TARAHI MISRA - -- - (GUZ.15) by: ABDULLAH NAZIR.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
TARAHI MISRA - -- - (GUZ.15) by: ABDULLAH NAZIR.
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil o Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
GUZARISH #15 Taareekh March 1, 2006
TaraHi misraA: Meraa apnaa miSraA
"Tumhaare hijr meiN kyaa kuch na beeti kyaa nah houaa"
Vazn = mufaa'ilun fa'ilaa'tun mufaa'ilun +(fa'ilun)
//0//0……. ///0/0 //0//0…….///0
= 1212…1122…1212…+(112)
Note: qaafiyah band misreA kaa aik hi qism ke vazn aur aik hi tarah ke vazn per ikhtitaam hounaa chaahiye (fa'ilun)
Ghair qaafiyahband miSreA ke aakhiri rukn ko aSli vazn (fa'ilun) ke Alaawah (fe'lun, fe'Alaat, yaa fa'l'laat) ke vazn per isteAmaal karne ki ijaazut hei.
Radeef = nah houaa
Qaafiye = (khafaa, wafaa, houaa, judaa, mudduAa, rihaa, siwaa, buraa, mubtalaa) waghairah, aur radeef ke Harf "nah" ke saath (aashyaanah, zamaanah, fasaanah, taazyaanah, bahaanah) waghairah, aur Sauti qaafiye macalan (gila, silsila, ) waghairah.
BeHr ki is shakl kaa naam hei= BeHr-e-Mujtac Makhboon MeHzoof.
Ummeed ke aap meiN se bahut saare ShoAraa aur shaayeraat TabA aazmayi farmaakar khaaksar ko shukriyah adaa karne ka mauqA denge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.