tarhi ghazal wafa kare nah kare phir bhi yaar apna hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

tarhi ghazal wafa kare nah kare phir bhi yaar apna hai

Post by khozema husaini »

assalam alaikum
apni tahi ghazal ke saath hazir e mehfil hoon aur ummeed hai keh aap sabhi KHwateen o hazraat apni garanqadr aara se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa faraham karenge
shukriyah
Husaini

ghazal
Hayaat o mot pe kab iKHtiyaar apna hai
riza e haq pe hi daaromadaar apna hai

Hawaas gum heN saleeqah faraar apna hai
mujhe bhi aaj talak intezaar apna hai

mire laboN ke tabassum se aap to KHush heN
yeh aur baat keh dil ashkbaar apna hai

buland hoSle dete heN taqat e parwaaz
faqat paroN pe kahan inHiSaar apna hai

hamen bhi raas chalo aa gaya yeh taaj e junoon
ba raah e ishq Amal shaandaar apna hai

tumhare saath zamanah jo hai to hone do
hamare saath to parwardigaar apna hai

hamara Ahad hai hum us pe jaan de denge
" wafa kare nah kare phir bhi yaar apna hai "

har aik choT pe kehta hai muskura kar dil
yeh zaKHm ,zaKHm kahaN hai singaar apna hai

zabaan rakhte heN maSroof hum Safaaii meN
zameer kiyunkeh zara daaGHdaar apna hai

kuchh aise toRa hai hum ne HiSaar e gumnaami
keh kooche kooche men ab ishtihaar apna hai

jinheN nawaaza gaya nafs e mutmainnah se
KHuda ka shukr keh un meN shumaar apna hai

KHareed leta hoon aaNsoo khushi ki qeemat par
yahi shiAar yahi karobaar apna hai

hamari zaat rahi baar e arz har Soorat
ba zaat e KHud the kabhi ab mazaar apna hai

chaman ki hum ne hi taqseem is tarah ki hai
keh phool aap ka HiSSah hai KHaar apna hai

Habaab jaise keh banta hai TooT jata hai
Husaini aisa hi anjaam e kaar apna hai
Attachments
77 wafa kare nah kare.jpg
77 wafa kare nah kare.jpg (132.4 KiB) Viewed 367 times
Last edited by khozema husaini on Fri Apr 21, 2006 2:44 pm, edited 2 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Khozema Husaini SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Hayaat o mot pe kab iKHtiyaar apna hai
riza e haq pe hi daar o madaar apna hai


Achchaa maTlaA hei, waah waah.

Hawaas gum heN saleeqah faraar apna hai
mujhe bhi aaj talak intezaar apna hai


Husn-e-maTlaA bhi maAnavi liHaaz se khoob hei.

mire laboN ke tabassum se aap to KHush heN
yeh aur baat keh dil ashkbaar apna hai


Waah bahut khoob.

buland hoSle dete heN taqat e parwaaz
keh in paroN pe kahan inHiSaar apna hai


Waah bahut khoob. Meri nazar meiN doosre miSreA ko yooN behtar banaayaa jaasaktaa hei:
paroN peh warna kahaaN inHiSaar apnaa hei.

lo raas aa gaya mere bhi aaj taaj e junoon
ba raah e ishq Amal shaandaar apna hai


Pahle miSreA meiN lafz "mere" se mujhko ke maAni lenaa Theek nahiN maAlom hutaa. Lafz "lo" ke wawo kaa dabnaa bhi naagawaar maAloom hourahaa hei. Is miSreA ki aek mutabaadil Soorat yooN housakti hei:
chalo ke nibh gayaa taaj-e-junooN bayaabaaN meiN"

tumhare saath zamanah jo hai to hone do
hamare saath bhi parwardigaar apna hai


achcha sheAr hei. Waah waah. Housaktaa hei ke kisi ko doosre miSreA meiN lafz "bhi" per iAtiraaZ ho.

hamara Ahad hai hum us pe jaan bhi denge
" wafa kare nah kare phir bhi yaar apna hai "


Gireh kaa miSraA khoob hei. "bhi denge" ki bajaaye "de denge" kahaa jaasaktaa thaa.

har aik choT pe kehta hai muskura kar dil
yeh zaKHm ,zaKHm kahaN hai singaar apna hai


bahut khoob, waah waah.

zabaan rakhte heN maSroof hum Safaaii meN
zameer kiyunkeh zara daaGHdaar apna hai


yeh sheAr bhi munfarid hei.

kuchh aise toRa hai hum ne HiSaar e gumnaami
keh kooche kooche men ab ishtihaar apna hai


yeh sheAr bhi munfarid hei.

jinheN nawaaza gaya nafs e mutmainnah se
KHuda ka shukr keh un meN shumaar apna hai


Bahut khoob, waah waah.

KHareed leta hoon aaNsoo khushi ki qeemat par
yahi shiAar yahi karobaar apna hai


khobb.

hamari zaat rahi baar e arz har Soorat
ba zaat e KHud the kabhi ab mazaar apna hai


bahut khoob, waah waah.

KHud hum ne un se chaman is tarah kiya taqseem
keh phool aap ka HiSSah hai KHaar apna hai


Pahlaa miSraA beHr se khaarij hourahaa hei kiyunkeh "ham" ke Harf "hey" ko alif-e-mauSool ki TaraH saaqiT nahiN kiyaa jaasaktaa.
Is miSreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
chaman ki ham ne hi taqseem is TaraH kii hei

Habaab jaise keh banta hai TooT jata hai
Husaini aisa hi anjaam e kaar apna hai


MaqTaA bahut achchaa hei, waah waah.

Note: Meri nazar yaa raaye se aapkaa muttafiq hounaa Zaroori nahiN hei.


Aapkaa MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Bahut khoob Khuzaima jee bahut khoobsurat ghazal irshad farmai haai aapne
MQ
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

mohtaram nazir saheb
assalam alaikum
men aap ka mamnoon hoon keh aap ne meri ghazal ko apne tabsare se nawaza aap ki tajaveez ke mutabiq tabdeeliya kar dihen ummeed hai aap ka karam aaindah bhi jari rahega
bohat bohat shukriyah
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

janab metab qadr saheb
aadaab
ghazal ki pasandeedgi ka bohat bohat shukriyah
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply