Ghazal: waqt ki chaarahgaree se..

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Ghazal: waqt ki chaarahgaree se..

Post by Munawwar »

yaaraan-e-bazm,

Ek ghazal pesh karne kee ijaazat chaahuNgaa. Yeh meree pehlee chand ghazloN meN se thee. PaRhiye aur apnee aaraa se nawaaziye...

Pesh-e-khidmat hai:

waqt kee chaarahgaree se zakhm bhar hee jaayeNge

waqt kee chaarahgaree se zakhm bhar hee jaayeNge
dard lekin jab uThegaa ham to mar hee jaayeNge

kyoN huaa Hairaan chauraahoN pe aakar, raahgeer?
raaste kitney bhi hoN sab uske ghar hee jaayeNge

aagahee dhokaa hai nughz-e-zindagee ke saamney
bekhabar hee aaye the ham, bekhabar hee jaayeNge
[nughz => enigma, riddle]

naalah sunkar kyoN samajhtaa hai hameN kamzor tu?
Jab bahaar aayegee, piNjReN toRkar hee jaayeNge

kyoN mile inSaaf, mulzim hee agar munSif baneN?
yaa badal deNge shareeyat, yaa mukar hee jaayeNge

laa chuke haiN ghar ko apne ham uThaakar raah tak
bin ruke dekheN ke kyoN kar wo guzar hee jaayeNge

bazm-e-ghaafil meN naheeN hai ab "Munawwar" ham ko kaam
maikade se uTh sakeN to apne ghar hee jaayeNge

-----------------------------------------------------------------------------

Aapke khayaalaat kaa muntazir,
Mamnoon,
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Munawwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

waqt kee chaarahgaree se zakhm bhar hee jaayeNge
dard lekin jab uThegaa ham to mar hee jaayeNge


Kyaa kehne. MaTlah bahut hii achchaa hei.Waah waah.

kyoN huaa Hairaan chauraahoN pe aakar, raahgeer?
raaste kitney bhi hoN sab uske ghar hee jaayeNge


Achcha sheAr hei. Agar mutaAaddid raastaoN kaa uske ghar hi jaayenge ke mafhoom ko usi Tarah se samjheN jo aapke zehn meiN hei. Waah waah nahut khoob.

aagahee dhokaa hai nughz-e-zindagee ke saamney
bekhabar hee aaye the ham, bekhabar hee jaayeNge


[nughz => enigma, riddle]
Note: yeh maAni boul chaal meiN ghalaT mash'hoor hougaye heiN. DaraSl in manoN ke liye "lughz" isteAmaal karnaa chaahiye.

naalah sunkar kyoN samajhtaa hai hameN kamzor tu?
Jab bahaar aayegee, piNjReN toRkar hee jaayeNge


achcha sheAr hei, waah waah.

kyoN mile inSaaf, mulzim hee agar munSif baneN?
yaa badal deNge shareeyat, yaa mukar hee jaayeNge


achcha sheAr hei. Waah waah.

laa chuke haiN ghar ko apne ham uThaakar raah tak
bin ruke dekheN ke kyoN kar wo guzar hee jaayeNge


aajkal ke lihaaz se ghar ko raah tak uThaakar laan samajh meiN aajaataa hei. Achcha sheAr hei.

bazm-e-ghaafil meN naheeN hai ab "Munawwar" ham ko kaam
maikade se uTh sakeN to apne ghar hee jaayeNge


achcha maqTaA hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Munnawar sab
aap ki ghazal nazar nawaz hui aur bohat pasand aayi. meri jaanib se dili daad-o-mubarakbaad qubool kijiye.
khair andesh
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Post by Munawwar »

Janaab Nazir Saahab,

Aapkaa nahut bahut shukriyah ke aapne naacheez ki ghazal pasand kee. lughz ke istemaal ki taraf ishaarah karne kaa shukriyah. Kucch online lughatoN meN kaafi badlaao ki gunjaaish nazar aati hai :)

chauraah aur raastoN kaa "uske" ghar hi jaane ki baat meree zaatee yaqeen ka hiSSah hai. "Ibaadat ke liye koi bhi raastah, koi bhi mazhab chun lo, gar saHeeH chaloge to khudaa ke hi ghar pahuNchoge." Mujhe yaqeeN hai ke aapne yahee mafhoom nikaalaa hogaa.

Aapkaa shukr adaa kartaa huN aur ijaazat chaahtaa huN,
Aapkaa ghulaam,
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Post by Munawwar »

Sara ji,

Aapkaa bahut bahut shukriyah ke aapne ghazal paRhee, aur sher dar sher uskee pasandeedagee farmaayee.

MaiN aapkaa mamnoon huN,
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Post by Munawwar »

Janaab Daanish Saaheb,
Aapkaa bahut bahut shukriyah ke aapne ghazal paRhee aur pasandeedagee farmaayee. Bas, aap jaise maahiraan ke jaanib se daad mile, to dil khush ho jaataa hai.

Aapkaa mamnoon,
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
Post Reply