Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Mere mehrbaan doust Naseem-e-SeHar ne karamfarmaayi kii ke mere aek qadeem doust Naiem Hamid Ali kaa daAwat naamah Email se irsaal kiyaa jiske baare meiN unhouN ne telephone se bhii bataadiyaa thaa.

Naiem Hamid Ali SaaHib MarHoom Jigar Muradabaadi ke rishtehdar heiN aur aajkal Medina-e-munavvarah meiN qiyaam-pazeer heiN jahaaN inkaa aek kutubkhaanah bhii hei. Aek zamaanah pahle inkah aek majmooAa-e-kalaam Paikar-e-naghmah ke naam se shaayeA houaa thaa jiski maiN ne bahut taAreef suni thii.

BaHarhaal ab unhouN ne Ghalib kaa yeh miSra-e-TaraH bhejaa hei:
be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din[

Zaahir hei ke yeh bahut hi mushkil kaam hei lekin maiN ne koushish kii ke kuch sheAr per mabni aek TaraHi ghazal pesh karuN jou Haazir-e-khidmat hei:

GHAZAL roman meiN:

Dil rahegaa aur nah uski cheerah-dasti aek din
"be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din

Ik zaraa sii khush-naSeebi per hei kiyuN itnaa gharoor
Tum ko le Doobe nah apni khud-parasti aek din

Gar mili furSat zaraa sii gardish-e-ayyaam se
Jaam-e-chashm-e-yaar kii dekhenge masti aek din

Wo tou kehiye abr-e-reHmat kaa karam ham per rahaa
Aag warnah aasmaanaoN se barasti aek din

Uff re yeh zehr-e-sulook-e-ahl-e-dunyaa ka sitam
Maar Daalegi mujhe himmat kii pasti aek din

Jaane kiyuN maujaoN ne saaHil ke Hawaale kardiyaa
Hougaii thii zindagi se maut sastii aek din

Khaanah-aabaadi se :Nazir: who gurezaaN heiN tou houN
Dar hei veeraaN hou nah jaaye dil kii basti aek din.
=======
Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Attachments
a_na_aekdin_f.JPG
a_na_aekdin_f.JPG (99 KiB) Viewed 470 times
Image
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Anmol »

WEBMASTER wrote:Adaab, Nazir Sahib!

Kese mizaaj heN?


Dil rahegaa aur nah uski cheerah-dasti aek din
"be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din

Cheera'dasti se kya muraad hay? :?

Ik zaraa sii khush-naSeebi per hei kiyuN itnaa gharoor
Tum ko le Doobe nah apni khud-parasti aek din

Waah waah, bohot hi khoob.

Gar mili furSat zaraa sii gardish-e-ayyaam se
Jaam-e-chashm-e-yaar kii dekhenge masti aek din

Nice.

Wo tou kehiye abr-e-reHmat kaa karam ham per rahaa
Aag warnah aasmaanaoN se barasti aek din

Waah.

Khaanah-aabaadi se :Nazir: who gurezaaN heiN tou houN
Dar hei veeraaN hou nah jaaye dil kii basti aek din.

nice.

Waah bala ki rawani hay is ghazal meiN. Bohot zabrdast lagi mujhe. Her sher hi khoob hay. Meri jaanib se Dher sari daad qubool kijiye. :-) aur haaN aap ke dost ka tarruf jaan kar accha laga. Kabhi un ka bhi kalaam hamare sath share kijiye ga.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!

aap kee Ghazal dekh`ee aur mustafeed huwaa. yooN to pooree Ghazal hee aap kee hunar-mandee kaa dilkash namoonah hai lekin mat^la' KhaaS t^aur se dil-aawez hai. meree naa-cheez daad qubool keejiYe. ummeed hai keh ab aap mukammal t^aur se SeHatyaab ho chuke hoN ge.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

Nazir saHib

salaam arz hai

itni mushkil zameen meiN aap jaise ustad shaa'ir hi itne umda mazaameen nikaal sakte haiN

meri jaanib se daad Hazir hai, qubool farmaaiN

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Raji »

WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-Sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Mere mehrbaan doust Naseem-e-SeHar ne karamfarmaayi kii ke mere aek qadeem doust Naiem Hamid Ali kaa daAwat naamah Email se irsaal kiyaa jiske baare meiN unhouN ne telephone se bhii bataadiyaa thaa.

Naiem Hamid Ali SaaHib MarHoom Jigar Muradabaadi ke rishtehdar heiN aur aajkal Medina-e-munavvarah meiN qiyaam-pazeer heiN jahaaN inkaa aek kutubkhaanah bhii hei. Aek zamaanah pahle inkah aek majmooAa-e-kalaam Paikar-e-naghmah ke naam se shaayeA houaa thaa jiski maiN ne bahut taAreef suni thii.

BaHarhaal ab unhouN ne Ghalib kaa yeh miSra-e-TaraH bhejaa hei:
be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din[

Zaahir hei ke yeh bahut hi mushkil kaam hei lekin maiN ne koushish kii ke kuch sheAr per mabni aek TaraHi ghazal pesh karuN jou Haazir-e-khidmat hei:

GHAZAL roman meiN:

Dil rahegaa aur nah uski cheerah-dasti aek din
"be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din
girah be-intihaa Khoobsoorat lagayaa hai aap ne . matla' ka Husn baRh gaya hai.


Ik zaraa sii khush-naSeebi per hei kiyuN itnaa gharoor
Tum ko le Doobe nah apni khud-parasti aek din
bohat hee KhoobSoorat she'r hai.


Gar mili furSat zaraa sii gardish-e-ayyaam se
Jaam-e-chashm-e-yaar kii dekhenge masti aek din
yeh she'r bhi acha laga

Wo tou kehiye abr-e-reHmat kaa karam ham per rahaa
Aag warnah aasmaanaoN se barasti aek din

Uff re yeh zehr-e-sulook-e-ahl-e-dunyaa ka sitam
Maar Daalegi mujhe himmat kii pasti aek din

Jaane kiyuN maujaoN ne saaHil ke Hawaale kardiyaa
Hougaii thii zindagi se maut sastii aek din

Khaanah-aabaadi se :Nazir: who gurezaaN heiN tou houN
Dar hei veeraaN hou nah jaaye dil kii basti aek din.
=======
Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap ne Ghalib kee zameen aur miSraH-e-taraH ka bharpoor haq adaa kiya hai jis kee ham aap se tavaque bhi rakhte heN. :)

tamaam hee ashaar ek se baRh kar ek heN. yeh Sirf daad daine ke liye naheeN keh rahii balkeh is ghazal meN kuch aisee baat zaroor hai jo paRhne waale ko apnee jaanib kheNch le.

matla aur uske ba'ad ka she'r tu be-intiha Khoob heN aur deegar ashaar bhi taqreeban isee darjeh peh aate heN.
meree janib se ek behtreen ghazal kehne par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

karam farmaayi ke liye shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aap ne meri ghazal per tabSirah karte houe HauSlah afzaayi farmayi hei jiske liye beHad shukrguzaar hooN.

muddat huyee keh aashtee-e-chashm-o-gosh hai!

aap kee Ghazal dekh`ee aur mustafeed huwaa. yooN to pooree Ghazal hee aap kee hunar-mandee kaa dilkash namoonah hai lekin mat^la' KhaaS t^aur se dil-aawez hai. meree naa-cheez daad qubool keejiYe. ummeed hai keh ab aap mukammal t^aur se SeHatyaab ho chuke hoN ge.

Sarwar A. Raz "Sarwar"


bafaZl-e-khudaa in dinaoN ba-seHHet o Aafiyat hooN. Aap se duAaa kii darkhwast hei. Aapke giraaNqadr tabSireh kaa javaab likhne meiN t'akheer hougaie hei jis ke liye maAzirat khwaah hooN.

Koushish karungaa ke aayindah se aHbaab-e-sukhan aur arbaab-e-fikr kii aaraa ke barwaqt javaabaat de sakuN.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mohtaram Abdullah Nazir Saheb
Tasleemat
Mirza Ghalib ke misra per aap ki Tarahi Ghazal buhat pasand aayii
Tamam asha'ar buhat achey haiN
Mujh naacheez ki janib Daad-o-mubarikbaad Qabool kijye
Wasalaam
zmufti
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


Anmol SaaHibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Apni ghazal per aapka giraaNqadr tabSirah paRhkar bahut khushi houi. TafSeeli Taur per likhne ke liye shukriyah qubool farmaaiye.

Aap ne "cheerah dasti" ke maAni daryaaft kiye heiN. Iske mani heiN (ghalbah, girift, zour, Hukm) aur english meiN iske maAni yooN husakte heiN (upperhand, control, tyranny, pressure).


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Shukriyah

Post by Anmol »

WEBMASTER wrote:
Anmol SaaHibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Apni ghazal per aapka giraaNqadr tabSirah paRhkar bahut khushi houi. TafSeeli Taur per likhne ke liye shukriyah qubool farmaaiye.

Aap ne "cheerah dasti" ke maAni daryaaft kiye heiN. Iske mani heiN (ghalbah, girift, zour, Hukm) aur english meiN iske maAni yooN husakte heiN (upperhand, control, tyranny, pressure).


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Adaab, Nazir Sahib!

Behad shukria. Ab cheera'dasti ka matlab samajh aa gaya hay aur sher bhi. Daad qubool kijiye.

:-)
Post Reply