Page 1 of 1

ghazal-"kabhi jo bhool ke"

Posted: Sat Apr 15, 2006 2:43 pm
by Daanish
ehl-e-bazm
aadaab-o-tasleemaat

eik adna kaavish lekar aap ki khidmat meiN haazir hua huN. paRHiye aur apni giraaNqadr aara se nawaziye.

Daanish


kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb

kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb

jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb

kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb

agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb

Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Apr 20, 2006 12:45 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jiske liye meri dill daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb


achchaa maTlaA hei. WaaqaAi dunyaa meiN daulat o zar ke parastaar ahl-e-ilm o fun se gurez-paa rehte heiN.

kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb


khoob. jee haaN aajkal ke daur meiN nafsa nafsi hei.

jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb


Waah waah, bahut hi khoob.

kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb


achchaa sheAr hei. aadami souchtaa kuch hei aur houtaa kuch hei.

agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb


achcha maqTaA hei. Razaay-e-ilaahi hou to phir kyaa kehne. Duaa kaa qubool hounaa agar bandeh ki falaaH meiN ho tou, Sirf acar tak nahiN pahunchti balke qubool houjaati hei.

MajmooAi Taur per, radeef ke mushkil houne ke baavajood aapki ghazal bahut achchi hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Apr 28, 2006 2:34 pm
by Daanish
Mohtaram Nazirsab
aadaab-o-tasleemaat.umeed hai ke aap khairiyat se haiN. kuchh masroofiyat ki vajeh se kuchh dinoN se haazir-e-bazm na ho sakaa. ghazal ki pazeeraii aur hausla afzaai ke liye aap ka mamnoon huN. umeed hai ke mustaqbil meiN bhi aap apni mushfiqaana-o-mukhlisaana aara-o-islaah se nawazenge.
khaaknasheen
Daanish

Posted: Sat Oct 14, 2006 6:46 pm
by Shummu
wah..bahut khoob..!

Re: ghazal-"kabhi jo bhool ke"

Posted: Sat Oct 14, 2006 11:39 pm
by Sarwar A. Raz
Daanish wrote:ehl-e-bazm
aadaab-o-tasleemaat

eik adna kaavish lekar aap ki khidmat meiN haazir hua huN. paRHiye aur apni giraaNqadr aara se nawaziye.

Daanish
mukarramee Daanish SaaHeb: aadaab!

ummeed hai keh Ramadan achh`e guZar rahe hoN ge. aap kee Ghazal kee zameen pasand aayee. aap kee kaawish laa,iq-e-daad hai so HaaZ^ir hai!

Ghazal paRh`te huwe do ek baateN Zehn meN aayeeN. a'rZ^ kiYe detaa hooN. ummeed hai keh ba-shart^-e-Z^aroorat waZ^aaHat farmaaYeN ge. shukriyah!
kabhi jo bhool ke phhaTke na seem-o-zar ke qareeb
na aayeeN shohrateN hum jaise behunar ke qareeb
:seem-e-zar ke paas ph`aTakne: se aap kee muraad shaayad daulat kee Khwaahish hai? sawaal yeh hotaa hai keh agar aap :behunar: th`e to daulat kee laalach yaa Khwaahish se aap kaamyaabee kaa muNh kyoN.kar dekh` sakte th`e? haaN, agar aap Khud hee SaaHeb-e-daulat hote to be-hunaree ke baawujood aisee ummeed kee jaa saktee th`ee!
kisay khabar thhi maseeha bhi hoga tegh bakaf
bohat umeed se aaye thhe chaaragar ke qareeb
achh`aa Khayaal hai. daad!
jawab jaan chuka hai dil-e-ma'al_andesh
jo kaaNpte haiN qadam aa ke tere dar ke qareeb
bohat Khoob! waah!
kis ehtemaam se hum ne ise banaya thha
yeh aashiyaaN bhi magar aa gaya sharar ke qareeb
ba-z^aahir she'r Theek ma'loom hotaa hai lekin Ghaur se dekh`iYe to sawaal paidaa hotaa hai keh aashiyaaN kis t^araH sharar ke qareeb aa saktaa hai? sharar ko aashiyaane ke qareeb aanaa chaahiYe! aashiyaanah saakin hai aur sharar meN Harakat hai. goyaa aap ne jo baat kahee woh Haqeeqat ke Khilaaf hai. waZ^aaHat farmaa deN to behtar ho gaa.
agar raza-e-ilaahi naseeb ho jaaye
pahunch hi jaati hai Daanish dua asar ke qareeb
Haqeeqat hai! daad!

ummeed hai keh koyee baat giraaN naheeN guZree ho gee.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Tue Oct 24, 2006 4:35 pm
by Star Mind
Danish SaaHib, aadaab

janaab bohut Khoob Ghazal hai , daad qabool kareN , shukriya

ZIa Baloch

Posted: Tue Oct 31, 2006 11:51 am
by Mayank
Daanish saahab,

pranaam:

bohat dilkash Ghazal sunaaii hai aap ne..

itni khuubsurat ghazal ke padh kar dil khush ho gaya.... Har Sher khud apna misaal hai aur maqta be-misaal hai...

meri jaanib se dili mubarak-baad qubool farmaiyen..

Mayank