TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.16) by: ABDULLAH NAZIR.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.16) by: ABDULLAH NAZIR.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Guzarish 16 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke baAZ ashAar pasand aayenge.

GHAZAL roman meiN:

kyaa yehi HaaSil-e-naakaamiy-e-tadbeer nahiN
tujh peh houjaauN maiN qurbaaN miri taqdeer nahiN

qaid-e-hasti meiN bhram khul gayaa aazaadi kaa
haath khaali heiN, agar paauN meiN zanjeer nahiN

tum nah samjhouge tou miT jaauge auroN ki TaraH
khaanah barbaadi meiN gunjaayish-e-taAmeer nahiN

niAmat-e-deed se meHroom sahi deeda-e-nam
"kyaa mire dil meiN tire Husn ki taSveer nahiN"

chashm-e-khoonnabah-fishaaN keh chuki roodaad-e-alam
muhr lab per hei, zabaaN tishna-e-taqreer nahiN

ishq wo marHamat-e-Haq, keh hei gum sajdaoN meiN
rooH wo lughz ke jiski koii taAbeer nahiN

din guzarjaate heiN Haalaat ko suljhaate houe
zindagi hei yeh tiri zulf-e-girahgeer nahiN

karwaTeN lete rahe shab ki tan-aasaani meiN
kyaa koii dekhe houe khwaabaoN ki taAbeer nahiN

be-gharaZ hei miraa izhaar-e-sukhan ai Nazir
maiN wo shaayer hooN jise khwaahish-e-tash'heer nahiN
=======


Nazir.

Attachments
a_na_16_f.JPG
a_na_16_f.JPG (131.66 KiB) Viewed 544 times
Image
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Mohtaram Nazir Saheb
aadaab
aap ki tarahi bohat hi khoobsurat hai. gireh bhi khoob lagayi aap ne! waah!

qaid-e-hasti meiN bhram khul gayaa aazaadi kaa
haath khaali heiN, agar paauN meiN zanjeer nahiN
(kya kehne!)
niAmat-e-deed se meHroom sahi deeda-e-nam
"kyaa mire dil meiN tire Husn ki taSveer nahiN"
(waah!)
ishq wo marHamat-e-Haq, keh hei gum sajdaoN meiN
rooH wo lughz ke jiski koii taAbeer nahiN
(bohat khoob sab! lughz=paheli?)

din guzarjaate heiN Haalaat ko suljhaate houe
zindagi hei yeh tiri zulf-e-girahgeer nahiN
(waah! waah! lajawab shayr hai!)

be-gharaZ hei miraa izhaar-e-sukhan ai Nazir
maiN wo shaayer hooN jise khwaahish-e-tash'heer nahiN
(bohat khoobsurat maqtA hai)

aap ki is umda takhleeq par meri jaanib se dili daad-o-mubarakbaad qubool kijiye.

basad khuloos
khaaksaar
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

aadaab!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »



mohtaram janab Abdullah Nazir SaHeb.
tasleem a'rZ^ hai!

Aap kee Ghazal jo keh Guzarish 16 ke teHt kahee gaee hai dekhee.
qabal is se jo kefiyat aap ke Ghazal radeef" aaNkhooN meN" dekh kar
peda huee thi. ta eeN dam t^aree hai.maiN mubalGhah ka qaae'l naheeN. aor nah hee taqabul ke aaenah meN do afrad kee fannee SalaHiyatooN ko parakhne par yaqeeN rakhta hooN.

lekin kisee khubSurat taSweer Surat aae'nah ya kalaam ko dekh kar be khud ho jana ya khud par qabo nah rahna in tammaam amoor ko a'een fat^ree kheyaal karta hooN.

aor apne t^aba'ee rujhaan meN aane wale taGhiyur aor tabdeelee kee
nishaandehee karne ke ba'd nah Sirf apne wajood ko us radd-e-a'amal ke supurd kaar deta hooN balkeh us kefiyat ke iz^aar meN kisee bhee
bukhal se kaam naheeN leta.

aor barmala az^haar-e-kefiyat-e-dilee kar dene meN qaraar mHsoos karta hooN. khuSuSan jab koee qabel-e-stae'sh-o-teHseen manz^oom kalam nigah se guzarta hai. to dil-o- dimaaGh meN jo halchal machtee hai.
use faora" Z^abt^-e-teHreer meN lana gawarah karta hooN.

aor yahee mera mashGhalah hai. degar chopalooN par bhee faqeer
yahee kaar-e-khaer sar anjaam de raha hai. aor a'moma" yeh bhee hota hai keh ba'Z^ aoqaat nakarah kee teHreer ya khud meree zat par yeh
ilzaam dhara jata hai keh maiN mubalGhah se kaam leta hooN.

Ha´lan´keh aesee koi bat naheeN balkeh amr-e-waqea'h to yeh hai keh
zatee t^aor par maiN yeh meHsoos karta hooN keh bukhal se to
kaam naheeN le raha......aor yeh aHsaas mujhe be cheen bhee rakhta hai..... :?

kisee fankaar kee SalaHiyatooN ka aa'taraf ham sab ka farZ^ hai.
har dor aor har zamanah meN SaHebaan-e-fan maojood hote haiN.
lekin hamara almiyah yeh hai keh ham murda parast waqe'ah huwe haiN.
baqaol-e-shae'er "mar jae'e to baRh jatee hai insaan kee qeemat"
zindagee ka yeh uSool baRa talkh hai. aor Haqiqt to yeh hai keh yeh uSool khud hamara banaya huwa hai.

maiN zatee t^aor par kisee ease khud sakhta uSool ya qaa'edae ka qae'l naheeN.

mere nazdeek har woh hunar mand jo apne hunar se shahkaar takhleeq kar raha hai. chahe kisee bhee medaan meN woh lae'q-e-ta'zeem hai.
us se kisee bhee qisam ka bukhal rakhna us se aor us ke fan se na enSafee ho gee.

pas Zarurat hai keh woh SaHebaan-e-fan jo aaj apne fan ke bal bute par chaonka dene wale chahkaar takhleeq kar rahe haiN un kee
e'zzat -o-taoqeer meN kisee qisam kee kacar uTha nah rakhee jae'e.
aor khuSuSan woh jo net par maHafil sajae'e rat din is sa'ee meN maSruf-e-a'amal haiN. is silsilah meN ma'dode chand aek ka
nam liya ja sakta hai. aor woh kisee ta'ruf ke moHtaaj naheeN. aor jin meN sar-e-fehrist moHtaram Abdullah Nazir, Sarwar a'alam Raz Sarwar aor degar chand aek ke nam bhee likhe ja sakte haiN. yeh afraad yaqina"
hamare liye qabil-e-Sad aHtaram hone chaeyeeN. in Hazrat kee takhleqaat kisee fan pare-e-khudadad se kam naheeN.....aor yeh yaganah-e-ruzgaar
shab-o-rooz isee tag-o-do meN sargardaaN haiN keh kisee
t^arH khidmat-e- urdu adab hotee rahe.

aor ab yeh Ghazal jo pesh kee gaee hai. Nazir SaHeb kee yeh bhee usee fan parooN meN se aek fan parah hai. aor jesa keh a'rZ^ kee hai. keh loog murdah parast waqia'h howe haiN.mera isharah khuda na khuwastah site ke mimbaraan kee t^araf naheeN hai. :-)

to mumkin hai. kaee is Ghazal ko aek bar dekh kar rasmee se dad de kar chalte baneeN.aor aae'ndah aane wale ya'nee mustaqbil ke loog
is kee SaHeH qadr kareeN. aor yeh ya aesee dosree Ghazleeyat keh jo
nah Sirf dilkash haiN balkeh apne pekar meN wahee rawayatee jumlah uSloob ka mata'-e-be baha bhee rakhtee haiN. yeh khud apne khaliq ka ta'ruf aor t^urrah-e-emtiyaaz ban jaeeN.kiya hameeN us din ka intaz^aar hai. kiya ham intaz^aar meN haiN keh koee hameeN
kahe to ham
in SaHebaan ke fan ko saraheeN. Haqiqat to yeh hai keh ham khushqismat haiN keh hamare a'ehed meN ease kamilaan-e-fan maojood haiN. khuda jane in ke ba'd phir raoshnee rahe na rahe. :(

pas maiN apnee bat ko mukhtaSer rakhte huwe itna hee kahooN ga keh
dil khool kar dad deN yeh HaZ^rat waqa'ee qabil-e-dad haiN.

meree janib se is ganjinah-e-lafz^-o-ma'nee par dilee dad HaZir hai.
aap ne dal kash tarakeeb ko barue'-e-kaar lakar Ghazal ko dae'mee
dilkashee aor jazbiyat a't^a kar dee hai. aaj ka daor jo apne sath qeHet^-ur-rejaalee kee deer pa rut bhee le aaya hai.aese meN aap aese ma'dode chand afraad ka bazm-e-she'er-o-adab meN kirdaar naqabil-e-faramoosh hai.

wassalam
khadim
muz^affar





Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Wed Apr 12, 2006 10:22 pm, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

aapke tafSeeli tabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN.

Allah aapko jazaay-e-khair de.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

bahut khoob

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki ustadanah takhleeq nazar nawaaz huee.

masha allah kya kehne......

mohtaram muzaffar saahib ne tau bahut kuch kehdiya hai.mazeed kuch kehna mujh jaise taalibe ilm keliye sahi nahi.n hai.

is umdah takhleeq per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyadah

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne meri TaraHi ghazal ki pazeerayi farmaayi aur izhaar-e-isteHsaan farmaayaa jiske liye beHad shukrguzaar hooN.

Yeh sab kuch aap jaise arbaab-e-ilm o faZl ki inaayat hei keh khaaksaar kuch ashAaar kehne ki jasaarat karletaa hei.

Jee aap ne bajaa farmaayaa keh janaab Muzaffar Saahib ne tafSeeli Taur per meri HauSlah afzaayi farmaayi wagarnah man aanam ke man daanam.

Baharhaal app sab ke ATr bez alfaaz ke liye mamnoon hooN.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,

Apni TaraHi ghazal per aapkaa qeemati TabSirah bahut pasand aayaa. Aap ne jis andaa meiN ghazal ki pazeerayi ki hei mere liye fakhr ki baat hei. Ummeed hei keh aayindah bhi yooN hi meri HauSlah afzaayi farmaati rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply