Tarahee Ghazal...Guzarish # 13 (January 2006)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Tarahee Ghazal...Guzarish # 13 (January 2006)
Dosto! Salam
Mujhe lagta tha iss baar maiN ghazal kah nahiN paaooNga. Yeh miSra Hazre Momin ki aisee ghazal ka hai jo unhoN ne apni KhaaS zubaan meN kahi thee. Har kisee ke liye is lahje meN ashAAr kahna mumkin nahiN.
BaharaHaal kuch ToTe-phooTe ashAAr ho gaye hain so bhej raha hooN. Ummid hai apni aara se nawazeNge. Mujhe Khooshi hai riwayat-e qadeem ko barqaraar rakhte howay sub se pahle Urdu Bandhan ke mushaaireh meN HaaZiree lagaa raha hooN.
Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni
-----------------------------------------------------------------------------
Ishq tera abr banker mere dil per chhaaye hai
Kya karooN yeh abr bin barse hi akSer jaaye hai
Sare din ki GhaltiyoN per woh bahoot pachtaaye hai
SubH ka bhoola hoowa jab sham ko ghar aaye hai
Dekh lo tareeKh, har SufHa yehee dohraaye hai
Zulm karke ek din zaalim bahoot pachtaaye hai
Ishq ki rasmoN se jo Khood hai abhee naa-aashna
Baarha woh ishq ka matlab mujhe samjhaaye hai
Gham gaya, chaahat gaii, hasrat gaaii, wahshat gaii
“haaye kyaa kahiye keh dil ke saath kya kya jaaye hai
Hazrat-e Nazir! zara aasaan miSery deejiye
Sub ko Momin ki zubaaN meN guftagoo kab aaye hai
Shayad ai “Jawaid” soya hi nahiN ooska zameer
Kaisa mujrim hai Khata karte howey ghabraaye hai
----------------------------------------------------------
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Buhat buhat shukriya Sara bahin,,,aapne khubsurat "image" banaya aur woh bhi mere iltemas ke baghair khood se yeh kaam kiya. Buhat dil khoosh hoa.
MuKhliS
Jawaid
MuKhliS
Jawaid
Last edited by jawaid badauni on Thu Jan 12, 2006 8:07 am, edited 3 times in total.
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal...Guzarish # 13 (January 2006)
edited by Raz
Last edited by Sarwar A. Raz on Thu Jan 12, 2006 3:35 am, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Azeem tanqeed-nigar Sarwar SaaHib
MuHtarami
Jawaid Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki aur Sarwar SaaHib kii naSeeHataoN ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Thu Jan 12, 2006 11:30 am, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: