Page 1 of 1

Tarahee Gazal (Mushaairah # 16)

Posted: Wed Apr 05, 2006 7:37 pm
by jawaid badauni
Aap ghar aayeN mire yeh miree taqdeer nahiN
Mera yeh Khuwaab bhi sharminda-e tAAbeer nahiN


Hum ne dekhe haiN zamane meN kuch aise bhi aseer
PaaooN meN jinke bazaahir koii zanjeer nahiN


Jane kyooN phir bhee bhaTak jaate haiN rahrau akSer
Raah oos zulf kee maaniNd grahgeer nahiN


Bus qalam leke chala aaya sar.e maqtal maiN
Haath meN teer nahiN neza.o shamsheer nahiN


Ishq waloN ka nah badla hai nah badlega naSeeb
Kisee “Ranjha” ke muqaddar meN koii “Heer” nahiN


BaAd.e “Ghalib” koii “Ghaalib” nah hoa duniya meN
“Meer” ke bAAd zamaney meN koii “Meer” nahiN


Apne haathoN peh bharosa hai zaroori :Jawaid:
Kisee tadbeer se baRhkar koii taqdeer nahiN

Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Apr 06, 2006 12:19 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Hameshah ki TaraH aapki ghazal bahut hi dilkash hei jiske saare ashAar bahut achche heiN. Is kaamyaab takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT
Aap ghar aayeN mire yeh miree taqdeer nahiN
Mera yeh Khuwaab bhi sharminda-e tAAbeer nahiN

achchaa maTlaA hei. Bahut khoob, waah waah.

Hum ne dekhe haiN zamane meN kuch aise bhi aseer
PaaooN meN jinke bazaahir koii zanjeer nahiN

Waah waah kyaa kehne, bahut khoob.

Jane kyooN phir bhee bhaTak jaate haiN rahrau akSer
Raah oos zulf kee maaniNd grahgeer nahiN

Waah waah bahut khoob.

Bus qalam leke chala aaya sar.e maqtal maiN
Haath meN teer nahiN neza.o shamsheer nahiN

Bahut khoob, waah waah, sab se Taaqatwar qalam hi tou houtaa hei.

Ishq waloN ka nah badla hai nah badlega naSeeb
Kisee “Ranjha” ke muqaddar meN koii “Heer” nahiN

Waah, yeh bhi aek Haqeeqat hei.

BaAd.e “Ghalib” koii “Ghaalib” nah hoa duniya meN
“Meer” ke bAAd zamaney meN koii “Meer” nahiN


Bahut achche andaaz se kahaa hei aap ne. waah waah.

Apne haathoN peh bharosa hai zaroori :Jawaid:
Kisee tadbeer se baRhkar koii taqdeer nahiN

"iAqal fa-tavakkal" ke baab meiN bahut achcha maqTaA hei.

Aapka MukhliS,
Nazir,


Posted: Thu Apr 06, 2006 8:28 pm
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab,
Aadaab

Aapke graNqadr tabsarey ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Aapki daad mere liye sanad ka darjah rakhtee hai. Ummid hai aaindah bhi mere kalam per tawajjo farmayeNge aur meree himmat afzaaii farmate raheNge.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni

Re: Tarahee Gazal (Mushaairah # 16)

Posted: Thu Apr 13, 2006 11:08 am
by haamidbaaqri
jawaid badauni wrote:Aap ghar aayeN mire yeh miree taqdeer nahiN
Mera yeh Khuwaab bhi sharminda-e tAAbeer nahiN


Hum ne dekhe haiN zamane meN kuch aise bhi aseer
PaaooN meN jinke bazaahir koii zanjeer nahiN


Jane kyooN phir bhee bhaTak jaate haiN rahrau akSer
Raah oos zulf kee maaniNd grahgeer nahiN


Bus qalam leke chala aaya sar.e maqtal maiN
Haath meN teer nahiN neza.o shamsheer nahiN


Ishq waloN ka nah badla hai nah badlega naSeeb
Kisee “Ranjha” ke muqaddar meN koii “Heer” nahiN


BaAd.e “Ghalib” koii “Ghaalib” nah hoa duniya meN
“Meer” ke bAAd zamaney meN koii “Meer” nahiN


Apne haathoN peh bharosa hai zaroori :Jawaid:
Kisee tadbeer se baRhkar koii taqdeer nahiN
baradare azeez jawaid saahib
salaamun alaikum

behtareen ghazal hai hamesha ki tarah.

har sher lajawaab hai.

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqri

Posted: Thu Apr 13, 2006 1:35 pm
by jawaid badauni
Azeezi Haamid Baaqri SaHib
Aapki purKhuloos daad ke liye aap ka bahud mamnoon hooN. Allah aap ko Khoosh rakhkhe.

MuKhlis
Jawaid

mashAllah

Posted: Fri Apr 14, 2006 11:20 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarm janab Jawaid badauni SaHeb
aadaab!

Guzarish 16 ke teHet kahee gaee aap kee tazah Ghazal dekhee paRh kar
dil baRa meHz^ooz^ howa. aese silsilooN ka aek fae'dah yeh bhee hai.
keh mukhtalif kheyal kee GhazlooN se dil behlaya ja sakta hai.
GhazooN ko dekh kar yaqeenee t^aor par dil qaraar pa jata hai.
dosree t^araf asatzah kee Ghazliyat bhee samne aatee rehtee haiN. ya'nee unhee ke kalam meN se t^areHee miSre liye jate haiN yooN asaatzah ke kalaam kee
a'zmat aor nifasat ka bhee andazah hota rehta hai. pas maiN to yeh kahooN ga keh aese silsilooN ya'nee site ke mushae'rooN meN Z^aroor shirkat karnee chahiye.


aap ke kahee hoee Ghazal baRee umdah aor dil fareeb hai.
khuch rujhaan taraqqee pasandee kee t^araf bhee ho geya hai. :-) pasand aaya. meree janib se dilee dad Hazir hai.

aor sath hee mubaraq bad bhee.

ijazat deeN.
muz^affar

Posted: Fri Apr 14, 2006 11:58 am
by jawaid badauni
Bohat bohat shukriya Muzaffar SaHib. Mujhe Khooshee hai is bahaney itne din bAAd aap se mulaqaat to ho gaii.

Apka MuKhlis
Jawaid

Posted: Fri Apr 14, 2006 8:07 pm
by Mahtab Qadr
Jawaid Badayuni sahib
Aadaab o Tasleemat
Aapki Ghazal ka har sher pasand aaya. kafi din baad aapka kalam parhne ki saadat hasil huvi, jiska sabab apni hi kotahi hai.
shukria
MQ