jaldi se welcome back kehiye

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

jaldi se welcome back kehiye

Post by Zahid Jahangir »

jaldi se welcome back kehiye nehin to phir bhaag jaaoN ga :twisted: aur haan mere jese sabhi bhagoRe yahan haazri deN :twisted:
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Khushaamaded

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Zaahid Jahangir SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap to urdubandhan ki zameen ke maalik heiN. Jab chaaheN jaayeN jab chaaheN aayeN, aap per kaun paabundi lagaasaktaa hei

"parindaoN ki dunyaa kaa darwish hooN maiN
keh shaaHeeN banaataa nahiN aashiyaanah"


Aap kaheN yaa nah kaheN, hamaara farZ bantaa hei ke hameshah aapkaa dhoom dhaRaake ke saath istiqbaal kareN.

Khudaa aapko hameshah khush o khurram rakhkhe.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Re: Khushaamaded

Post by Zahid Jahangir »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zaahid Jahangir SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap to urdubandhan ki zameen ke maalik heiN. Jab chaaheN jaayeN jab chaaheN aayeN, aap per kaun paabundi lagaasaktaa hei

"parindaoN ki dunyaa kaa darwish hooN maiN
keh shaaHeeN banaataa nahiN aashiyaanah"


Aap kaheN yaa nah kaheN, hamaara farZ bantaa hei ke hameshah aapkaa dhoom dhaRaake ke saath istiqbaal kareN.

Khudaa aapko hameshah khush o khurram rakhkhe.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Mohtaram Janab Abdullah Nazir saheb,

Aadab.

yeh Aap ki azmat hai ke Aap hamesha mujh pe khasoosi shafqat farmaate hain.....aap ki baatoN se hamesha aik mehrbaan bazurg ki muhabbat aur shafqat jhalakti hai aur Main khud ko intehayi khush naseeb samajhta hoon ke mujhe aap aise shafeeq insaan ki sohbat mayasar aayi hai.

Allah Rubul Izzat aap ko sehat deN aur aap ki shafqaton ka saaya ham pe ta umr qaayem rakheN ameen.

shukriya.

Aap ka mukhlis,

zahid
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Zahid sahib salaam
aray rukiye rukiye ,,
abhi aaye , abhi baithe , abhi daman sambhaala hai
tumhaari jaaoN! jaaoN! ne hamara dam nikala hai
shukria wapisi ka
Mahtab Qadr
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

Mahtab Qadr wrote:Zahid sahib salaam
aray rukiye rukiye ,,
abhi aaye , abhi baithe , abhi daman sambhaala hai
tumhaari jaaoN! jaaoN! ne hamara dam nikala hai
shukria wapisi ka
Mahtab Qadr
Aslam o Alaikum,

Sir itne khoobsoorat shehr ke saath istaqbaal kiya aap ne ke dil baagh baagh ho gia :P shayerana istaqbal ka be had shukriya
:-)
Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

sara_j wrote:salam
bahot bahot shukriya Sara jee :-)

aap sab logoN ne itne ache se istaqbaal kiya ke jee chahta hai phir se aik maheene ke liye keheen khisak jaaoN
:lol:
Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

sara_j wrote:wahi puraani aadat doorbell bajaker bhaag jaana.....

kabhi nahi sudhroge maloom hai.
ab to buDha ho gia hooN....bhaag nehin sakta iss liye pakRe jaane ke dar se bell nehin bajaata :lol: :lol:
Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Zahid Bhai yeh kyaa baat hoovii yeh aaane jaane ka drama kyoN chal raha hai? :roll:

aap sharafat se ek baar yahaN par Tik kyoN naheeN jaate. :?:

vernah baRee behn hone ka certificate mere paas hai agar iste'maal kar liyaa tu aap ke liye mushkil ho jaaYe gii :twisted:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

Raji wrote:Zahid Bhai yeh kyaa baat hoovii yeh aaane jaane ka drama kyoN chal raha hai? :roll:

aap sharafat se ek baar yahaN par Tik kyoN naheeN jaate. :?:

vernah baRee behn hone ka certificate mere paas hai agar iste'maal kar liyaa tu aap ke liye mushkil ho jaaYe gii :twisted:
arey arey itna ghussa :shock: :shock: ab to nehin tehroN ga yahaN :twisted: :twisted:
Image
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

Welcome back to urdubandhan


Khush Rahain
Handsome
Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

shukriya Handsome saheb khush rehiye
Image
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

it is my pleasure uncle jee :p
Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

Handsome wrote:it is my pleasure uncle jee :p
uncle jeeeeeeeeeeee tamaatar tamaatar tamaatar tamaatar tamaatar hammer hammer yahni ke matlab yeh hai ke main uncle (aik baar phir tamatar :twisted:
Image
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

hey tamater kitna accha hay :p

wesay app meray uncle hi hovay :-s
Image
Zahid Jahangir
-
-
Posts: 37
Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
Location: Darwesh e be zamaaN
Contact:

Post by Zahid Jahangir »

Handsome wrote:hey tamater kitna accha hay :p

wesay app meray uncle hi hovay :-s
:shock: wo kese bhala :evil: :roll: saabat kijiye :twisted: {kitaboN ka hawala bamah e safah number yahan post kijiye} :oops:
Image
Post Reply