Makkah meiN muqeem shayer Ehsan Badayuni ki ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Makkah meiN muqeem shayer Ehsan Badayuni ki ghazal
MuHtaramaat o MuHtaramin
aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS tasleemaat,
Aek achche shayer Janab :Ehsan: RaZa Badaayuni jo hamare azeez shayer Jawaid Badaayuni ke qaraabat daaraoN meiN se heiN aur Makkah meiN rahte heiN, unki aek ghazal yahaaN pesh karne kii saAaadat HaaSil karraha hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar inki HauSlah afzaayi farmaayenge. (aapka MukhliS, Nazir).
GHAZAL Roman meiN:
Ab na sahar woh pahli see aor pahli si woh shaam naheen
Baroodon ke mausam me ab guldaston ka kaam naheen
Rang mahal men rahne wale chain ki neenden sote hain
Hamko apni kutiya men ik pal ko bhi aaraam naheen
Ghurbat muflis ke chehre pa kitne zulm sajaati hai
Uski qismat men khushyon ka kiya koi paigham naheen
Zulmat ki sharahon per insaaf ki devi baithi hai
Jiska apna deen- na –mazhab eeshwar allah raam nahin
Pahle khuabeeda chehron pe tahreren likh jaateen theen
Ab in khuab ka tabiron se rishta koi aam naheen
Dahshat- khauf- hiras –tashaddud ab bazaar men bikte hain
Inke saudagar ko kiya ab sarkari inaam naheen
Ret khandher barfeelee chader oorhe lete hain ehsan
Phool on ki khushboo ko phool men rahne ke ahkaam nahin
Shukriyah.
- Attachments
-
- a_ehsanbadayuni.JPG (53.43 KiB) Viewed 145 times
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
shukria
Janab Ehsaan sahib
Aadaab o Tasleem
aray waah bhai aapki ye ghazal to bahut khoobsurat hai. aur ham ghareeb uddaayaar logoN ke ehsasaat ki khoob akkasi kar rahi hai. bahut nawazish
mukhlis
Mahtab Qadr
Aadaab o Tasleem
aray waah bhai aapki ye ghazal to bahut khoobsurat hai. aur ham ghareeb uddaayaar logoN ke ehsasaat ki khoob akkasi kar rahi hai. bahut nawazish
mukhlis
Mahtab Qadr
- Ehsan Raza
- -
- Posts: 46
- Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
- Location: Makkah, Saudi-Arabia
- Contact:
Re:
QABIL-UL-QADR
JANAB MAHTAB QADR
HAOSLA AFZAI KE LIYE BAHUT 2 SHUKRIYA APNE AFKAAR KA SAHI KHULASA KIYA PATA NAHIN HAMARI GHAIBUL WATANI HUM JAISE GHAREEBU DDAYAR SHORA KE MIZAJ KO KIS NAOWAIYAT PER PAHOONCHA DEGI
MUKHLIS EHSAN BADAUNI