki wasee damani ka ehsaas bhi dilaata hai
Yeh Khuwwaab meN doobi hoii mad`hosh see aaNkheN
Lagta hai keh jaise maiN kaNwal dekh raha hooN
waah waah ghazal ka bahut khoobsurat sher irshaad farmaaya aap ne bahut khoob janaab
:Jawaid: koii she’r kahiN rooTh nah jaaye!
Tanqeed ke sheeshe meN ghazal dekh raha hooN
wah maqta to lajawab hai aur aapne tanqeed ke sheesha ka zikr kar ke naqqadoN ki zaban band kardi hai:)
shurkai
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:
Dosto, Salam qubool kijiye
Bahut arce bAAd ek muKhtacar see ghazal aap ki nazr kar raha hooN.
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
--------------------------------------------------------------------------------