EK Taza Ghazal...!!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

EK Taza Ghazal...!!

Post by munir-armaan-nasimi »

Pyare Dosto,

Ek Choti si Ghazal pesh khidmat hai, ummed hai ke hosla afzai karenge. Aur Ustaad-e-girami Janab Abdullah Nazir saheb se guzaarish hai ki agar islaah ki kahin jaroorat ho...... to meri ghazal ko apni husn-e-nazar se sanwar denge, nawazish hogi.


Chand hooN aasmaan DhoonDtaa hooN
Noor kaa saayebaan DhoonDtaa hooN

Ghar meiN faaqah hei chaar din se magar
maiN buzurgaoN ki shaan DhoonDtaa hooN

Shehr ki buildingaoN ke jungle meiN
Aek kuchchaa makaan DhoonDtaa hooN

Raushni jis meiN hou sharaafat kee
Aisaa ik khaandaan DhoonDtaa hooN

Ka'ba kaashi tou mere andur heiN
Kaahe saaraa jahaan DhoonDtaa hooN

TooTe khwaabaoN kii kirchiyaoN ke beech
Gumshudah ik jahaan DhoonDtaa hooN

bheeR meiN chalti phirti laashaoN ke
zindagi kaa nishaan DhoonDtaa hooN.



Khuda Hafiz,

Aap ka

Munir Armaan Nasimi
Attachments
Ghazal-Chaand-Hoon.gif
Ghazal-Chaand-Hoon.gif (10.21 KiB) Viewed 217 times
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Munir Arman Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Chand hooN aasmaan DhoonDtaa hooN
Noor kaa saayebaan DhoonDtaa hooN

Ghar meiN faaqah hei chaar din se magar
maiN buzurgaoN ki shaan DhoonDtaa hooN

Shehr ki buildingaoN ke jungle meiN
Aek kuchchaa makaan DhoonDtaa hooN

Raushni jis meiN hou sharaafat kee
Aisaa ik khaandaan DhoonDtaa hooN

Ka'ba kaashi tou mere andur heiN
Kaahe saaraa jahaan DhoonDtaa hooN

TooTe khwaabaoN kii kirchiyaoN ke beech
Gumshudah ik jahaan DhoonDtaa hooN

bheeR meiN chalti phirti laashaoN ke
zindagi kaa nishaan DhoonDtaa hooN.



Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

janaab Munir saaHib aadab!

Ghaaliban aap se pehli mulaaqaat hai, Inshaallah aage bhii hoti rahe gi. :grin:

aap kii Ghazal nazar-navaaz huii. Mashaallah bohat khuub likhate heiN aap. Allah kare zor-e-qalam aur ziyadah...AAmin!!

Ghazal ke tamaam hii ash'aar bohat umdah aur laaiq-e-sad tehseen heiN. is umdah kalaam par naachiz kii jaanib se dilee daad-o-mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose :lol:

ShukriYa!


~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Mohtaram Nazir Bhai jaan,

Intehaayi shukr guzaar hoon ke aap ne meri ghazal ko roman main post kiya....... aur us se bhi jiyada khushi iss baat ki hai ke Ghazal aap ko pasand aayi. Allah kare, aap ki duaon ke sadqe main..... main aur bhi achchi ghazal keh sakoon.

Beradaram Hasan Saheb, aap se pahli mulaquat... shaandar hai... Ibteda to aisi hai.... intehaaaa khuda jaane.

Aap ko ghazal pasand aayi, shukriya. Mere aur bhi ghazlein, wagerah site pe hain.... aap unko bhi jaroor padhein.

Regards,

Armaan
Post Reply