TARAHI MISRA - -- - (GUZ.13) by: ABDULLAH NAZIR.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
TARAHI MISRA - -- - (GUZ.13) by: ABDULLAH NAZIR.
Muhtarameen o MuHtaramaat
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
GUZARISH NO.13 taareekh 01/01/2006
TARAHI MISR'A, kulliyyaat-e-Mumin se:
"haaye kyaa kahiye ke dil ke saath kya kyaa jaaye hei"
Radeef= hei
Qaafiye= (jaaye, paaye, aaye, bahlaaye, samjhaaye, khaaye, dikhlaaye, sharmaaye, lalchaaye, Thukraaye, sarkaaye, duhraaye,) waghairah.
Iska vazn hei: faa'ilaa'tun...faa'ilaa'tun....faa'ilaa'tun...faa'ilun.
= /0//0/0…/0//0/0,,,/0//0/0…/0//0
=2122…2122…2122…212.
Yeh BAHR-E-RAMAL MEHZOOF kehlati hei.
Hazf ke zihaaf ki vajah se aakhiri rukn "faa'ilaa'tun" se "tun" hazf houjaataa hei aur baaqi rehjaataa hei "faa'ilaa" jisko "faa'ilun" banaadete heiN.
Ummeed ke aap hamaishah ki taraH is baar bhi Tab'A aazmayi farmayenge. Shukriyah.
Note: Kal maiN ne jaldi meiN puraani file se naql karne kii ghalaTi kardi thi jisko aaj Theek kardiyaa hooN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.