aek maAmooli si taazah ghazal: Abdullah Nazir.
Posted: Tue Jun 13, 2006 3:14 pm
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek taazah mukhtaSar ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
seenah agar hei chalni tou hei daagh daagh dil
jaur o sitam se unke nah paayaa faraagh dil
pesh-e-nazar hei tuHfa-e-gul uz rah-e-wafaa
houjaaye kiyuN nah aisi ghaRi baagh baagh dil
deewaanagi-e-shauq ne kyaa Haal kardiyaa
dil hougayaa dimaagh, houaa hei dimaagh dil
ghayib nahiN nazar se tiraa musHaf-e-jameel
teerah-shabi meiN jaise hou raushan charaagh dil
Nazir maiN rind-e-baadah-e-jaam-e-alast hooN
Ilhaam-e-shaayeri ke liye hei ayaagh dil.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.