stanvir ke mushaaire ke TaraHi miSreA per: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

stanvir ke mushaaire ke TaraHi miSreA per: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat, :rose

March ke mushaaAire ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke baAz ashAar pasand aayenge.

GHAZAL roman meiN:

taAlluq-e-dil o jaaN barqaraar apnaa hei
"wafaa kare nah kare phir bhi yaar apnaa hei".

Zameen apni hei parvardigaar apnaa hei
Isi liye tou her ik laalah-zaar apnaa hei

Yeh kaise maan looN, wo ghamgusaar apna hei
Jise khabar hi nahiN, dil figaar apnaa hei

Nazar meiN apni heiN kaunaiN ke nasheb o faraaz
Zamaanah, kehne ko, aayiena-daar apnaa hei

Junoon-e-ishq ne rakhkha nahiN kahiN kaa mujhe
Yeh mere haath meiN daamaan-e-taar apnaa hei

Kisi kii yaad hei aur tazkire muHabbat ke
Yehi vazeefah tou lail o nahaar apnaa hei

zabaaN rahe nah jo qaaboo meiN kyaa karuN zaalim
mizaaj yooN tou bahut burdbaar apnaa hei

rumooz-e-ishq kaa jis per nahiN acar koii
naSeeb se vohi naakardah-kaar apnaa hei

HuZoor aapki marZi peh munHaSir hei milan
Kisi ke dil peh kahaaN ikhtiyaar apnaa hei

Miraa vujood nahiN apni zindagi ke liye
Tumhaari saansaoN peh daar o madaar apnaa hei

NahiN hei kuch bhi bajuz ittibaaA-e-AaHd-e-wafaa
Tawaaf-e-shamA jo deewaanah-waar apnaa hei

Kisi kisi ke muqaddar meiN hei khushi lekin
Hamaare bakht meiN ghaflat shiAaar apnaa hei

Chaman peh faSl-e-khizaaN kaa houaa hei kyaa qabZah
Nah koii phool hei apnaa nah khaar apnaa hei

Mubaarak ahl-e-jahaaN ko yeh hastiy-e-faani
Paraaye shehr meiN kyaa karobaar apnaa hei

Shumaar-e-khalq-e-khudaa kis shumaar meiN :Nazir:
Her ik farishtah iTaaAat guzaar apnaa hei.

Note: khalq-e-khudaa se yahaan muraad insaanaoN se hei jis per baghair is mulaaHizeh ke tanqeed kii jaasakti hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.



Image
Image
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: stanvir ke mushaaire ke TaraHi miSreA per: Abdullah Nazi

Post by yasir shah »

WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS tasleemaat, :rose

assalamOlaikuM
Abdullah Nazir SaaHib!


March ke mushaaAire ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke baAz ashAar pasand aayenge.

ba'Z kyooN, ash.'aar saaray hi aChChay heN -- meN apnee raa.ay darj kartaa hooN shaayed kisee laaiq ho -



GHAZAL roman meiN:

taAlluq-e-dil o jaaN barqaraar apnaa hei
"wafaa kare nah kare phir bhi yaar apnaa hei".

bahut khoob ! ya'nee pehle miSre' meN bhee yaar kaa tazkirah "jaaN" ki Soorat mojood hay -



Zameen apni hei parvardigaar apnaa hei
Isi liye tou her ik laalah-zaar apnaa hei

bahut u'mdah she'r hay




Yeh kaise maan looN, wo ghamgusaar apna hei
Jise khabar hi nahiN, dil figaar apnaa hei

waah! kyaa baat hay-


Nazar meiN apni heiN kaunaiN ke nasheb o faraaz
Zamaanah, kehne ko, aayiena-daar apnaa hei

bahut khoob !


Junoon-e-ishq ne rakhkha nahiN kahiN kaa mujhe
Yeh mere haath meiN daamaan-e-taar apnaa hei

waah ! kyaa kehne
yahaaN radeef bazaahir ma'nwiyat se khaalee diKhtaa hay laiken Ghor kiyaa jaa.ay to yeh bhi ma'nee se pur hay keh junoonee ke haath meN u'mooman auroN kaa daamaan-e-taar hotaa hay-



Kisi kii yaad hei aur tazkire muHabbat ke
Yehi vazeefah tou lail o nahaar apnaa hei

waah SaaHib Waah


zabaaN rahe nah jo qaaboo meiN kyaa karuN zaalim
mizaaj yooN tou bahut burdbaar apnaa hei

waah ! yeh mas.alah mere saath bhi hay- :-)


rumooz-e-ishq kaa jis per nahiN acar koii
naSeeb se vohi naakardah-kaar apnaa hei

khoob !


HuZoor aapki marZi peh munHaSir hei milan
Kisi ke dil peh kahaaN ikhtiyaar apnaa hei

waah


Miraa vujood nahiN apni zindagi ke liye
Tumhaari saansaoN peh daar o madaar apnaa hei

kyaa kehne janaab !



Chaman peh faSl-e-khizaaN kaa houaa hei kyaa qabZah
Nah koii phool hei apnaa nah khaar apnaa hei

bahut khoob !


Mubaarak ahl-e-jahaaN ko yeh hastiy-e-faani
Paraaye shehr meiN kyaa karobaar apnaa hei
yeh bhi u'mdah






Note: khalq-e-khudaa se yahaan muraad insaanaoN se hei jis per baghair is mulaaHizeh ke tanqeed kii jaasakti hei.
kisi kisi ke muqaddar ko urdu meiN ghalaTi se kisi kisi kaa type hougayaa hei. TaSHeeH krdi jaayegi.


Aapka MukhliS,
Nazir.



Image

janaab !
apnee is intihaai dilkash Ghazal peh meree daadOteHseen qubool keejiye-

khush rahye
du'aago
yasir
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Yasir Shaah SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapko meri ghazal pasand aayi aur aap ne us per apne tafSeeli tabSireh se navaazaa jiske liye maiN beHad shukrguzaar hooN.

Yeh aapki karam farmaayi hei ke aap meraa kalaam dil lagaakar paRhte heiN aur us meiN achchaayiyaoN aur kamzouriyaoN ki nishandehi bhi farmaate heiN. Ummeed ke aayindah bhi yuN hi meri HauSlah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Aap ki Ghazal brae'e mushae'rah march.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Abdullah Nazir SaHeb.
tasleem a'rZ^ hai. :-)

Aap ki Ghazal brae'e mushae'rah march kae'i aa'tabar se lae'q-e-ta'reef hai. macala" sab se awwal yeh keh Ghazal rawayat ke shanah ba shanah chaltee dekhaee de rahee hai. doe'm yeh keh aap ne fikr-o-kheyaal ko HiSaar-e-zat se baher nah jane diya. a'omoma" aaj kal Ghazal ko kae'ee nae'e rang de diye gae haiN. jis meN sar-e-fehrist taraqqee pasand Ghazal, seyasee Ghazal, waGhaerah shamil haiN. khich to Ghazal meN hi masae'l-e-zamanh aor fikr-e-raoTi ko bhi Ghazal ka hi HiSSah kheyaal karne lage haiN. lekin agar Ghazal ko us kee luGhwi Heciyat se parkha jae'e to Ghazal ka ma'na khuch aor nikalta hai. ba har haal is ke i'lawah yeh Ghazal jo ise mazeed dilkash bana rahee hai. wah hai is meN jazbah-e- Hasrat ki amezish. aor sab se paRh kar Ghazal ke she'eroN ka shish jihet hona.

yeh bhi dekhne meN aaya hai keh ba'Z^ aoqaat kai likhne wale isee talaash-o-tashweesh meN U'mr gaNwa dete haiN. keh woh kiya kehna chahate haiN. ya woh jo kehna chahate they kiya keh bhi paey haiN.

Lekin aap ke yahaaN yeh gumaan kamyaab hai. aap kee is Ghazal ko dekhne ke ba'd qari yaqeen karta hai keh jo aap kehna chahate haiN. baRee kamyabi se kehe jate haiN.

Masala" "junooN -e-e'shq ne rakhkha naheeN kaheeN ka mujhe..yeh mere hath meN damaan-e-tar apna hai."

yeh she'er kai leHaaz^ se khol raha hai. masala" is meN aap aek gawahi bhi de rahe haiN. keh mujhe junoon-e-e'shq ne kaheN ka naheeN chooRa aor yeh jo daman ka tar hai. mera apna hai. ya'ne aap aek caboot faraham kar rahe haiN. keh maiN bhi barbaad-e-ulfat hooN. mera yaqeeN karo...keh yeh tar jo mere hath meN hai. mera hi hai...pas aap ke daman ka taar hi ab aap ki weHshat aor dewangee par daleel reh geya hai. ya'nee is ke e'lawah mere pas aor koi cheez apnee Safaee pesh karne ko naheeN...yeh aek aor rang meN she'er khola....pas maiN zatee t^aor par agar isee she'er ko kholooN to yeh kaei. zawiyooN se apna mat^lab de ga. isee t^arH yooN bhi ho sakta hai. keh mujhe e'shq ke junoon ne kaheeN ka naheeN choRa. aaj mere pas khuch naheeN. mujhe duniya ne khuch nah diya. balkeh tahee daman kar chooRa aor yeh jo hath meN ek taar bacha hai wohee ek meree milkiyat hai. aor yeh bhi kisee ki a't^a naheeN balkeh mera hi hai. aor aek zawiyah yeh bhi hai. keh mujhe junoon-e-e'shq ne kaheeN ka naheeN choRa .....ya'ne agar mera ta'luq tujh se khuch hota to mere pas tere koi nishanee to hote. ya honee chahiye thi. ab duniya ko kese yaqeen dilaooN keh tujh se mera ta'luq kiya hai. mere pas tere koi nishani bhi to naheeN.aor aek yeh rang keh. mujhe e'shq ne barbaad kar diya. keh tera woh sab khuch jo to ne mujhe diya tha. junooN meN luT geya.maiN itna be khud huwa keh teree sab e'nayaat -o-akraam se hath dhoo beTha. aor ab jab khuch hoosh aaya hai. to samajh aaei. keh mere pas to khuch bhi naheeN raha. aor yeh jo ek tar bacha hai. woh mera hi hai. pas khadim yooN she'er ko dekhta hai.
aor yeh mua'amlah aap ke qareeb qareeb tamaam asha'aar ka hai.
pas Z^arurat hai keh aap ke asha'aar ko har zawiyah se paRha aor samjha jae'e. tab she'er ki aSal acar pazeeree aor hamah jehtee ka kisi qadr takhmenah lagaya jasakta hai. aor woh jo aap ka kheyal hai woh alag hai...aor woh najane kiya hai.daraSal she'er ko us ka khleq hi SaHeH t^aor par khool sakta hai. degar afraad Sirf qeyaas ya andazah laga sakte haiN. chonkeh she'er ka aSal manbah-o-sarchashmah to zehen-e-sha'er hi hota hai....qaree Sirf takhmenah lagata hai. GharZ^ yeh jo Sifat hai. aap ke she'er meN yeh bhi aap kee shae'eree ko mazeed rangeen aor do aatishah kar dete hai.

Aor isee t^araH degar ashaa'r ka mua'amlah hai. aor aap ki SalahiyatooN meN se yeh bhi ek khuda daad Salahiyat hai. jo khudae'e buzurg-o-bartar ne aap ko de rakhee hai.

degar ma'doode chand aek shae'erooN ke haaN bhi yeh rang paya jata hai.lekin aesa rang un ke kalaam meN maojood hone ka sabab ittefaaq bhi ho sakta hai.....aor shayad fit^ree hunar bhi.

Ta'jub hai. keh she'er to aek ho. aor apne mat^aleb-o-hamah geree ke leHaaz^ se shish pehloo ho geya ho.

meree janib se is guldastah par mubaraq bad aor dad qubool kijiye.

aap ka khadim
muzaffar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Saara SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

aap ne meri ghazal ko pasand farmaayaa aur daad aur mubaarakbaad se navaazaa, jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaati rahengi.
[color\brown]

Aapka MukhliS,
Nazir.

[/color]
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!

aap kee yeh Ghazal pehle hee dekh` lee th`ee lekin is maSroofiat aur tasaahulee kaa buraa ho keh likh`ne kee naubat aaj aayee hai! India se waapas aa kar kuch` ziyaadah hee "jet-lag" kaa shikaar rahaa aur is se nikalte nikalte haftah lag gayaa. ho nah ho yeh u'mr kaa hee taqaaZ^aha hai! ab a'naaSir meN e'tidaal kahaaN?

aap kee yeh Ghazal bh`ee aap ke ustaadaanah raNg meN hai. meree jaanib se daad-o-teHseen aur mubaarakbaad qubool keejiYe. ummeed hai keh aa,indah bh`ee aap bazm ko nawaazte raheN ge.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkulooS Tasleemaat, :lol:

Apni TaraHi ghazal per aapka tafSeeli tabSirah paRhkar bahut khushi houi. Daad o teHseen ke liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Gokeh maiN isqadar sitaayish kaa mustaHiq nahiN hooN, phir bhii aapki karam farmaayi ne meraa dil jeet liyaa hei.

Aap ki Ghazal brae'e mushae'rah march kae'i aa'tabar se lae'q-e-ta'reef hai. macala" sab se awwal yeh keh Ghazal rawayat ke shanah ba shanah chaltee dekhaee de rahee hai. doe'm yeh keh aap ne fikr-o-kheyaal ko HiSaar-e-zat se baher nah jane diya. a'omoma" aaj kal Ghazal ko kae'ee nae'e rang de diye gae haiN. jis meN sar-e-fehrist taraqqee pasand Ghazal, seyasee Ghazal, waGhaerah shamil haiN. khich to Ghazal meN hi masae'l-e-zamanh aor fikr-e-raoTi ko bhi Ghazal ka hi HiSSah kheyaal karne lage haiN. lekin agar Ghazal ko us kee luGhwi Heciyat se parkha jae'e to Ghazal ka ma'na khuch aor nikalta hai. ba har haal is ke i'lawah yeh Ghazal jo ise mazeed dilkash bana rahee hai. wah hai is meN jazbah-e- Hasrat ki amezish. aor sab se paRh kar Ghazal ke she'eroN ka shish jihet hona.

India meiN taraqqi pasand adab, inqilaabi adab kaa doosraa naam thaa jiski kaafi aaobhagat kii gayi. Siaasi bunyaadaoN per khoob o zisht meiN koii farq nahiN rahaa. Her naye fankaar kii himmat afzaayi ki gayi chaahe us meiN adabi SalaaHiyyat hou yaa nah hou. Lekin aazaadi ke baAd wo adeeb o shaayer jo taraqqi pasand ke mu'assiseen meiN shumaar houte thay unkaa andaaz-e-bayaan bhi badalne lgaa. Naye qalamkaar yehi samjhe ke taraqqi pasand adab hi adab ki aSli dilkash Soorat hei. Nazm ko nacri nazm tak pahunchaadiyaa gayaa aur ghazal meiN bhi mujid banne ke shauq meiN bahut hi achche shaayer ne bhi ghazal meiN taraqqi pasandi kii gunjaayish nikaalni shurooA kardi.

Ghazal meiN mukhtalif mazaameen ko qalamband kiyaa jaasaktaa hei lekin Husn-e-bayaan aur kalaam ki dilkashi kaa khayaal rakhnaa zaroori hei. JahaN taraqqi pasand adab kaa zikr kiyaa jaata hei tou saare adeeb o shaayer is baat se ittifaaq karte heiN ke sheAriyat ki dilkashi kaa khayaal rakhnaa zaroori hei. Micaal ke Taur per Makhdoom Mohiuddin aur Faiz Ahmed Faiz bahut baRe shoAaraa meiN shumaar houte heiN.

Faiz apni aek nazm zindaN ki aek SubH meiN kehte heiN:
door darwaazah khulaa koii, koie band houaa
door machli koii zanjeer machal ke royii
door utraa kisi taale ke jigar meiN khanjar


koii aisaa adeeb yaa shaayer nahiN jo yeh kehe ke Faiz ke in ashAar meiN sheAriyyat nahiN hei.

yeh bhi dekhne meN aaya hai keh ba'Z^ aoqaat kai likhne wale isee talaash-o-tashweesh meN U'mr gaNwa dete haiN. keh woh kiya kehna chahate haiN. ya woh jo kehna chahate they kiya keh bhi paey haiN.

Jee aap ne bilkul bajaa farmaayaa. Iqbaal apni manzil kaa taAayyun karne ke baavajood yehi kehte heiN:
Iqbaal khud iqbaal se aagaah nahiN hei
kuch is meiN tamaskhur nahiN wallah nahiN hei.


Lekin aap ke yahaaN yeh gumaan kamyaab hai. aap kee is Ghazal ko dekhne ke ba'd qari yaqeen karta hai keh jo aap kehna chahate haiN. baRee kamyabi se kehe jate haiN.

Yeh aapki zarrah-navaazi hei warnah bandah kis shumaar meiN hei.

Masala" "junooN -e-e'shq ne rakhkha naheeN kaheeN ka mujhe..yeh mere hath meN damaan-e-tar apna hai."

yeh she'er kai leHaaz^ se khol raha hai. masala" is meN aap aek gawahi bhi de rahe haiN. keh mujhe junoon-e-e'shq ne kaheN ka naheeN chooRa aor yeh jo daman ka tar hai. mera apna hai. ya'ne aap aek caboot faraham kar rahe haiN. keh maiN bhi barbaad-e-ulfat hooN. mera yaqeeN karo...keh yeh tar jo mere hath meN hai. mera hi hai...pas aap ke daman ka taar hi ab aap ki weHshat aor dewangee par daleel reh geya hai. ya'nee is ke e'lawah mere pas aor koi cheez apnee Safaee pesh karne ko naheeN...yeh aek aor rang meN she'er khola....pas maiN zatee t^aor par agar isee she'er ko kholooN to yeh kaei. zawiyooN se apna mat^lab de ga. isee t^arH yooN bhi ho sakta hai. keh mujhe e'shq ke junoon ne kaheeN ka naheeN choRa. aaj mere pas khuch naheeN. mujhe duniya ne khuch nah diya. balkeh tahee daman kar chooRa aor yeh jo hath meN ek taar bacha hai wohee ek meree milkiyat hai. aor yeh bhi kisee ki a't^a naheeN balkeh mera hi hai. aor aek zawiyah yeh bhi hai. keh mujhe junoon-e-e'shq ne kaheeN ka naheeN choRa .....ya'ne agar mera ta'luq tujh se khuch hota to mere pas tere koi nishanee to hote. ya honee chahiye thi. ab duniya ko kese yaqeen dilaooN keh tujh se mera ta'luq kiya hai. mere pas tere koi nishani bhi to naheeN.aor aek yeh rang keh. mujhe e'shq ne barbaad kar diya. keh tera woh sab khuch jo to ne mujhe diya tha. junooN meN luT geya.maiN itna be khud huwa keh teree sab e'nayaat -o-akraam se hath dhoo beTha. aor ab jab khuch hoosh aaya hai. to samajh aaei. keh mere pas to khuch bhi naheeN raha. aor yeh jo ek tar bacha hai. woh mera hi hai. pas khadim yooN she'er ko dekhta hai.
aor yeh mua'amlah aap ke qareeb qareeb tamaam asha'aar ka hai.
pas Z^arurat hai keh aap ke asha'aar ko har zawiyah se paRha aor samjha jae'e. tab she'er ki aSal acar pazeeree aor hamah jehtee ka kisi qadr takhmenah lagaya jasakta hai. aor woh jo aap ka kheyal hai woh alag hai...aor woh najane kiya hai.daraSal she'er ko us ka khleq hi SaHeH t^aor par khool sakta hai. degar afraad Sirf qeyaas ya andazah laga sakte haiN. chonkeh she'er ka aSal manbah-o-sarchashmah to zehen-e-sha'er hi hota hai....qaree Sirf takhmenah lagata hai. GharZ^ yeh jo Sifat hai. aap ke she'er meN yeh bhi aap kee shae'eree ko mazeed rangeen aor do aatishah kar dete hai.


MaiN aapki tashreeH se muttafiq hooN.

Aor isee t^araH degar ashaa'r ka mua'amlah hai. aor aap ki SalahiyatooN meN se yeh bhi ek khuda daad Salahiyat hai. jo khudae'e buzurg-o-bartar ne aap ko de rakhee hai.

Sab kuch khudaa ki den hei. Is se kaun inkaar karsaktaa hei.

degar ma'doode chand aek shae'erooN ke haaN bhi yeh rang paya jata hai.lekin aesa rang un ke kalaam meN maojood hone ka sabab ittefaaq bhi ho sakta hai.....aor shayad fit^ree hunar bhi.

Jee her qadeem shaayer yehi meHsoos kartaa hei ke uski fikr ki taqleed ki gayi hei aur her nayaa shaayer yehi souchtaa hei ke uske liye qadeem shoAara ne koii maZmoon nahiN chouRaa hei. MaiN ne 1982 meiN aek ghazal kahi thii jiskaa sheAr thaa:
Housh kis ko thaa bhalaa housh tou ab aayaa hei
jabkeh daaman hei salaamat nah girebaaN SaaHib.

Ab aap andaazah karsakte heiN ke ehsaasaasaat meiN kis qism ki tabdeeli aayi hei.

Ta'jub hai. keh she'er to aek ho. aor apne mat^aleb-o-hamah geree ke leHaaz^ se shish pehloo ho geya ho.

Fikr yaa Amal kaa Shash-jihat hounaa fiTri baat hei. Shumaal, Junoob, mashriq aur maghrib ke ilaawah 2 aur jihaat heiN ooper aur neeche. Pus in jihaat se mafar nahiN.

meree janib se is guldastah par mubaraq bad aor dad qubool kijiye.

Daad o teHseen ke liye maiN beHad mamnoon hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi aap meri yuN hi HauSlah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Sat Mar 25, 2006 10:10 am, edited 1 time in total.
Image
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: stanvir ke mushaaire ke TaraHi miSreA per: Abdullah Nazi

Post by Shummu »

WEBMASTER wrote:
Yeh kaise maan looN, wo ghamgusaar apna hei
Jise khabar hi nahiN, dil figaar apnaa hei

Junoon-e-ishq ne rakhkha nahiN kahiN kaa mujhe
Yeh mere haath meiN daamaan-e-taar apnaa hei

Kisi kii yaad hei aur tazkire muHabbat ke
Yehi vazeefah tou lail o nahaar apnaa hei

zabaaN rahe nah jo qaaboo meiN kyaa karuN zaalim
mizaaj yooN tou bahut burdbaar apnaa hei

HuZoor aapki marZi peh munHaSir hei milan
Kisi ke dil peh kahaaN ikhtiyaar apnaa hei

Miraa vujood nahiN apni zindagi ke liye
Tumhaari saansaoN peh daar o madaar apnaa hei

Chaman peh faSl-e-khizaaN kaa houaa hei kyaa qabZah
Nah koii phool hei apnaa nah khaar apnaa hei

Mubaarak ahl-e-jahaaN ko yeh hastiy-e-faani
Paraaye shehr meiN kyaa karobaar apnaa hei

WAH WAHHHH bahut khoob....Mohtaram nazir sahab aap ne hasb-e-maamol ek aur khoobsurat ghazal se nawaaza hai..yun to sabhi sher lajawaab hain magar quoted ashaar behad pasand aaye....daad pesh hai :-)

shukriya!

shumaila
Post Reply