Page 1 of 1
Taaza ghazal , pilaya nahi kabhi
Posted: Sun Mar 05, 2006 12:19 pm
by Mahtab Qadr
Dosto aur Buzurgo
salaam
aik taaza ghazal ke sath hazir hoN. umeed ke pazeerai farmaiNge
shukria
apnoN ko sach ka zahr pilaaya nahi kabhi
jo dil ka haal tha vo sunaaya nahi kabhi
nakaamioN pe ashk bahayaa nahi kabhi
mai sar pe khaak daalta aayaa nahi kabhi
jhooti tasallioN ne sahaara diaa magar
taqdeer ke likhay se bachaaya nahi kabhi
maN baap ki duaa ne karishmay dikhae vo
tadbeer ne bhi jo ke dikhaayaa nahi kabhi
chotoN ki bad tameezi pe ye naagawaariaN
kia tum ne dil kisi ka dukhaaya nahi kabhi
be fikrioN ke shaam o sahar yaad mat karo
mahtaab waqt laut ke aayaa nahi kabhi
MahtabQadr
Posted: Sun Mar 05, 2006 12:23 pm
by Mahtab Qadr
urdu text mai aik typo ho gai hai , aakhri sher ke pahle misre mai yaad mat karo se pahle aik daal ziada type ho gya hai. muazirat
Bahut khoob
Posted: Sun Mar 05, 2006 5:44 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Mahtab qadr SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki ghazal bahut achchi hei. Meri dili daad aur mubaarakbad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
apnoN ko sach ka zahr pilaaya nahi kabhi
jo dil ka haal tha vo sunaaya nahi kabhi
nakaamioN pe ashk bahayaa nahi kabhi
mai sar pe khaak daalta aayaa nahi kabhi
jhooti tasallioN ne sahaara diaa magar
taqdeer ke likhay se bachaaya nahi kabhi
maN baap ki duaa ne karishmay dikhae vo
tadbeer ne bhi jo ke dikhaayaa nahi kabhi
chotoN ki bad tameezi pe ye naagawaariaN
kia tum ne dil kisi ka dukhaaya nahi kabhi
be fikrioN ke shaam o sahar yaad mat karo
mahtaab waqt laut ke aayaa nahi kabhi
Ghazal ke saare ashAar achche heiN siwaaye paanchweN sheAr ke jo yooN hei:
maN baap ki duaa ne karishmay dikhae vo
tadbeer ne bhi jo ke dikhaayaa nahi kabhi
Meri nazar meiN pahle miSreA ko yooN hounaa chaahiye:
(maaN baap ki duAa ne karishmah dikhaayaa wo)
Kiyunke doosre misreA meiN kahaa jaarahaa hei "tadbeer ne bhi jo keh dikhaayaa nahiN kabhi.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sun Mar 05, 2006 6:45 pm
by sbashwar
Janaab Mahtab Qadr Sahib
ASAK
Vah Vah, ghazal bohat pasand ayee. Dili mubarakbad khubool kijiye.
Salem Bashwar
Posted: Sun Mar 05, 2006 10:08 pm
by Star Mind
moHtaram Qadr SaaHib, aadaab
kaise haiN aap?
maashaa Allah janaab Ghazal to bohut pyaaree hai , zameen bhi pasand aayee ! mazaameen aur andaaz bhi Khoob haiN . mujhe KhaaS tor se maqta bohut pasand aayaa ! KhuSooSi daad Haazir hai ! shukriya
Zia Baloch
Re: Taaza ghazal , pilaya nahi kabhi
Posted: Mon Mar 06, 2006 10:35 am
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Dosto aur Buzurgo
salaam
aik taaza ghazal ke sath hazir hoN. umeed ke pazeerai farmaiNge
shukria
apnoN ko sach ka zahr pilaaya nahi kabhi
jo dil ka haal tha vo sunaaya nahi kabhi
nakaamioN pe ashk bahayaa nahi kabhi
mai sar pe khaak daalta aayaa nahi kabhi
jhooti tasallioN ne sahaara diaa magar
taqdeer ke likhay se bachaaya nahi kabhi
maN baap ki duaa ne karishmay dikhae vo
tadbeer ne bhi jo ke dikhaayaa nahi kabhi
chotoN ki bad tameezi pe ye naagawaariaN
kia tum ne dil kisi ka dukhaaya nahi kabhi
be fikrioN ke shaam o sahar yaad mat karo
mahtaab waqt laut ke aayaa nahi kabhi
MahtabQadr
Azeezi Mahtab Qadr SaHab,
Tasleemaat,
Bohat din bAAd aapki ek achchee Ghazal dekhne ko mili jis se aapki Khairiyat bhi mil gaii. Tamam ashAAr bohat achche haiN; meri daad qubool farmaaiye.
MukHliS
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Posted: Mon Mar 06, 2006 2:03 pm
by zmufti
Mahatab Qadar saheb
aap ki ghazal buhat pasand aayii
meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti
Posted: Mon Mar 06, 2006 11:02 pm
by Mahtab Qadr
Mohatramee Abdullah Bhai
Salaam e masnoon
Aapki giraNqadr raye aur hausla afzaai ke lye behad mashkoor hoN. aur aapke bataye huve misre mai tabdeeli bayaz mai karchuka yahaN par aik do din mai kardoNga. inshallah
shukria
Mahtab Qadr
Posted: Mon Mar 06, 2006 11:13 pm
by Mahtab Qadr
Mukarramee Salem Bashwar sahib
Izzat nawazi ka shukria. inshallah mulaqat par guftagu hogi
shukria
Mahtab Qadr
Re: Taaza ghazal , pilaya nahi kabhi
Posted: Tue Mar 07, 2006 12:13 pm
by Shummu
Mahtab Qadr wrote:Dosto aur Buzurgo
salaam
aik taaza ghazal ke sath hazir hoN. umeed ke pazeerai farmaiNge
shukria
apnoN ko sach ka zahr pilaaya nahi kabhi
jo dil ka haal tha vo sunaaya nahi kabhi
nakaamioN pe ashk bahayaa nahi kabhi
mai sar pe khaak daalta aayaa nahi kabhi
jhooti tasallioN ne sahaara diaa magar
taqdeer ke likhay se bachaaya nahi kabhi
maN baap ki duaa ne karishmay dikhae vo
tadbeer ne bhi jo ke dikhaayaa nahi kabhi
chotoN ki bad tameezi pe ye naagawaariaN
kia tum ne dil kisi ka dukhaaya nahi kabhi
be fikrioN ke shaam o sahar yaad mat karo
mahtaab waqt laut ke aayaa nahi kabhi
MahtabQadr
wah bahut khoob...!!!
Posted: Thu Mar 09, 2006 8:06 pm
by Mahtab Qadr
Baradar e Azeez Zia sahib aur Mukarramee Jawaid Badayuni sahib. Aadaab o Tasleemat
apni kuch majboorioN ke bayes , ziada waqt nahi de paraha hoN islye jwab bhi mukhtasir hi arz karoNga ke aapki inayatoN aur pasandeedgi ka behad shukria. chalo ghazal ko mayaari hone ki sanad to mil hi gai aap jasie sukhanwaroN ki daado tahseen se
shukria
Mahtab Qadr
Posted: Thu Mar 09, 2006 8:40 pm
by Mahtab Qadr
Zarqa Mufti sahiba , Shummu sahiba aur saraa ji Aaadab o Tasleemat
Aapki hausla afzai aur sarfarazi ne bahut himmat barhai. nawazish shukria
Mahtab Qadr