Ghazal: waqt ki chaarahgaree se..
Posted: Sat May 06, 2006 10:40 am
yaaraan-e-bazm,
Ek ghazal pesh karne kee ijaazat chaahuNgaa. Yeh meree pehlee chand ghazloN meN se thee. PaRhiye aur apnee aaraa se nawaaziye...
Pesh-e-khidmat hai:
waqt kee chaarahgaree se zakhm bhar hee jaayeNge

dard lekin jab uThegaa ham to mar hee jaayeNge
kyoN huaa Hairaan chauraahoN pe aakar, raahgeer?
raaste kitney bhi hoN sab uske ghar hee jaayeNge
aagahee dhokaa hai nughz-e-zindagee ke saamney
bekhabar hee aaye the ham, bekhabar hee jaayeNge
[nughz => enigma, riddle]
naalah sunkar kyoN samajhtaa hai hameN kamzor tu?
Jab bahaar aayegee, piNjReN toRkar hee jaayeNge
kyoN mile inSaaf, mulzim hee agar munSif baneN?
yaa badal deNge shareeyat, yaa mukar hee jaayeNge
laa chuke haiN ghar ko apne ham uThaakar raah tak
bin ruke dekheN ke kyoN kar wo guzar hee jaayeNge
bazm-e-ghaafil meN naheeN hai ab "Munawwar" ham ko kaam
maikade se uTh sakeN to apne ghar hee jaayeNge
-----------------------------------------------------------------------------
Aapke khayaalaat kaa muntazir,
Mamnoon,
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"