tazah salaam ranj o GHam ki baRheeN jab bhi tareekiyaan

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

tazah salaam ranj o GHam ki baRheeN jab bhi tareekiyaan

Post by khozema husaini »

mohtaram KHawateen o hazraat
aadaab
aik tazaah salaam aap ki KHidmat men pesh hai ummeed hai aap apni aara se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa faraham kareNge
Shukriyah
Husaini

salaam

ranj o GHam ki baRheeN jab bhi tareekiyaaN dil pe GHaalib agar teeragi hogai
shammA e ashk e Azaa hum ne ki zou fishaaN har andhera chhTa roshni hogai

KHouf e mehshar ho ya mushkilaat e Hayaat sheh ke GHam ke sabab sab se paai nijaat
yeh Azaa ke guhar heN keh ikceer hai mere har GHam ki chaarahgari hogai

ashk aaNkhoN se rukne lage the magar ruk nah paeeN theeN saadaat ki hichkiyaaN
laash aise men phir aik laaii gaii aur fazaa matami matami hogai

hum ne jab bhi pukara Ali aa gaye lab khule bhi nah the keh mila mudduAa
tu ne GHairoN se maanga tu ruswa hua dar pe unke suni an suni hogai

teri gustaKHiyaan to bohat theeN magar dekh Hur mere moula ka faiz e nazar
tujh ko dam bhar meN naari se noori kiya mot tere liye zindagi hogai

Khoon e Haidar ragoN men machalne laga warnah bachchoN ko kiya jang se waastah
sote sote achaanak yeh kiya hogaya ik kali ko yeh kiyuN bekali hogai

Aql ko teri kiya hogaya Hurmala tifl e Haider se uljha yeh kiya kar liya
woh to hans kar shujaaoN ki Saf meN mile donoN Aalam meN teri haNsi hogai

naaz mujh ko muqaddar pe beja nahiN jo mila mujh ko woh sab ko milta nahiN
shaah e Aalam ka jab se meN KHaadim hua qabil e faKHr yeh nokri hogai

KHidmat e sheh samajh kar men likhta raha meN ne isko Ibadat ka darjah diya
aal e Ahmed se mansoob hai isliye zaad e uqba miri shairi hogai

uski qismat meN aulaad likhi nah thi kar sake nah mudawa jahaaN KHud nabi
us pe jyuN hi Husaini karam hogaya shaaKH e naKHl e tamanna hari hogai
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply