EK Taza Ghazal...!!
Posted: Tue Jun 13, 2006 12:52 pm
Pyare Dosto,
Ek Choti si Ghazal pesh khidmat hai, ummed hai ke hosla afzai karenge. Aur Ustaad-e-girami Janab Abdullah Nazir saheb se guzaarish hai ki agar islaah ki kahin jaroorat ho...... to meri ghazal ko apni husn-e-nazar se sanwar denge, nawazish hogi.
Chand hooN aasmaan DhoonDtaa hooN
Noor kaa saayebaan DhoonDtaa hooN
Ghar meiN faaqah hei chaar din se magar
maiN buzurgaoN ki shaan DhoonDtaa hooN
Shehr ki buildingaoN ke jungle meiN
Aek kuchchaa makaan DhoonDtaa hooN
Raushni jis meiN hou sharaafat kee
Aisaa ik khaandaan DhoonDtaa hooN
Ka'ba kaashi tou mere andur heiN
Kaahe saaraa jahaan DhoonDtaa hooN
TooTe khwaabaoN kii kirchiyaoN ke beech
Gumshudah ik jahaan DhoonDtaa hooN
bheeR meiN chalti phirti laashaoN ke
zindagi kaa nishaan DhoonDtaa hooN.
Khuda Hafiz,
Aap ka
Munir Armaan Nasimi
Ek Choti si Ghazal pesh khidmat hai, ummed hai ke hosla afzai karenge. Aur Ustaad-e-girami Janab Abdullah Nazir saheb se guzaarish hai ki agar islaah ki kahin jaroorat ho...... to meri ghazal ko apni husn-e-nazar se sanwar denge, nawazish hogi.
Chand hooN aasmaan DhoonDtaa hooN
Noor kaa saayebaan DhoonDtaa hooN
Ghar meiN faaqah hei chaar din se magar
maiN buzurgaoN ki shaan DhoonDtaa hooN
Shehr ki buildingaoN ke jungle meiN
Aek kuchchaa makaan DhoonDtaa hooN
Raushni jis meiN hou sharaafat kee
Aisaa ik khaandaan DhoonDtaa hooN
Ka'ba kaashi tou mere andur heiN
Kaahe saaraa jahaan DhoonDtaa hooN
TooTe khwaabaoN kii kirchiyaoN ke beech
Gumshudah ik jahaan DhoonDtaa hooN
bheeR meiN chalti phirti laashaoN ke
zindagi kaa nishaan DhoonDtaa hooN.
Khuda Hafiz,
Aap ka
Munir Armaan Nasimi