gazal.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
dilshadnazmi
-
-
Posts: 24
Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
Location: jubail.ksa
Contact:

gazal.

Post by dilshadnazmi »

gazal hazir hai , aap ke tas_suraat ka muntazir hoon ..


jo rawiyon ki riwayaton se ulajh ke shayed gardhi hui hai
to khaakh daaman pe aansowon ki yeh bel kaesi khad>hi hui hai

mahak raha thaa khanakta laheja , nazar ki tahreer ajnabee thee\
yaqi ko lekin gumaan guzra , kitaab shayed pad>hi hui hai

udhar kinare pe eak laz_zat bhari thakan muntazir hai lekin
sambhal ke langar uthaeeyega , ke sar pe nad_di chad>hi hui hai

jab aagahi ka azab utra ,hawa ne mohtaat kar diya thaa
khayal_e_imkaa ki eak saa_at , sadi se aage bad>hi hui hai

wabal_e_jaa ban na jaey dilshad be -sabab aap ki khamooshi
ana ne kiyon khudare badan par yeh khaal aakhir mad>hi hui hai

....................................................................................................
Attachments
JADEED.JPG
JADEED.JPG (38.48 KiB) Viewed 436 times
dilshadnazmi.jubail.ksa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aapki ghazal pasand aayi

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaram
Dilshaad Nazmi SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MulaaHizaat:

jo rawiyon ki riwayaton se ulajh ke shayed gardhi hui hai
to khaakh daaman pe aansowon ki yeh bel kaesi khad>hi hui hai


"gardhi hui hei". aSl lafz ghaRnaa hei yani (gaaf + hey + Re + noon + alif). Lekin boul chaal meiN aapki kitaabat kii TaraH isteAmaal houtaa hei. Khaak daaman ki tarkeeb hindi zuban ki tarkeeb hei jo bilkul saHeeH hei. Aayiye ab is maTleA kii nacr likhkar dekhte heiN: (raaviaoN kii rivaayataoN se ulajhkar jo ghaRi houi hei shayad, tou daaman-e-khaak per yeh kaisi bel khaRi houi hei!). Ibaarat se yeh zaahir houtaa hei ke "jo" pahle miSreA meiN aek aisi baat ki Taraf ishaarah kiyaa jaarahaa hei jo raaviaoN ki rivaayataoN se uljajhkar ghaRi houi hei " yaAni us baat kaa koii makhSooS vazn taAayyun nahiN housakaa" . Phir doosre miSreA meiN aek sawaal pesh kiyaa jaarahaa hei jis se us baat ki ehmiyat zaahir houti hei.
Yeh aek falsafiyaanah maTlaA hei.

mahak raha thaa khanakta laheja , nazar ki tahreer ajnabee thee\
yaqi ko lekin gumaan guzra , kitaab shayed pad>hi hui hai


Qaabile fehm sheAr hei aur bahut hii achchaa hei. Waah waah.

udhar kinare pe eak laz_zat bhari thakan muntazir hai lekin
sambhal ke langar uthaeeyega , ke sar pe nad_di chad>hi hui hai


Jee aap kahnaa chaahte heiN ke nadi ke us kinaare per "lazzat bhari thakan" yeh istiAaarah aasani se tou samajh meiN nahiN aataa lekin housaktaa hei sheAr ke liHaaz se ham kaheN ke koii udhar intizaar karrahi hei. Aur phir doosre miSreA se sheAr kaa mafhoom vaaZeH houjaataa hei.
Bahut achchaa sheAr hei. Daad qubool keejiye.

jab aagahi ka azab utra ,hawa ne mohtaat kar diya thaa
khayal_e_imkaa ki eak saa_at , sadi se aage bad>hi hui hai


Bahut khoob, waah waah.

wabal_e_jaa ban na jaey dilshad be -sabab aap ki khamooshi
ana ne kiyon khudare badan par yeh khaal aakhir mad>hi hui hai


maQtaA bhii khoob hei. Aakhir meiN yeh kahungaa ke aap ne bahut sakht qaafiye ko apnaayaa hei. Baharhaal majmooAi Taur per aisi kaamyaab ghazal kahne per dobaarah meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.



....................................................................................................
Last edited by Abdullah Nazir on Wed Jan 04, 2006 5:09 pm, edited 1 time in total.
dilshadnazmi
-
-
Posts: 24
Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
Location: jubail.ksa
Contact:

salam _o_alaekum

Post by dilshadnazmi »



mohtaram nazir sahib ,

salam_o_alaekum ,

aap ne itni bahtareen , umdah , aur pur magz saer hasil

guftugu ki mujh nacheez ki adna si gazal par , yeh mere

liye kisi graan qadr in_aam se kam nahi ,

nazir sahib , aaj se galiban 12 ya 15 baras qabl yeh gazal

shaer parchey ke aalmi number pe shaaya hui thee , uss

waqt bahot khushi hui thee , magar yaqeen janiye , aap ke

ke iss pur magz aur ilmi tabsarey ke baad woh khushi pheeki

lagti hai , asl daad aap ke tabsrey se mili hai , aur be -intehaa

khushi bhi ,, mushaeron ki wah wahi der pa nahi hoti ,, asl yehi

tahreerein , sanad rahti hain , aur yeh mere liye sarmaya hai ,

aap ki tahreer , ka main be had mamnoon hoon , aur jahan

jahan aap ne ishara kiya hai main tifl_e_maktab , uss se mutafiq

bhi ,,, shukriya ,,nazir sahib ,, aap ka dilshadnazmi
dilshadnazmi.jubail.ksa
Post Reply