ehl-e-bazm
aadaab-o-tasleemaat
eik adna kaavish lekar aap ki khidmat meiN haazir hua huN. paRHiye aur apni giraaNqadr aara se nawaziye.
Daanish
kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb
kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb
jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb
kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb
agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb
ghazal-"kabhi jo bhool ke"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
ghazal-"kabhi jo bhool ke"
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami o Azeezi
Daanish SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jiske liye meri dill daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb
achchaa maTlaA hei. WaaqaAi dunyaa meiN daulat o zar ke parastaar ahl-e-ilm o fun se gurez-paa rehte heiN.
kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb
khoob. jee haaN aajkal ke daur meiN nafsa nafsi hei.
jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb
Waah waah, bahut hi khoob.
kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb
achchaa sheAr hei. aadami souchtaa kuch hei aur houtaa kuch hei.
agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb
achcha maqTaA hei. Razaay-e-ilaahi hou to phir kyaa kehne. Duaa kaa qubool hounaa agar bandeh ki falaaH meiN ho tou, Sirf acar tak nahiN pahunchti balke qubool houjaati hei.
MajmooAi Taur per, radeef ke mushkil houne ke baavajood aapki ghazal bahut achchi hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Oct 16, 2006 11:47 am, edited 1 time in total.
Mohtaram Nazirsab
aadaab-o-tasleemaat.umeed hai ke aap khairiyat se haiN. kuchh masroofiyat ki vajeh se kuchh dinoN se haazir-e-bazm na ho sakaa. ghazal ki pazeeraii aur hausla afzaai ke liye aap ka mamnoon huN. umeed hai ke mustaqbil meiN bhi aap apni mushfiqaana-o-mukhlisaana aara-o-islaah se nawazenge.
khaaknasheen
Daanish
aadaab-o-tasleemaat.umeed hai ke aap khairiyat se haiN. kuchh masroofiyat ki vajeh se kuchh dinoN se haazir-e-bazm na ho sakaa. ghazal ki pazeeraii aur hausla afzaai ke liye aap ka mamnoon huN. umeed hai ke mustaqbil meiN bhi aap apni mushfiqaana-o-mukhlisaana aara-o-islaah se nawazenge.
khaaknasheen
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: ghazal-"kabhi jo bhool ke"
mukarramee Daanish SaaHeb: aadaab!Daanish wrote:ehl-e-bazm
aadaab-o-tasleemaat
eik adna kaavish lekar aap ki khidmat meiN haazir hua huN. paRHiye aur apni giraaNqadr aara se nawaziye.
Daanish
ummeed hai keh Ramadan achh`e guZar rahe hoN ge. aap kee Ghazal kee zameen pasand aayee. aap kee kaawish laa,iq-e-daad hai so HaaZ^ir hai!
Ghazal paRh`te huwe do ek baateN Zehn meN aayeeN. a'rZ^ kiYe detaa hooN. ummeed hai keh ba-shart^-e-Z^aroorat waZ^aaHat farmaaYeN ge. shukriyah!
:seem-e-zar ke paas ph`aTakne: se aap kee muraad shaayad daulat kee Khwaahish hai? sawaal yeh hotaa hai keh agar aap :behunar: th`e to daulat kee laalach yaa Khwaahish se aap kaamyaabee kaa muNh kyoN.kar dekh` sakte th`e? haaN, agar aap Khud hee SaaHeb-e-daulat hote to be-hunaree ke baawujood aisee ummeed kee jaa saktee th`ee!kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb
achh`aa Khayaal hai. daad!kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb
bohat Khoob! waah!jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb
ba-z^aahir she'r Theek ma'loom hotaa hai lekin Ghaur se dekh`iYe to sawaal paidaa hotaa hai keh aashiyaaN kis t^araH sharar ke qareeb aa saktaa hai? sharar ko aashiyaane ke qareeb aanaa chaahiYe! aashiyaanah saakin hai aur sharar meN Harakat hai. goyaa aap ne jo baat kahee woh Haqeeqat ke Khilaaf hai. waZ^aaHat farmaa deN to behtar ho gaa.kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb
Haqeeqat hai! daad!agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb
ummeed hai keh koyee baat giraaN naheeN guZree ho gee.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Daanish saahab,
pranaam:
bohat dilkash Ghazal sunaaii hai aap ne..
itni khuubsurat ghazal ke padh kar dil khush ho gaya.... Har Sher khud apna misaal hai aur maqta be-misaal hai...
meri jaanib se dili mubarak-baad qubool farmaiyen..
Mayank

hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN