"taajire dauraa.n"aik nazm peshe khidmat hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"taajire dauraa.n"aik nazm peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aik nazm aapke hawaale kar rahe hai.n.

gar qubool uftad zahe......

nazm

"taajire dauraa.n"


arz kiya hai....

amn ke naam pah hai.n zulm ke toofaa.n kya kya
har ghadi kheley naya khel yeh insaa.n kya kya

kya bataaye.n tumhe.n hai taajire dauraa.n kya kya
apne matlab keliye karta hai naadaa.n kya kya

maal gar bechna ho ^ayb chupa deta hai
bholay gaahak ko yeh pahunchaata hai nuqsaa.n kya kya

khaamiyaa.n dhoondhta hai molna ho maal agar
daam kam karne chalaata hai yeh paikaa.n kya kya

toltey waqt bhi dhokey yeh badey deta hai
chand sikko.n keliye karta hai ^esyaa.n kya kya

jhoot makkaari daghabaazi faraib aur hasad
dekho leyjaata hai yeh qabr mei.n saamaa.n kya kya

daarefaani keliye bechdiya ^uqba ko
"gul khilaati hai naseeme ghame pinhaa.n kya kya"

aise taajir pah quraa.n khol ke dekho haamid
l^aanate.n bhejta hai baar'ha yazdaa.n kya kya

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah


mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:hamid bhai,

bohat hi umda kalaam se nawaaze hein.

sara
azeez behan sara
salaamun alaikum

hauslah afzaayee ka bahut bahut shukriya.

jazakallah

khush rahe.n.

haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
HAAMID BAAQRI SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske lieye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Saare ashAar aapke munfarid andaaz meiN bahut achche heiN.

Ummeed ke aayindah bhi isi TaraH se apne kalaam se navaazte rahenge aur hameN shukriyah adaa karne kaa mauqaA faraaham karte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
HAAMID BAAQRI SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske lieye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Saare ashAar aapke munfarid andaaz meiN bahut achche heiN.

Ummeed ke aayindah bhi isi TaraH se apne kalaam se navaazte rahenge aur hameN shukriyah adaa karne kaa mauqaA faraaham karte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram o azeez bhaai
janaabe abdullah nazir saahib

aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.

yeh hamaari khush naseebi hai keh aap hamaare kalaam ko padhne keliye waqt nikaalte hai.n aur hamesha hauslah afzaaye farmaate hain.aapki shakhsiyat se hum bahut mut^aaccir hai.n.

allah(sbhnwt)aapki har woh muraad poori kare jis se aapki aakhirat sanwar jaaye.aameen.

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply