Page 1 of 1

Ghazal : Khwaab lekar aaye tujhko..

Posted: Wed Mar 08, 2006 5:54 am
by Munawwar
Yaaraan-e-bazm,
Aadaab!

Aap sab kii himmat afzaai ke nataaij dekhiye: ek aur ghazal pesh karne kii jurrat kar rahaa hooN.

Aap sabkii khidmat meiN:

khwaab leykar aaye tujhko

khwaab leykar aaye tujhko jab merii aaGhosh meiN
sochtaa hooN, aa sakuuN na phir kabhii maiN hosh meiN

yooN garebaaN thaa to pinhaaN shakl-e-malmal posh meiN
zikr-e-ulfat kar gayaa maiN, haif! aakar josh meiN

tuu nahiiN to yaad terii saath mere thii zaroor
the wajood-e-yaar key ehsaas chashm-o-gosh meiN

Hosh kaa pardah haTaayaa, to dikhaa ek gulsitaaN!
Zeest kaa sab husn hai us manzar-e-mad hosh meiN.

thaa saroor-e-wasl itnaa, khaak hotii guftagoo!
Khair bhii na poochh paayeN us dam-e-khaamosh meiN

yeh nashaa to, aye "Munawwar", mai se bhii chaRhtaa nahiiN!
YooN bahakne kii adaa hai kab kisii mainosh meiN?

-----------------------------------------------------------------------------

YaaroN, merii ghazal kaisii lagii bataa'iega?



Aap sabko Munawwar kaa salaam,
Mukhlis
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"

Posted: Mon Mar 13, 2006 3:52 pm
by Munawwar
Ahbaab!

Is ghazal ke mutaaliq koii khayaal nahiiN?
koi fikr nahiiN, koii bhi sawaal nahiiN?

Munawwar

Re: Ghazal : Khwaab lekar aaye tujhko..

Posted: Thu Mar 16, 2006 12:26 pm
by Shummu
Munawwar wrote: khwaab leykar aaye tujhko jab merii aaGhosh meiN
sochtaa hooN, aa sakuuN na phir kabhii maiN hosh meiN
wah wah kya khwaaish hai..kya matla hai :wink:
tuu nahiiN to yaad terii saath mere thii zaroor
the wajood-e-yaar key ehsaas chashm-o-gosh meiN
wah wah!bahut khoob kaha...! :-)
Hosh kaa pardah haTaayaa, to dikhaa ek gulsitaaN!
Zeest kaa sab husn hai us manzar-e-mad hosh meiN.
wah wah kya taarefe karna ka andaaz hai..bahut khoob janaab! 8)
thaa saroor-e-wasl itnaa, khaak hotii guftagoo!
Khair bhii na poochh paayeN us dam-e-khaamosh meiN
aaye haaye..kya khoobsurat shikwah hai khud se :twisted:

[/quote]

han jee ab aap daad qubool karein is pur suroor kalaam pe..... :grin:

zor-e-qalam aur ziyaada!

Shumaila