Page 1 of 1

Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Mon Nov 21, 2005 3:00 am
by Anmol
Adaab,

Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega. :-)

Ghazal:

Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?

Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?

Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN

Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN

Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN

Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN

:Anmol:

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Mon Nov 21, 2005 6:27 am
by Ibn-e-siddique
Anmol wrote:Adaab
aadaab arz hai
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?
jee nahiN :P , aap ne savaal kia to ham ne javaab de dia, mazaaq bartaraf matla acha hai
Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?
"yooN hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai"

bahot khoob, acha she'r hai, daad qubool kareN gi ? :-)
Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN


jee mohtarma, chaahat kisi aik se aisi hi milni chaahiye jo pehle kisi aur se na mili ho 8)
Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN
vaah vaah, bahot khoob !!
Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN
aap ke ghar meiN bijli nahiN hai kia ? :shock:
Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN
Allah aap ke dil meiN khushyaaN aur paeham masarrateN laaye (aameen)

ghazal pasand aayee, apni is umda kawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN

Amjad

bahut khoob

Posted: Tue Nov 22, 2005 10:46 am
by Abdullah Nazir
Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?

Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?

Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN

Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN

Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN

Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN


A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal mujhe beHad pasand aayi jiske liye daad aur mubaarakbaad peshe-e-khidmat hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Sat Nov 26, 2005 6:33 am
by haamidbaaqri
Anmol wrote:Adaab,

Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega. :-)

Ghazal:

Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN?
Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN?

Jese mausam badalte rehte heN
Ye muhabbat bhi mausami to nahiN?

Jesi chahat hameN mili tujh se
Is se pehle kabhi mili to nahiN

Kab tumhare baGher jeete heN
Saans lena hi zindagi to nahiN

Jal rahay heN charaaGh bhi ghar meiN
HaaN magar in meiN raushnee to nahiN

Ab bhi anmol muskurati hay
Us k dil meiN magar Khushi to nahiN

:Anmol:
mohtarama anmol saahebah
salaamun alaikum

badi pur dard ghazal hai magar acchee hai.

so daad haazir hai.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaada

mukhlis
haamidbaaqri

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Mon Dec 05, 2005 5:19 am
by Anmol
Adaab, Amjad Sahib!

Ghazal per aap ka pur'lutf tabsara bohot accha laga. Aainda bhi yuNhi hosla'afzayi karte rahiyye. :-)

shukria.

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Mon Dec 05, 2005 5:21 am
by Anmol
Dear Sara,

tumhari muhabbat hay k meri aam si shaayri ko pasand karti ho, aur paRhna chahti ho. Ghazal ki pazeerayi k liye behad mamnoon huN.

:-)

Re: bahut khoob

Posted: Mon Dec 05, 2005 5:23 am
by Anmol
Respected Nazir Sahib, adaab!

Aap ki janib se daad paa k yaqeen ho gaya k waqai ghazal is laaiq thi k pasand ki jati. Bohot shukria itni hosla'afzayi karne ka.

:-)

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Posted: Mon Dec 05, 2005 5:24 am
by Anmol
Adaab, Hamid Sahib!

Aap ne ghazal ki pazeerayi ki, us k dard aur jazbaat ko mehsoos kia, behad shukria.


:-)