Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab
Aap ka behud mamnoon hooN aur aapko dili mubarkbaad pesh karta hooN keh aap ne is qadar mubarak.o.muqaddas silsilah shuroo kiya. Waise to zameen bhi aap ne achchee tajweez farmaii hai lekin Husein lafz ke mukarrar istaimal ne zamen ko kuch dishwaar bana diya hai. Aap jab Salam kaheNge to aap ko is baat ka eHsaas hoga. Kuch sheir kah liye hai jo Hazir haiN.
Aapka MuKhlis
Jawaid
----------------------------------------------------------------
Salam dar madH Imam Husein ASWS
Ilaaje dard, binaa-e shifa Husein Husein
Mareez-e Gham ke GhamoN ki dawaa Husein Husein
Husein waloN ke sene ko chaak karke dekh
Harek dil peh milega likha Husein Husein
Azaa-e Shaah ki baani hai Zainab-e dilgeer
Keh pahli baar oosee ne kaha Husein Husein
MaiN tishnakaam tha main ne jo aab-e sard piya
To mere dil ne taRap kar kaha Husein Husein
Ghame Husein rahe saath saath marqad meN
“Sadaa mazaar se nikle sadaa Husein Husein”
DoayeN dene lageeN mujhko maader-e Sarwar
Bus ek baar jo rokar kaha Husein Husein
Kisee ne sabr se poocha tha kispe nazaaN hai
To sabr faKhr se kahne laga Husein Husein
Farishtay jaan leN :Jawaid: main hooN unka moHib
Mire kafan peh to likh do zara Husein Husein
Sadaa mazaar se aaye sadaa...Tarahee salam
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
mashaallah
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aap ne jis iqtidaar ke saath diye houe miSreA per TaraHi salaam kahaa hei Hairat angez hei. Saare ashAar her liHaaz se bahut hi umdah heiN.
Agar maiN aapki taqleed meiN aek do sheAr bhi keh sakooN tou samjhoongaa keh kaamyaabi HaaSil houi.
JahaaN tak asaatizah ki zameen yaa miSreAe houte heiN, apni Had tak maiN mushkil aur sehl meiN farq nahiN karnaa chaahtaa. MaiN ne ibtidaayi taAleemi daur se yehi seekhaa hei ke dunyaa ke kisi aek aadami ne bhi agar koii mushkil tareen kaam karke dikhaayaa hei tou phir wo mushkil nahiN raihtaa.
Urdustan per tajribah yeh houaa ke agar maiN koii aasaan miSraA detaa tou yeh kahaa jaataa thaa ke zameen aasaan houne kii vajah se miSreAe Takraajaate heiN. Jab koii mushkil miSraA houtaa tou yeh kahaa jaataa thaa ke aise mushkil miSreA per naye shoAaraa aur shaaAiraat TabA-aazmaayi nahiN karsakte. Bil-aakhir yeh kehnaa paRaa "ooNT re ooNT teri kaunsi kal seedhi".
Ab aapka salaam dekhkar tou mujhe yaqeen hougayaa ke aapke liye mushkil se mushkil zameen meiN bhi kehnaa aasaan hei.
Is kaamyaab tareen salaam per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur khuda aapko jazaaye khair de.
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmee wa maKhdoome Nazir Sb.,
Aadaab,
Himmat afzaaii ke liye behud mamnoon hooN. Doa kijiye Allah mujhe is ahl banaa dey keh maiN is se behtar madH-e Ahl-e Bait kar sakooN. Is waqt ki Surate Hall to yeh hai keh jab buzurgoN ka kalam paRhta hooN to apne sheroN per nidamat see hone lagtee hai. Ziyada door kyooN jate haiN Tasavvor Zaidei SaHab ka kalam hi dekh lijiye aap Khood tasleem kareNge mujhe madH ka fun nahin aata. SEKrON ya HAZARON ashAAr Tasawwor Zaidi Marhoom ne sirf tishnigi-e Imaam per kahe haiN.
Ummid hai kuch aur achche salam yahaN dekhne ko mileNge (Insha Allah). MadHiya shairee ke silsiley meN main Urdubandhan ki koii bhi Khidmat karne ko tayyar hooN. Ek tarahee Natia Mushaairah, maqasidah ya masalma MUSTAQIL aarasta karne ka Khyaal kaisa hai ?????????????
MuKhliS

Re: Sadaa mazaar se aaye sadaa...Tarahee salam
sara_j wrote:Jawaid bhai,
adaab arz hei.
Salaam likhna asaan nahi aur aapne misre ke dete hi jis qadr fauran likhdiye ye aek ustad shayr hi karsakte hain........pehle bhi aapki izzat karti thi aur ab tou kai guna aur izzat barhgayi hai meri nigaah mein.
salaam ke sabhi ashaar bohat pasand aaye daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
jawaid badauni wrote:Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab
Aap ka behud mamnoon hooN aur aapko dili mubarkbaad pesh karta hooN keh aap ne is qadar mubarak.o.muqaddas silsilah shuroo kiya. Waise to zameen bhi aap ne achchee tajweez farmaii hai lekin Husein lafz ke mukarrar istaimal ne zamen ko kuch dishwaar bana diya hai. Aap jab Salam kaheNge to aap ko is baat ka eHsaas hoga. Kuch sheir kah liye hai jo Hazir haiN.
Aapka MuKhlis
Jawaid
----------------------------------------------------------------
Salam dar madH Imam Husein ASWS
Ilaaje dard, binaa-e shifa Husein Husein
Mareez-e Gham ke GhamoN ki dawaa Husein Husein
Husein waloN ke sene ko chaak karke dekh
Harek dil peh milega likha Husein Husein
Azaa-e Shaah ki baani hai Zainab-e dilgeer
Keh pahli baar oosee ne kaha Husein Husein
MaiN tishnakaam tha main ne jo aab-e sard piya
To mere dil ne taRap kar kaha Husein Husein
Ghame Husein rahe saath saath marqad meN
“Sadaa mazaar se nikle sadaa Husein Husein”
DoayeN dene lageeN mujhko maader-e Sarwar
Bus ek baar jo rokar kaha Husein Husein
Kisee ne sabr se poocha tha kispe nazaaN hai
To sabr faKhr se kahne laga Husein Husein
Farishtay jaan leN :Jawaid: main hooN unka moHib
Mire kafan peh to likh do zara Husein Husein
Azeezah Sara Sahibah
Aadaab aur doa
Aapki daad.o.tahseen meN aapka Khuloos shaamil hogayaa hai. Ustaad bartarf, abhee to maiN Khood ko ek honhar shagird bhi nahiN bana paya hooN. Tifle maktab hooM aur na mAlum kab tak rahooNga.
Salam ki pazeerai aur meri himmat afzaaii ke liye behud mamnoon hooN.
MuKhlis
Jawaid
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Sadaa mazaar se aaye sadaa...Tarahee salam
salaamun alaikumjawaid badauni wrote:Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab
Aap ka behud mamnoon hooN aur aapko dili mubarkbaad pesh karta hooN keh aap ne is qadar mubarak.o.muqaddas silsilah shuroo kiya. Waise to zameen bhi aap ne achchee tajweez farmaii hai lekin Husein lafz ke mukarrar istaimal ne zamen ko kuch dishwaar bana diya hai. Aap jab Salam kaheNge to aap ko is baat ka eHsaas hoga. Kuch sheir kah liye hai jo Hazir haiN.
Aapka MuKhlis
Jawaid
----------------------------------------------------------------
Salam dar madH Imam Husein ASWS
Ilaaje dard, binaa-e shifa Husein Husein
Mareez-e Gham ke GhamoN ki dawaa Husein Husein
Husein waloN ke sene ko chaak karke dekh
Harek dil peh milega likha Husein Husein
Azaa-e Shaah ki baani hai Zainab-e dilgeer
Keh pahli baar oosee ne kaha Husein Husein
MaiN tishnakaam tha main ne jo aab-e sard piya
To mere dil ne taRap kar kaha Husein Husein
Ghame Husein rahe saath saath marqad meN
“Sadaa mazaar se nikle sadaa Husein Husein”
DoayeN dene lageeN mujhko maader-e Sarwar
Bus ek baar jo rokar kaha Husein Husein
Kisee ne sabr se poocha tha kispe nazaaN hai
To sabr faKhr se kahne laga Husein Husein
Farishtay jaan leN :Jawaid: main hooN unka moHib
Mire kafan peh to likh do zara Husein Husein
baradaram jawaid saahib
aaj hi aapka salaam nazar nawaz hua.
hubbe ahlebait(a.s.) se sarshaar yeh salaam padhte hi aankho.n se aansoo jaari hogaye.
allah(sbhnwt)aapko nawaasye rasool(a.s.) ke sadqe mei.n jazaye khair ata farmaaye aameen.
aik kaamiyaab salaam per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.
aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Sadaa mazaar se aaye sadaa...Tarahee salam
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikumjawaid badauni wrote:Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab
Aap ka behud mamnoon hooN aur aapko dili mubarkbaad pesh karta hooN keh aap ne is qadar mubarak.o.muqaddas silsilah shuroo kiya. Waise to zameen bhi aap ne achchee tajweez farmaii hai lekin Husein lafz ke mukarrar istaimal ne zamen ko kuch dishwaar bana diya hai. Aap jab Salam kaheNge to aap ko is baat ka eHsaas hoga. Kuch sheir kah liye hai jo Hazir haiN.
Aapka MuKhlis
Jawaid
----------------------------------------------------------------
Salam dar madH Imam Husein ASWS
Ilaaje dard, binaa-e shifa Husein Husein
Mareez-e Gham ke GhamoN ki dawaa Husein Husein
Husein waloN ke sene ko chaak karke dekh
Harek dil peh milega likha Husein Husein
Azaa-e Shaah ki baani hai Zainab-e dilgeer
Keh pahli baar oosee ne kaha Husein Husein
MaiN tishnakaam tha main ne jo aab-e sard piya
To mere dil ne taRap kar kaha Husein Husein
Ghame Husein rahe saath saath marqad meN
“Sadaa mazaar se nikle sadaa Husein Husein”
DoayeN dene lageeN mujhko maader-e Sarwar
Bus ek baar jo rokar kaha Husein Husein
Kisee ne sabr se poocha tha kispe nazaaN hai
To sabr faKhr se kahne laga Husein Husein
Farishtay jaan leN :Jawaid: main hooN unka moHib
Mire kafan peh to likh do zara Husein Husein
baradaram jawaid saahib
aaj hi aapka salaam nazar nawaz hua.
hubbe ahlebait(a.s.) se sarshaar yeh salaam padhte hi aankho.n se aansoo jaari hogaye.
allah(sbhnwt)aapko nawaasye rasool(a.s.) ke sadqe mei.n jazaye khair ata farmaaye aameen.
aik kaamiyaab salaam per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.
aapka apna
haamidbaaqri
Azeezi Haamid SaHab
Aadaab
Aapki purKhuloos daad se meri bohat himmat afzaaii hoii hai. Aapki doa ke liye Khusoosan mamnoon hooN. JahaN tak salam paRhkar aaapke rone ka sawal hai, ismeN mera koii kamal nahiN yeh aap ki dil meN choopi hoii mowaddat-e Ahle Bait (ASWS)hai jo aaNkhoN se ashk banker chalaktee hai. Allah aapki is mohabbat meN mazeed izafah farmaye (aamin).
Khoosh raheN!
Aapka MuKhlis
Jawaid