mukarramee Najm Hashmi SaaHeb: aadaab!
aap ne :der aayad, durust aayad: to sunaa hee ho gaa? yeh Khat^ usee :khaate meN Daal deN to baat ban jaaYe gee!: dar-aSl maiN ne is ko dekh` to liyaa th`aa aur ph`ir ek jagah dostoN kee raaYe bh`ee naz^ar se guZree. lekin buraa ho is a'deem-ul-furSatee kaa keh :
iraade baaNdh`taa th`aa, sochtaa th`aa, toR detaa th`aa
kaheeN aisaa nah ho jaaYe, kaheeN waisaa nah ho jaaYe!
aaj sochaa keh likh` hee DaalooN. kal kaa kyaa bh`arosaa? so SaaHeb HaaZ^ir ho gayaa! ab ijaazat ho to Ghazal par apnee TooTee-ph`ooTee raaYe de dooN?
aap kee GhazaloN meN jo baat mujh` ko naz^ar aayee hai woh aap ke Zehn kee upaj aur kehne kaa nayaa-nayaa saa andaaz hai. :nayaa-nayaa saa: is liYe keh rahaa hooN keh mere naacheez Khayaal meN aap abh`ee in Khayaalaat aur is andaaz kaa pooraa pooraa Haq adaa naheeN kar paa rahe haiN. lekin mujh` ko yaqeen hai keh agar lagan aur meHnat kaa yehee a'alam rahaa to aap bohat hee jald :raah se lag jaaYeN ge:!
maiN aap ke asha'ar par jastah-jastah raaYe-zanee kartaa hooN. bas yeh yaad rakh`iYe gaa keh yeh meree raaYe hee hai aur woh Ghalat^ bh`ee ho saktee hai. baarhaa aisaa ho chukaa hai!
--------------------------------------------
faraaz-e-daar-o-sang-e-aastaaN se!
Hareem-e-ishq hai nok-e-sanaaN se!
aap kaa andaaz munfarid to hai lekin :Hareem: kaa ista'maal SaHeeH naheeN hai. aap ne shaayad is se :Hurmat, i'zzat: ke ma'nee liYe haiN jab.k is kaa mat^lab :paak jagah: hai. agar aap :Hareem: kee jagah :maqaam: kaheN to she'r ma'nee-Khez ho jaataa hai. kyaa Khayaal hai aap kaa?
------------------------------------
woh barg-e-gul ka rah rah kar ulajh.naa
lab-o-ruKhsaar-e-jor-e-baaGh.baaN se!
:barg-e-gul kaa ulajh`naa: to Theek hai lekin woh :lab-o-ruKhsaar: aur :jor-e-baaGhbaaN: se kaise ulajh` saktaa hai? doosre miSre' ne ma'nee Khabt^ kar diYe haiN. yooN kaheN to aap kee nudrat-e-Khayaal bh`ee qaa,im rehtee hai aur mat^lab bh`ee Saaf ho jaataa hai:
woh barg-e-gul ka rah rah kar ulajh.naa
lab-o-ruKhsaar-e-shaaKh-e-gulsitaaN se!
----------------------------------------------
qafas meiN hum ne jo aejaad ki hai!
chaman ma'amoor ous t^arz-e-fuGhaaN se!!
bohat Khoob! albattah :hai: kee Ghair-maujoodagee meN doosraa miSra' naa-mukammal lag rahaa hai. yooN kaheN?
qafas meiN hum ne jo aejaad ki hai!
chaman jh`oome hai ous t^arz-e-fuGhaaN se!!
--------------------------------------
kare jo har rag-e-jaaN meiN chiraaGhaaN
woh lae uTh.Thae daroon-e-chob-e-jaaN se!!
achh`aa Khayaal hai. haaN agar :chob-e-jaaN: se :lai: kee bajaaYe :lau: (sho'lah) nikle to kaisaa rahe? ab :chiraaGhaaN: kaa Haq bh`ee adaa ho gayaa.
kare jo har rag-e-jaaN meiN chiraaGhaaN
woh lau uTh.Thae daroon-e-chob-e-jaaN se!!
----------------------------------------
ye Khof-e-rahzanaaN ki chaal kyaa hai?
koii puuchae to meer-e-kaarawaaN se?!
a'zeezam! yeh :Khauf-e-rehzanaaN kee chaal: kyaa hotee hai? doosraa miSra' kisee achh`e se pehle miSre' kaa taqaaZ^ah kar rahaa hai:
har ik manzil pah kyoN hai Khauf-e-rehzan?
koii puuchae to meer-e-kaarawaaN se!
-------------------------------------------
tirii taKhleeq meiN, tafreeq molaa!
"nikal jaaye na kuch merii zubaaN se!"
yeh :taKhleeq meN tafreeq: bohat hee Ghair-faSeeH ho kar reh gayaa hai! is ko yooN keh sakte haiN:
yeh dunyaa! kyaa yehee dunyaa hai yaa-Rab?
tiree taKhleeq aur yeh raNg is kaa?
"nikal jaaye na kuch merii zubaaN se!"
===================================
ab mere Khat^ par aap ke tabSirah kaa intizaar rahe gaa!
Sarwar A. Raz :sarwar:
aek Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact: