Yaaraan-e-meHfil aadaab !
ummed hai k aap sab Kheryat se hoNge .
aap aHbaab baRee shiddat se yaad aate rahe , magar net..........
aaj baRee muddat k baa'd HaaZ^ir hosakaa hoN, agar che ab bhi yahaaN Net k Haalaat ba-dastoor kasheeda haiN , kuchch Khabar nahiN k apnee Haaliyaa Ghazal pe aap k giraan qadr taussuraat ka jawaab na de sakoN , magar jab bhi moqa melega inshaa Allah jawaab doNga . is leye aap dil choTa na kareN aur Ghazal pe kuch na kuch likheN. shukriya
Ghazal
1.
muddat hoi poochchaa hi nahiN Haal kisee ne
ye din bhi dikhaaye haiN Ghareeb-ul-wat^anee ne
2.
afsaane howe laakhoN mire naam se mansoob
ye gul to khilaane the miree darbadaree ne !
3.
mat pooch k yoN dil maiN bahaar aayi kahaaN se
kuchch yaad dilaayaa thaa naseem-e-saHaree ne !
4.
ra'naay-e-dil , Husn-e-bayaaN, noor-e-taKhayyul
kyaa kyaa na kiyaa kam aye Sanam teri kamee ne !
5.
aye faSl-e-bahaar ! ab k a'jab chaak kiyaa hai
GhunchooN ka jigar meri nawaa-e-saHaree ne !
6.
dunyaa ko moHabbat ka gulistaan banaa kar
roshan kiya seenoN ko rasool-e-a'rabee ne !
7.
aawaara banaa phirtaa hai saRkoN pe Zia ab
chchoRaa na kaheeN ka use aashufta-saree ne
..................................................
shukriya
Zia Baloch
:: muddat hoi pochhaa hi nahiN Haal kise ne ::
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: muddat hoi pochhaa hi nahiN Haal kise ne ::
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib
PurkhulooS tasleemaat,
Sab se pahle maiN aapko takheer se khushaamaded kehte houe maAzirat khwaah hooN aur aapki tashreef aavari se bahut khush hooN.
Aapki ghazal bahut pasnd aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAHIZAT
muddat hoi poochchaa hi nahiN Haal kisee ne
ye din bhi dikhaaye haiN Ghareeb-ul-wat^anee ne
Bahut achchaa maTlA hei. Kyaa kehne, bahut khoob.
afsaane howe laakhoN mire naam se mansoob
ye gul to khilaane the miree darbadaree ne !
Bahut khoob, waah waah
mat pooch k yoN dil maiN bahaar aayi kahaaN se
kuchch yaad dilaayaa thaa naseem-e-saHaree ne !
Waah, meHboob se yeh kehnaa ke mujh se mat pooch keh jou dil ranjeedah rehtaa thaa aur HirmaaN naSeeb thaa us meiN khushi kahaaN se aagaiee aur phir kehnaa ke is kaa sabab naseem-e-saHari kaa kuch yaad dilaanaa thaa.
Bahut ghre sheAr kehne lage heiN aap, mashaallah.
ra'naay-e-dil , Husn-e-bayaaN, noor-e-taKhayyul
kyaa kyaa na kiyaa kam aye Sanam teri kamee ne !
achche andaaz kaa sheAr hei, waah.
aye faSl-e-bahaar ! ab k a'jab chaak kiyaa hai
GhunchooN ka jigar meri nawaa-e-saHaree ne !
Waah Zia SaHib, aapki shayeri per tou bahut nikhaar aagayaa hei. Aap ne jisTarah se se sheAr ke mazmoon ko bayaan kiyaa wahaN tak tou meri bhi rasaayi bahut mushkil se hii housakti hei. Bahut khoob.
dunyaa ko moHabbat ka gulistaan banaa kar
roshan kiya seenoN ko rasool-e-a'rabee ne !
Yeh naAt kaa sheAr bhii qaabil-e-daad hei, bahut khoob.
aawaara banaa phirtaa hai saRkoN pe Zia ab
chchoRaa na kaheeN ka use aashufta-saree ne
Waah bhaai, kyaa kehne isqadar dilkash maTlaA kehne per aapko kaun daad nahiN degaa. Aafreen o Sad-aafreeN.
Aakhir meiN aapko is kaamyaab ghazal per dobaarah dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
StarMind wrote:
4.
ra'naay-e-dil , Husn-e-bayaaN, noor-e-taKhayyul
kyaa kyaa na kiyaa kam aye Sanam teri kamee ne !
wah wah wah kya dhaansoo sher hai..zabardast...poori ghazal ka sab se bhaari bharkam sher...I loved it.....Zia ek arse baad aap ko aur aapke kalaam ko dekh kar behad khushi hui..aate rahiyega..
daad qubool karein rose:
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Bahut khoob, waah waah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib
PurkhulooS tasleemaat,
Sab se pahle maiN aapko takheer se khushaamaded kehte houe maAzirat khwaah hooN aur aapki tashreef aavari se bahut khush hooN.
Aapki ghazal bahut pasnd aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Ustaad-e-moHtaram, aadaab
ummed hai k mizaaj baKher hoNge
ab maiN aap se intehaayee ma'zirat Khaah hoN k........
MULAHIZAT
muddat hoi poochchaa hi nahiN Haal kisee ne
ye din bhi dikhaaye haiN Ghareeb-ul-wat^anee ne
Bahut achchaa maTlA hei. Kyaa kehne, bahut khoob.
aap kaa Husn-e-nazar hai shukriya
afsaane howe laakhoN mire naam se mansoob
ye gul to khilaane the miree darbadaree ne !
Bahut khoob, waah waah
nehaayat mamnoon hoN
mat pooch k yoN dil maiN bahaar aayi kahaaN se
kuchch yaad dilaayaa thaa naseem-e-saHaree ne !
Waah, meHboob se yeh kehnaa ke mujh se mat pooch keh jou dil ranjeedah rehtaa thaa aur HirmaaN naSeeb thaa us meiN khushi kahaaN se aagaiee aur phir kehnaa ke is kaa sabab naseem-e-saHari kaa kuch yaad dilaanaa thaa.
Bahut ghre sheAr kehne lage heiN aap, mashaallah.
ustaad-e-moHtaram , aap ne to sharminda kardiyaa
itnee ta'reef sun k kaheeN gustaaKh na ban jaaoN
dar Haqeeqat sab aap ki nawaazisheN haiN
ra'naay-e-dil , Husn-e-bayaaN, noor-e-taKhayyul
kyaa kyaa na kiyaa kam aye Sanam teri kamee ne !
achche andaaz kaa sheAr hei, waah.
sahukriyaa
aye faSl-e-bahaar ! ab k a'jab chaak kiyaa hai
GhunchooN ka jigar meri nawaa-e-saHaree ne !
Waah Zia SaHib, aapki shayeri per tou bahut nikhaar aagayaa hei. Aap ne jisTarah se se sheAr ke mazmoon ko bayaan kiyaa wahaN tak tou meri bhi rasaayi bahut mushkil se hii housakti hei. Bahut khoob.
ustaad-e-moHtaram, ab to maiN sharm se paani paani hogayaa
chiraagh-e-murda kujaa o aftaab kujaa !!
aap kaa Husn-e-nazar hai
dunyaa ko moHabbat ka gulistaan banaa kar
roshan kiya seenoN ko rasool-e-a'rabee ne !
Yeh naAt kaa sheAr bhii qaabil-e-daad hei, bahut khoob.
nehaayat mamnoon hoN
aawaara banaa phirtaa hai saRkoN pe Zia ab
chchoRaa na kaheeN ka use aashufta-saree ne
Waah bhaai, kyaa kehne isqadar dilkash maTlaA kehne per aapko kaun daad nahiN degaa. Aafreen o Sad-aafreeN.
Aakhir meiN aapko is kaamyaab ghazal per dobaarah dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
[/color]
Aapka MukhliS,
Nazir.
janaab, sab aap hi kaa Husn-e-nazar, aur aap hi ki shafqat hai ! Allah aap ko hamesha salaamat aur Khush rakkhe aameen