Adaab,
Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega.
Ghazal:
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN
Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
:Anmol:
Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
aadaab arz haiAnmol wrote:Adaab
jee nahiN :P , aap ne savaal kia to ham ne javaab de dia, mazaaq bartaraf matla acha haiDil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
"yooN hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai"Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
bahot khoob, acha she'r hai, daad qubool kareN gi ?
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN
jee mohtarma, chaahat kisi aik se aisi hi milni chaahiye jo pehle kisi aur se na mili ho 8)
vaah vaah, bahot khoob !!Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
aap ke ghar meiN bijli nahiN hai kia ?Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
Allah aap ke dil meiN khushyaaN aur paeham masarrateN laaye (aameen)Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
ghazal pasand aayee, apni is umda kawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN
Amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut khoob
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN
Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
A N M O L
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal mujhe beHad pasand aayi jiske liye daad aur mubaarakbaad peshe-e-khidmat hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
mohtarama anmol saahebahAnmol wrote:Adaab,
Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega.
Ghazal:
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN
Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
:Anmol:
salaamun alaikum
badi pur dard ghazal hai magar acchee hai.
so daad haazir hai.
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaada
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Adaab, Amjad Sahib!
Ghazal per aap ka pur'lutf tabsara bohot accha laga. Aainda bhi yuNhi hosla'afzayi karte rahiyye.
shukria.
Ghazal per aap ka pur'lutf tabsara bohot accha laga. Aainda bhi yuNhi hosla'afzayi karte rahiyye.
shukria.
Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Dear Sara,
tumhari muhabbat hay k meri aam si shaayri ko pasand karti ho, aur paRhna chahti ho. Ghazal ki pazeerayi k liye behad mamnoon huN.
tumhari muhabbat hay k meri aam si shaayri ko pasand karti ho, aur paRhna chahti ho. Ghazal ki pazeerayi k liye behad mamnoon huN.
Re: bahut khoob
Respected Nazir Sahib, adaab!
Aap ki janib se daad paa k yaqeen ho gaya k waqai ghazal is laaiq thi k pasand ki jati. Bohot shukria itni hosla'afzayi karne ka.
Aap ki janib se daad paa k yaqeen ho gaya k waqai ghazal is laaiq thi k pasand ki jati. Bohot shukria itni hosla'afzayi karne ka.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Adaab, Hamid Sahib!
Aap ne ghazal ki pazeerayi ki, us k dard aur jazbaat ko mehsoos kia, behad shukria.
Aap ne ghazal ki pazeerayi ki, us k dard aur jazbaat ko mehsoos kia, behad shukria.