OLD is GOLD #5...aaNkhoN se jo utrii hai...Asha/SaaHir/OP

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

OLD is GOLD #5...aaNkhoN se jo utrii hai...Asha/SaaHir/OP

Post by Hashmat Usmani »

salaam/aadaab saathiyo,

kaise haiN aap sab aaj? main aapkii Khidmat meN aaj film "phir wohii dil laayaa huN" ka ek Haseen naGhma le kar aayaa huN jise Asha Bhosle ne apnii masti bharii dil_kash aavaaz dii hai aur jise "har pal ka shaa'ir" Saahir ne likha aur O.P. Naiyar ne apnii mauseeqi se sajaayaa.

Haseen Asha Parekh film meN yeh gaanaa apne javaaN_saal dost [wink, wink!] Joy Mukerjee ke liye gaati hai. scene kuchh yuN hai ki heroin apnii saheliyoN ke saath ek picnic par jaati hai jahaN laRkiyaaN poochh baiThti haiN ki zara Asha bataao to sahi ki VO dikhne meN kaise lagte haiN, vaGhaira vaGhaira...to jawaaban Asha yuN gaa uThti hai:


aaNkhoN se jo utrii hai dil meN
tasviir hai ik anjaane kii
khud DhoonDh rahii hai shamm'a jise
kia baat hai us parvaane kii
aaNkhoN se jo utrii hai dil meN ...

vo us ke laboN par shokh haNsii
raNgiin sharaarat aaNkhoN meN
saaNsoN meN mohabbat kii Kush_boo
vo pyaar kii dhaRkan baaton meN
duniyaa merii ... badal gaii
ban ke ghaTaa nikal gaii
taubaa vo nazar mastaane kii
khud DhoonDh rahii hai shamm'a jise
kia baat hai us parvaane kii
aaNkhoN se jo utrii hai dil meN ...

andaaz vo us ke aane kaa
chupke se bahaar aaye jaise
kahne ko ghaRii bhar saath rahaa
par 'umr guzaar aaye jaise
un ke binaa ... rahuNgii nahiiN
qismat se ab jo kahiiN mil jaaye khabar deevaane kii
khud DhoonDh rahii hai shamm'a jise
kia baat hai us parvaane kii
aaNkhoN se jo utrii hai dil meN...
Image
Post Reply