salaam/aadaab saathiyo,
aaj se maiN yeh ek naya silsila shuru kar raha huN. in qist_vaar posts meN maiN muKhtalif gulukaaroN kii aawaaz meN gaaye huye filmi gaane pesh kiya karuNga jo na sirf apne zamaane meN har zubaan par the balki aaj bhi har koii gungunaayaa karta hai. in naGhmoN kii Khusoosiyat gulukaaroN kii dail_kash aawaaz, mausiiqaaroN kii dil lubhaa lene waalii mausiiqii aur naGhma_nigaaroN kii dil ko chhoo lene waale Khayaalaat aur chust alfaaz aur andaaz e bayaan. 60's ke gaane mujhe bahot pasand haiN bil-khusoos Mohad. Rafi/Asha Bhosle kii aawaazoN meN gaye huye naGhme jinkii mauseeqii O.P. Naiyar ne banaaii thiN...THESE ARE THE MELODIES THAT STILL MAKE YOU MOVE AND SING ALONG.
to, aaj kii pesh_kash hai yeh naGhma jise Mohd. Rafi aur Asha Bhosle ne film "Ham DonoN" ke liye gaayaa thaa. is film meN Dev Anand aur Saadhnaa ke oopar yeh gaanaa filmaayaa gayaa thaa. mulaahizah farmaaiye:
Rafi: abhii na jaao chhoR kar ki dil abhii bharaa nahiiN - (2)
abhii abhii to aaii ho...abhii abhii to!
abhii abhii to aaii ho, bahaar ban ke chhaaii ho
havaa zaraa mahek to le, nazar zaraa bahek to le
ye shaam Dhal to le zaraa (2), ye dil sambhal to le zaraa
maiN thoRii der jii to luN, nashe ke ghooNT pii to luN
nashe ke ghooNT pii to luN
abhii to kuchh kahaa nahiiN, abhii to kuchh sunaa nahiiN
abhii na jaao chhoR kar ki dil abhii bharaa nahiiN
Asha: sitaare jhilmilaa uThe...sitaare jhilamilaa uThe, charaaGh jagamagaa uThe
bas ab na mujh ko Toknaa
bas ab na mujh ko Toknaa, na baRh ke raah roknaa
agar maiN ruk gaii abhii to jaa na paaooNgii kabhii
yahii kahoge tum sadaa ki...yehii kahoge tum sadaa...ki dil abhii bharaa nahiiN...abhii bharaa nahiiN
jo Khatm ho kisii jagah, ye aisaa silasilaa nahiiN
Rafi: abhii nahiiN abhii nahiiN
Asha: nahiiN nahiiN nahiiN nahiiN
Rafi: abhii na jaao chhoR kar ki dil abhii bharaa nahiiN
Rafi: adhuurii aas...adhuurii aas chhoR ke, adhuurii pyaas chhoR ke
jo roz yuNhii jaaogii to kis tarah nibhaaogii
ki zindagii kii raah meN, javaaN diloN kii chaah meN
kaii maqaam aaeNge jo ham ko aazmaaeNge
buraa na maano baat kaa, ye pyaar hai gilaa nahiiN
Asha: haa.N, yahii kahoge tum sadaa ki dil abhii nahiiN bharaa
Rafi: haaN, dil abhii bharaa nahiiN
Asha: nahiiN, nahiiN, nahiiN, nahiiN
is gaane ka ek aur hissa hai jo Ghamgeen hai aur jise fil ke aaKhiri hisse meN iste'maal kiyaa gayaa hai, ise bhi gungunaa leN:
Asha Bhosle:
dukh aur sukh ke raaste, bane haiN sab ke vaaste
jo Gham se haar jaaoge, to kis tarah nibhaaoge
khushii mile hameN ki Gham...khushii mile hameN ki Gham
jo hogaa baaNT leNge ham
mujhe tum aazamaao to
zaraa nazar milaao to! zaraa nazar milaao to!
ye jism door haiN magar
diloN meN faaslaa nahiiN
jahaaN meN aisaa kaun hai? ki jis ko Gham milaa nahiiN - 2
tumhaare pyaar kii qasam, tumhaaraa Gham hai meraa Gham
na yuN bujhe bujhe raho, jo dil kii baat hai kaho
jo mujh se bhii chhupaaoge, jo mujh se bhii chhupaaoge
to phir kise bataaoge?
maiN koi Ghai'r to nahiiN!
dilaauN kis tarah yaqiiN...dilaauN kis tarah yaqiiN
ki tum se maiN judaa nahiiN,
mujh se tum judaa nahiiN
tum se maiN judaa nahiiN, mujh se tum judaa nahiiN
tum se maiN judaa nahiiN, mujh se tum judaa nahiiN...
OLD is GOLD series #1...SaaHir/MoHd. Raf'ii-Asha Bhosle
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam Saara,
merii taraf se yeh silsila aapko pasand aayaa...yeh meri khush-qismati hai...thank you.
haN ji, kiuN nahiiN...sab ko iKhtiyaar hogaa magar bas ek hii baat kaa Khayaal rakhiiyega aur vo yeh ki series kii numbering tavaatur se ho.
STICKY karne ka shukria magar jab maiN ya koi aur dusrii qist pesh kare to usse pahli waalii to UN-STICKY kar diyaa jaaye taaki CLUTTERING na ho.
thank you.
merii taraf se yeh silsila aapko pasand aayaa...yeh meri khush-qismati hai...thank you.
haN ji, kiuN nahiiN...sab ko iKhtiyaar hogaa magar bas ek hii baat kaa Khayaal rakhiiyega aur vo yeh ki series kii numbering tavaatur se ho.
STICKY karne ka shukria magar jab maiN ya koi aur dusrii qist pesh kare to usse pahli waalii to UN-STICKY kar diyaa jaaye taaki CLUTTERING na ho.
thank you.
