aadaab,
mujhey iss lafz ke sahi talaffuz meN kuch mushkil aa rahi hai.
mere khayaal meN jis tarah :safar: se :safaree, hum-safaree: aur :khabar: se :khabaree, be-khabaree: hotaa hai, usee taraH :nagar: se :nagaree: honaa chaahiye.
agar koyee madad kar sake tau navaazish ho gee.
mukhlis
Naheed
lafz.e.nagree yaa nagaree??
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: lafz.e.nagree yaa nagaree??
is lafz kaa saHeeH talaffuz "NAGRI" hii hai na k "nagari" jaise ham "naukar" se nikle huye lafz ko "NAUKRI" kahte haiN na k "naukari"; jaise Hiran se Hirnii, dharan se dharnii hai. ek aur misaal zehn meN aatii hai go k vo lafz Hindii kaa nahiiN phir bhii...jigar se niklaa huaa lafz ko ham "JIGRI" kahte haiN na k "jigari"naheedv wrote:aadaab,
mujhey iss lafz ke sahi talaffuz meN kuch mushkil aa rahi hai.
mere khayaal meN jis tarah :safar: se :safaree, hum-safaree: aur :khabar: se :khabaree, be-khabaree: hotaa hai, usee taraH :nagar: se :nagaree: honaa chaahiye.
agar koyee madad kar sake tau navaazish ho gee.
mukhlis
Naheed
maiN ne Platts kii Dictionary meN dekhaa hai...vahaaN bhii lafz "nagri" hii darj hai.
Meera Ji ka yeh she'r dekhiye:
nagrii nagrii phiraa musaafir, ghar kaa rasta bhuul gayaa
kia hai teraa, kia hai meraa, apnaa paraayaa bhuul gayaa
Javed AKhtar kaa yeh she'r:
is nagrii meN kiuN miltii hai roTii sapnoN ke badle
jinkii nagrii hai vo jaaneN, ham Thahre banjaare log
Nasiir Kaazmii kaa yeh she'r:
is nagrii ke kuchh logoN ne
dukh kaa naam davaa rakhaa hai
aur Abid Ali "Abid" ka yeh she'r:
is nagrii meN baaGh aur ban kii, yaaro! liilaa nyaarii hai
panchhii apne sar pe uThaa kar apne basere phirte haiN
aapne jo digar misaaleN dii haiN...yaad rahe k vo faarsii/'arbee ke alfaaz haiN; Hindii ke nahiiN, lihaaza is tarkeeb kaa Hindi ke alfaaz par itlaaq nahiiN hotaa.
india meN ek train chalti hai uska naam hii hai...Mahanagri Exp. aur mere shahr kii city bus service kaa naam bhii hai "Mahanagri Bus Sevaa"...lolz
ummeed hai k baat vaazeh ho gaii hogii...shukria.
Re: lafz.e.nagree yaa nagaree??
is lafz kaa saHeeH talaffuz "NAGRI" hii hai na k "nagari" jaise ham "naukar" se nikle huye lafz ko "NAUKRI" kahte haiN na k "naukari"; jaise Hiran se Hirnii, dharan se dharnii hai. ek aur misaal zehn meN aatii hai go k vo lafz Hindii kaa nahiiN phir bhii...jigar se niklaa huaa lafz ko ham "JIGRI" kahte haiN na k "jigari"
maiN ne Platts kii Dictionary meN dekhaa hai...vahaaN bhii lafz "nagri" hii darj hai.
aadaab 'arz hai -
aaj hi is laRi par nazar giri - aur darj-e-baala tehreer dekh kar javaab dene
par majboor hua.
kuchch saal pehle maiN bhi is lafz ki tehqeeq kar raha tha, aur meri tehqeeq
ka yeh nateeja hua tha k asl lafz "nagari" hi hai - aur "nagri" lafz bhi jaa'iz hai.
to in donoN ko iste'maal karne meiN koi qabaahat naheeN honi chahiye.
aap sab ki Khidmat meiN Platts online dictionary ka link neeche diya hai ..
http://dsal.uchicago.edu/cgi-bin/philol ... 158.platts
ummeed hai ma'aloomaat faa'ida.mand saabit hogi.