Page 1 of 1
Humne Unse Bhi Dosti Ki Hai....
Posted: Mon Feb 13, 2006 7:11 am
by munir-armaan-nasimi
Urdubandhan ke pyare Dosto,
Salam-o-Rehmat! Ek aur Ghazal aap ki khidmat main haazir hai. Kaisi lagi???
Munir Armaan Nasimi
Posted: Mon Feb 13, 2006 7:30 am
by farhan
Janab Munir Saheb
bahut achchi ghazl share ki aap nay.............ghazal kay tammam ashaar hi pasand ayee...share karnay ka bhaut bahut shukriya.
fahran
Posted: Mon Feb 13, 2006 9:51 am
by Shummu
is font ko paRhne mein mujhe khaasi dushwaari ho rahi hai..plz roman version bhi post kar dien ghazla ka..shukriya
DO ME A FAVOUR PLZ....
Posted: Wed Feb 15, 2006 7:50 am
by munir-armaan-nasimi
DEAR SARA JI,
ACHCHA LAGA KE AAP SAB KO MERI GHAZAL PASAND AAYI...MAGAR BEHAD DUKH HAI KE... SHUMAILA JI KO PADHNE MAIN MUSHKIL HOYI. MAY I REQUEST YOU SARA PLEASE TO.... DO ME A FAVOUR AND YE GHAZAL KO 'ROMAN' MAIN POST KAR DEIN.
MAIN KABHI ROME NAHIN GAYA NA.. MERI ROMAN KAMZOR HAI.
Munir Armaan Nasimi
Posted: Wed Feb 15, 2006 2:42 pm
by Raji
Aadaab-o-tasleemaat,
aap kee ghazal be-intihaa KhoobSoorat hai. tamaam hee ashaar ache heN. meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
roman meN posted Ghazal ka faahedah yeh hotaa hai keh readers use quote kar ke har ek she'r par tafseelan apnii aaraa ka izhaar kar sakte heN vernaa majmooii taa'cur ko hee likhnaa paRtaa hai jo ek achii ghazal ke saath ziyadtee hai
aap kee mazeed taKhleeqaaat ka bhi intizaar rahe gaa.
wassalam
Zahida Raees :Raji:
Thankz!
Posted: Thu Feb 16, 2006 12:32 pm
by munir-armaan-nasimi
Dear Raji & Sara ji,
Bhai aap logon ki hausla afjayi hi hum jaise chote motey shair ke liye 'Tonic' hai.... dete rahein. Mere paas Shukriya ke elava dene ko aur kuch nahin. Qobool karein.
Keep Smiling.
Munir Armaan Nasimi