"ek din zamee.n pe"hamaari aik ghazal
Posted: Wed Nov 30, 2005 8:33 am
salaamun alaikum
dosto,
arz kiya hai
"ek din zamee.n pe"
ek din zamee.n pe khuld se phenka gaya hame.n
auqaat apni kya hai bataya gaya hame.n
jo kuch bhi chahte the woh milta tha muft mei.n
anmol ne^amato.n se hataaya gaya hame.n
ek lamhe ki khata ki saza humko yu.n mili
dukh dard ke makaan mei.n bheja gaya hame.n
naadim hua jo dil yeh hamara khata ke baad
rahmat ki baarisho.n se bhigoya gaya hame.n
ammara nafs ke kabhie shaitaa.n rajeem ke
do dushmano.n ke beech mei.n daala gaya hame.n
in dushmano.n se har ghadi ladne ke waaste
panja namaaz padhna sikhaya gaya hame.n
eemaan aur nek amal se baqa mile
paigham yeh khuda ka sunaya gaya hame.n
haamid karoge fikr to miljaayega jawaab
kiswaaste jahaan mei.n bheja gaya hame.n
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah