Page 1 of 33
Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Posted: Tue Jan 03, 2006 11:15 am
by Shummu
Salaam ahl-e-bazm..aligarian.com ke ik silsile se muta'assir hoke yahan bhi ek naye silsile ka aaGhaaz kar rahi hoon....ummeed hai aap sab baRhchaRh ke hissa lenge aur is laRi ko kaamyaab banaayenge.....
yahan aap ko maane jaane..naamwar..ustaad shoara ke MAQTE likhne hain...ek baar mein ek hi post kijiyega...shayar ke naam ko highlight zaroor kijiyega bold/italic/underline/quote/capital likh ke....is tarah se tamam ustaad shoara ke "maqte" yahan yakjaa ho jayenge...so aaGhaaz karein
Urdu hai jis ka naam hum hi jaante hain 'Daagh'
Saare jahaan may dhoom hamare zabaaN ki hai
MaQTeA meiN aa paRi hei
Posted: Tue Jan 03, 2006 2:45 pm
by Abdullah Nazir
"Hum kahaaN ke daanaa thay kis hunar meiN yaktaa thay
be-sabab houaa Ghalib dushman aasmaaN apnaa".
Nazir.
Posted: Wed Jan 04, 2006 8:11 am
by Zahid Jahangir
paRhta tha main namaz ki soorat jisse Nadeem
phir yoon howa ke mujh se qaza ho gia woh shakhs
Posted: Wed Jan 04, 2006 3:25 pm
by Shummu
na fanaa merii na baqaa merii mujhe ai 'Shakeel' na Dhuu.NDiye
mai.n kisii kaa husn-e-Khayaal huu.N meraa kuchh vujuud-o-adam nahii.n
Posted: Thu Jan 05, 2006 12:15 pm
by Shummu
muddat ke baad dekh ke us shakhsh ko Munir
ik baar dil to dhaRka magar phir sambhal gayaa
Posted: Fri Jan 06, 2006 7:40 pm
by ummassad
koi ay shakeel puche yh junoon nahi tuu kye hai
ke usi ke hogye hum jo nh hosaka hamara
Posted: Fri Jan 06, 2006 7:47 pm
by ummassad
wohi ak kamoush nagma hai SHAKEELjan-e- hasti
jo zuban tak na aaye jo kalaam tak na pohanche
Posted: Fri Jan 06, 2006 8:34 pm
by ummassad
fani ham tuu jiteji wo maiyt hai be goor o kafan
gurbat jisko ras na aayi aor watan bhi choot gya
Posted: Sat Jan 07, 2006 10:04 pm
by Shummu
Qayaamat yaqeenan qareeb aa rahi hai
Khumar ab to masjid meiN jaane lage haiN
maqTaA
Posted: Sun Jan 08, 2006 2:49 am
by Abdullah Nazir
aatish yeh kis ki chaah kaa dam maarte hou tum
wo dli-rubaa hei dushman-e-jaaN doust-daar kaa.
Nazir.
Posted: Sat Jan 14, 2006 10:45 pm
by ummassad
muqam FAIZ koi raah main jacha hi nahi
jo kou-e- yaar se nikle tu suu-e- daar chale
Posted: Mon Jan 16, 2006 7:23 pm
by Shummu
shehr-e-ehsaas mein pathraoo buhat hai mohsin
dil k sheeshay ko jharokon mein sajaayaa na karo
(mohsin naqvi)
Posted: Mon Jan 16, 2006 8:31 pm
by ummassad
hijr-e- nabi maiin NOOR hamara raha yh haal
nala kunan rehee tuu kabhi novhager rahe
MaqTaA
Posted: Tue Jan 17, 2006 9:26 am
by Abdullah Nazir
lab hilaaou tou samajh legaa tumhaaraa :Nazir:
"bousah lene kaa sazaawaar dahan kiskaa hei.".
[color-brown]
Nazir.
[/color]
Posted: Fri Jan 20, 2006 9:12 pm
by ummassad
QATEEL apna muqqader gum se begana agar hota
tuu phir appne parayee hum se pahchane kahan jate